افغانستان میں مخلوط تعلیم پر پابندی

Baadshaah

MPA (400+ posts)
جنگلی طالبان بیس سال امریکہ سے لتر کھانے کے بعد بھی نہیں سدھرے۔ ابھی بھی اسی طرح جہالت میں غرق ہیں جیسے بیس سال پہلے تھے۔۔ یہ حکومت زیادہ دن ٹکنے والی نہیں، پھر امریکہ کی طرح کوئی آئے گا اور ان چوہوں کو واپس ان کی بلوں میں دھکیل دے گا۔۔ یہ ملے شلے کہیں نظر ہی نہیں آئیں گے۔ پہلے بھی امریکہ آیا تھا تو ملا عمر یوں سر پر پیر رکھ کر بھاگا تھا کہ دوبارہ کہیں نظر ہی ںہیں آیا۔ بڑی مشکل سے امریکہ نے ایک گٹر سے ڈھونڈ کر اسے تلف کیا تھا۔۔
 
atensari

(50k+ posts) بابائے فورم
سخت گیر لبرل چاہتے ہیں ساری دنیا کی مرضی کے مطابق چلے
 
atensari

(50k+ posts) بابائے فورم
اسلام خواتین کو تعلیم حاصل کرنے ، کام کرنے سے نہیں روکتا. مخلوط معاشرت سے منع کرتا ہے

akinternational

Minister (2k+ posts)
MashaAllah zabardast, deen ki taraf yaani aurat ko izzat aur mardon ko gherat dene ka ek zarya... InshaAllah Pakistan men bhi asarat ainge aur khabeeson shaitano aur munafiqon ka janaza niklega...
 
Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
aurtun ke liye mahol ko saazgaar banaana asal baat hai aur jab tak aisa nahin hota ke jisse aurtun ko munaasib tahafuz mil sake tab tak jaise bhi guzaara kerna pade kiya jaana chahiye. albatta mahol ko saazgaar banaane per poori poori tawajo deni chahiye ta keh mahol jald az jald saazgaar ban sake. aurtun ko jhoote dilaase dena haraami pan hai aur khud asal deeni islam hi se dushmani hai. deene islam sab mardo zan ko aqal istemaal kerne ka kehta hai aur ghoro fiker ki dawat deta hai. lihaaza jo log aurtun ko jahil rakhne ke liye kaam kerte hen woh sirf aur sirf apna apna haraami pan hi dikhaate hen keh koi asli musalmaan bhi jaan boojh ker aisa nahin ker sakta. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE, HERE and HERE. jab tak asal deene islam kisi mulk main poori tarah naafiz nahin ho jaata kisi shakhs ko bhi chahe woh mard ho ya aurat tahafuz mil hi nahin sakta.

deene islam sab ko tahafuz deta hai. asal main deene islam ke siwaa baaqi sab nizaam to hen hi haraami logoon ko tahafuz dene ke liye keh woh apna haraami pan khul ker dikhaayen. keh woh nizaam to hen hi taaqat aur maal ki jang ka samaan jin ki wajah se kitni duniya mar mit chuki hai sadiyun se aur na jaane kitne aur abhi miten ge in nizaamun ke haathun jab tak log apna aqlo fiker isemaal nahin kerte.
 
AbbuJee

Chief Minister (5k+ posts)
Zor parhae pe hona chahey, is pe nahe kay woh ikathay parh rahey hain ya alag.

Afreen hai logon ki chaval soch pay bhe.
 
AbbuJee

Chief Minister (5k+ posts)
Ye bekaar qaum aaj tak ye faisla nahe kar saki kay ponchay takhno say nechay honay chahein ya oper. Is pe behas aur larae kar lain gey. Lakin HARAM khana nahe chorna, Jhoot bolna nahe chorna ... Kea kehnay hain!!!!
 
such786

Senator (1k+ posts)
In Pakistan so called educational experts and liberals are crying just on few pictures in primary books that showing hijab but not speaking about without hijab. My question is that who the he'll has given them authority to these so called liberal to imposed their Naga plan to entire nation. And don't need to make fun on Allah Kanoon which is sharia. Look in Pakistan. Coeducation at high school and college level where kids are not meture enough to make decision done wrong things and destroy their lives before even their practical life start. So please let the Afganistan government decide what ever is best for them.
 
akinternational

Minister (2k+ posts)
aurtun ke liye mahol ko saazgaar banaana asal baat hai aur jab tak aisa nahin hota ke jisse aurtun ko munaasib tahafuz mil sake tab tak jaise bhi guzaara kerna pade kiya jaana chahiye. albatta mahol ko saazgaar banaane per poori poori tawajo deni chahiye ta keh mahol jald az jald saazgaar ban sake. aurtun ko jhoote dilaase dena haraami pan hai aur khud asal deeni islam hi se dushmani hai. deene islam sab mardo zan ko aqal istemaal kerne ka kehta hai aur ghoro fiker ki dawat deta hai. lihaaza jo log aurtun ko jahil rakhne ke liye kaam kerte hen woh sirf aur sirf apna apna haraami pan hi dikhaate hen keh koi asli musalmaan bhi jaan boojh ker aisa nahin ker sakta. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE, HERE and HERE. jab tak asal deene islam kisi mulk main poori tarah naafiz nahin ho jaata kisi shakhs ko bhi chahe woh mard ho ya aurat tahafuz mil hi nahin sakta.

deene islam sab ko tahafuz deta hai. asal main deene islam ke siwaa baaqi sab nizaam to hen hi haraami logoon ko tahafuz dene ke liye keh woh apna haraami pan khul ker dikhaayen. keh woh nizaam to hen hi taaqat aur maal ki jang ka samaan jin ki wajah se kitni duniya mar mit chuki hai sadiyun se aur na jaane kitne aur abhi miten ge in nizaamun ke haathun jab tak log apna aqlo fiker isemaal nahin kerte.
aurten zarur taleem hasil karen lekin shara'i hudud men rehte hue...Taliban yehi kar rahe hain mashaAllah.... baqi sab bakwas aur deen se nawaqifiyat hai
 
Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
aurten zarur taleem hasil karen lekin shara'i hudud men rehte hue...Taliban yehi kar rahe hain mashaAllah.... baqi sab bakwas aur deen se nawaqifiyat hai

azeezam aki sb, kia aap ne kaheen explain kiya hai keh asal deene islam kia hai aur is ka bunyaadi maqsad kia hai aur woh maqsad kaise wajood main aaya hai aur kaise poora ho sakta hai? phir ye keh kia woh maqsad un logoon ko maloom hai jo khud ko musalmaan kehlwaate hen?

rahee taalebaan ke asal deene islam ko naafiz kerne ki baat to woh to waqt bataaye ga keh woh kia naafiz karen ge. unhune pehle islam naafiz nahin kiya tha balkeh mullaism musallat kiya tha. wajah ye thi un ko maloom hi nahin tha keh asal deene islam hai kia.

ab bhi mujhe kuchh kuchh yahee nazar aa rahaa hai keh talebaan ka islam mullaism hi hai. aisa kyun hai? aisa is liye hai keh doraane jang un ke paas itna time kahaan tha keh woh deene islam per tehqeeq kerte. woh ab bhi mazhabi zehniyat hi rakhte hen aur islam mazhab nahin hai. islam mazhab kyun nahin hai? is liye keh islam is duniya ko insaanu ke liye jannat banaane ka paighaam hai aur mazhab se duniya jannat ban hi nahin sakti. agar aap ke khayaal main ban sakti hai to bataayen kaise? Kindly SEE HERE or HERE, HERE, HERE and HERE.

regards and all the best.
 
Last edited:

akinternational

Minister (2k+ posts)
azeezam aki sb, kia aap ne kaheen explain kiya hai keh asal deene islam kia hai aur is ka bunyaadi maqsad kia hai aur woh maqsad kaise wajood main aaya hai aur kaise poora ho sakta hai? phir ye keh kia woh maqsad un logoon ko maloom hai jo khud ko musalmaan kehlwaate hen?

rahee taalebaan ke asal deene islam ko naafiz kerne ki baat to woh to waqt bataaye ga keh woh kia naafiz karen ge. unhune pehle islam naafiz nahin kiya tha balkeh mullaism musallat kiya tha. wajah ye thi un ko maloom hi nahin tha keh asal deene islam hai kia.

ab bhi mujhe kuchh kuchh yahee nazar aa rahaa hai keh talebaan ka islam mullaism hi hai. aisa kyun hai? aisa is liye hai keh doraane jang un ke paas itna time kahaan tha keh woh deene islam per tehqeeq kerte. woh ab bhi mazhabi zehniyat hi rakhte hen aur isalm mazhab nahin hai. islam mazhab kyun nahin hai? is liye keh islam is duniya ko insaanu ke liye jannat banaane ka paighaam hai aur mazhab se duniya jannat ban hi nahin sakti. agar aap ke khayaal main ban sakti hai to bataayen kaise? Kindly SEE HERE or HERE, HERE, HERE and HERE.

regards and all the best.
janab yahan mozu hai makhlut taleem....... Islam aurat ko izzat aur tahaffuz faraham karta hai.. iss ke husul ke liye marad aur aurat ke ikhtilat se mana karta hai... HIJAB ya pardah ek zarya hai... Taliban ka makhlut taleem per pabandi ka faisla sirf bikul ain deen e islam ke mutabiq hai.. iss men kisi behes ki gunjaish nahin... taeshekkur
 
azeezam aki sb, baat kisi mozoo ki nahin hai balkeh bunyaadi usool ki hai keh jis ke mutaabiq kisi baat ko asal deene islam ke mutaabiq drust ya ghalat kahaa jaa sake.

agar hamaari bunyaadi hi na ho ya drust na ho to phir aap bataayen ham kisi bhi baat ka faisla kaise ker sakte hen keh ye deene islam ke ain mutaabiq hai ya nahin hai? asal main talebaan ko kerna ye chahiye keh woh aik quraan research committee tashkeel den jo pakke tor per maloom kare keh asal deene islam hai kia. phir jab maloom ker len to us ko naafiz kar den. main ye pakke tor per jaanta hun keh mullaan ka islam asal deene islam bilkul hi nahin hai is liye keh ye bunyaadi tor per aik mazhab hai aur mazhab ko hakoomat ka koi haq hi nahin hai aur is ki wajah ye hai keh is ko is duniya ke kaamun se woh taaluq hi nahin hai jo hona chahiye. isi baat ko main ne badi tafseel ke saath ooper diye ge links main explain ker diya hai. aap agar aap ke paas waqt ho to wahaan dekh sakte hen.

lihaaza jab tak un ko asal deene islam maloom nahin ho jaata tab tak woh kaam chalaaye rakhen jaise bhi chal sakta hai ta keh halaat mazeed kharaab na hun. talebaan ke liye sab se badaa masla logoon ke roti paani ka munaasib bandobast karna hai. bhooke nange logoon per mazeed zor zabardasti se halaat kharaab ho sakte hen. talebaan ke paas ye sunehri moqa hai khudaa ki taraf se keh woh duniya ko bataayen asal deene islam kia hai. pakistan banaane waalun se bhi yahee ghalati hui thi jis ki sazaa ham aaj tak bhugat rahe hen.

agar woh pakistan banaane se pehle aik proper islami dastooro qanoon tayaar ker lete to phir pakistan aik mazhabi aur secular riyaasat ban ker na reh jaata. un ka khayaal tha keh ham pehle mulk banaa len islam baad main work out kar ke naafiz ker len ge jo aaj tak nahin ho saka aur aainda bhi mushkil hi lag rahaa hai keh logoon ko asal deene islam ki taleem hi nahin di jaati aur us ki wajah yahee hai keh logoon ko asal deene islam maloom hi nahin hai. log bas apne apne bebunyaad zehni tasawuraat ko deene islam ka naam de ker chal rahe hen. duniya main sab musalmaanu ke mulk musalmaanu hi ke mulk hen islam ke nahin. is liye keh un ko maloom hi nahin asal deene islam kia hai aur us ka maqsade nazool kia hai. jab asal maqsad hi maloom nahin hai to chalen ge kis ke peechhe aur us ko poora kaise karen ge?

agar aaj taleban ne bhi ye moqa haath se gawaan diya to phir afghanistan bhi aik aur pakistan ban ker reh jaaye ga. yaani mazhabi zehnu waale log is ko aik taraf kheenche ge aur secular zehnu ke maalik doosri taraf aur mulk khaana jangi ki nazar ho jaaye ga. agar afghanistan aik mazhabi riyaasat ban gayaa to islam aik baar phir badnaam ho ga khud musalmaanu ke haathun jab log bhooke maren ge aur agar secular mulk ban gayaa to phir istehsaali nizaamun ke shakanje main aa jaaye ga pakistan hi ki tarah aur us ka nikalna mushkil hi ho ga.

taleban kia karen ge, woh khud un ke liye achha ho ga ya bura ye sab un ko sochna chahiye. mere liye koi masla nahin hai agar taleban aik aur pakistan ban jaayen keh pehle hi aise mulkun se duniya bhari padi hai. mujhe agar takleef hoti hai to is baat ki keh log ghalatiyan khud kerte hen aur gaaliyan khudaa rasool ko dete hen apni shiddate jahaalat ki wajah se. ya jin buri baatun ko woh khudaa rasool ki taraf mansoob kerte hen woh apni jahaalat ki wajah se un ko achhaa samajh ker aisa kerte hen. lihaaza jab tak aisi taleem aam nahin ho gi jo insaanu ko baatun ko theek tarah samajhna sikhaa sake insaanu ki haalat yahee rahe gi badal nahin sakti. chahe log koi bhi hun aur kaheen ke bhi hun.

quraan main khudaa ne bataa diya hai keh jab tak log khud apni haalat nahin badalte khudaa un ki haalat nahin badalta. baat sirf apna qibla drust kerne ki hai aur qibla maqsad ko kehte hen. khudaa ne deene islam kisi maqsad ke liye naazal kiya hai aur jab tak log us maqsad ko nahin jaan lete woh us maqsad ko poora bhi nahin ker sakte. issi liye main yahee keh rahaa hun keh taleban sab se pehle us maqsad ko dhoonden aur apnaayen taa keh un ko woh kuchh mil sake jis ki un ko khudaa se milne ki tawaqo hai. warna jahaan itni duniya dhakke khaa rahee hai wahaan kuchh aur log bhi apni ker ke dekh len nateeja wohee nikle ga jo deegar qowmun ka hamaare saamne hai sadiyun se. rasoole khudaa ke baad aaj tak ham khud ko musalmaan kehlwaane waale asal deene islam ko duniya ke saamne laa hi nahin sake. laate kaise hamen khud hi maloom nahin hai asal deene islam kia hia aur na hi is baat ki fiker hai ye baat pakke tor per maloom karen.

regards and all the best.
 
Last edited:

akinternational

Minister (2k+ posts)
muazrat itni lambi khanai parhne ka hosla nahin... Islam ki bunyadi baat aurat ke muamile men apko bata di...jiske mutabiq MAKHLUT TALEEM khatarnak hai... sada si baat hai