ایپل نے چین میں قرآن ایپ بند کر دی

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
tu islam mazab nahin hai ? Taliban wala islam tu muje bhi Pakistan main nahin chayea.Muje Rasool Allah PBUH wala islam chayea pakistan main.

azeezam kayawish sb, islam deen hai mazhab bilkul hi nahin hai. is liye keh mazhab insaanu ka zaati ya niji ya private maamla hota hai jis ka haqeeqi duniya se kuchh lena dena nahin hota. issi liye ehle mazhab ne mazhab ke saath secularism ko milaa liya hai taa keh duniya ke haqeeqi maamle log apne apne matlabo maqsad ke mutaabiq chalaayen.

mazhab aur secualrism un logoon ne ijaad kiye jo doosrun ko apni ghulaami main laana aur rakhna chahte the.

asal deene islam mazhab aur secularism ki zid hai. khudaa nahin chahta log aik doosre ke haakim yani khudaa banen. aik doosre ka roti paani apne haath main len aik doosre ko apna ghulaam banaane ya banaaye rakhne ke liye.

ummat ka tasawur issi liye khudaa ki taraf se diya gayaa tha. magar afsos ummat ne ummat ka tasawur hi khatam ker daala aur yun log mazhabi aur secularist ho ge hukamraanu, sarmayadaarun aur mullaan ke propagande ki wajah se. yahee wajah hai baad main aane waale log mazhab aur secularism ko hi asal deene islam samajh baithe aur aaj tak yahee kuchh chala aa rahaa hai.

aap khud sochen kia insaan izzat ke roti paani ke baghair is duniya main achhi tarah se zinda reh sakte hen? her giz nahin.

ab mullaan ke islam per nazar daalen. bataaya jaata hai islam ke 5 arkaan hen. yani islam ki bunyaad 5 cheezun per hai ya islam ka daromadaar 5 cheezun per hai. woh 5 chaazen kia hen? 1) sirf aik khudaa ko pooja paat ke qaabil maanana. 2)us ki pooja paat kerna, 3)roze rakhna, 4)zakaat dena aur 5)hajj kerna.

insaan ko izzat ke saath roti pani darkaar hen aur ye insaanu ki bunyaadi zaroorat hen jin ke baghair zindagi ka tasawur hi nahin kiya jaa sakta. is baare main mullaan ke bunyaadi islam main kuchh bhi nahin hai.

kia sirf aik khudaa ko pooja ke qaabil maan lene se kisi ko izzat ke roti pani mil jaate hen? her giz nahin. kia khudaa ki pooja paat kerne se insaanu ko roti pani mil jaate hen? nahin. kia roza rakhne se izzat ke saath roti pani mil jaate hen insaanu ko? nahin. kia zakaat poori tarah se adaa kerne se sab insaanu ko izzat ke roti pani mil jaate hen? her giz nahin. kia makkah main aik kamre ki aik building ki ziyaarat se insaanu ko izzat ke roti pani mil jaate hen? her giz nahin.

aise kaise ho sakta hai keh khudaa insaanu ki bunyaadi zaroortun ko to nazar andaaz ker de aur apni pooja paat ko muqaddam ker le? aisa mumkin hi nahin ho sakta is liye keh jo izzat ke saath zinda hi nahin rahe ga woh khudaa ki pooja paat kab kare ga azaadi ke saath?

to phir asal deene islam kia hai? asal deene islam ke bhi 5 hi arkaan hen. 1)sirf aur sirf haqeeqi khudaa ko hi qaable hukamraani samajhna aur baaqi sab ki hukamraani ki nafi kerna. ye hai asal toheed quran ki roshni main. 2)insaanu ki jamaat qaaim ya khadi kerna ya un ki ummat khadi kerna ya banaana. ye hai asal salaat qaaim kerna. 3) koi kaam aisa her giz na kerna jisse is jamaat ko nuqsaan pohnche aur ye kamzor ho jaaye ya toot phoot jaaye. ye hai asal sowm. 4)her woh kaam kerna jisse ummat yani jamaat ko taqwiyat mile. ye hai asal zakaat.5) to undertake a sacred journey. yani us maqsad ko poora kerne ke liye sab tarah ke kaam kerna jis ke liye kudaa ne insaanu ko peda kiya hai. aur woh maqsad hai insaanu ka mil jul ker issi duniya ko khudaa ke bataaye ke mutaabiq apne liye jannat banaana khudaa ke diye ge naqshe ke ain mutaabiq.

ye hai asal deene islam ke dastooro qanoon ka asal dhaancha. yahee wajah hai jo log dastooro qanoon ke baare main kuchh bunyaadi baaten nahin jaante woh deene islam ko kabhi bhi theek tarah se samajh hi nahin sakte.

inhi arkaane deene islam ka taqaaza hai keh log amro nahi anjaam den in hi ke mutaabiq. her baat inhi ke mutaabiq ya to drust hai ya phir ghalat. laazmi kaamun ko kerna issi liye zaroori hota hia kyunkeh agar woh kaam nahin kiye jaayen ge to phir ummat ke logoon ki zaroorten poori nahin hun gi.

issi liye bahot se kaamun se logoon ko rokna bhi zaroori hota hai keh agar log un kaamun main lag ge to deene islam ke maqaasid ko poora nahin ker saken ge. yahee asal bunyaad hai asal deene islam main amro nahin ki.

ye baaten kis qadar saaf aur ayaan hen aur in ke muqaabil mullaan ka islam dekhen, hai kisi kaam ka? her giz nahin. yahee hai musalmaanu ki tabahi aur barbaadi ka asal sabab lihaaza agar musalmaan ye samajhte hen keh woh is asal deene islam ke baghair hi kaamyaab ho jaaye ge to ye un ki sirf khaam khayaali hai. abhji aur jo kuchh in ke saath hone waala hai woh bhi ye dekh hi len ge agar in logoon ne ghalat rawish se toba na ki aur drust simt ki taraf na chale.

regards and all the best.
 
Last edited:

Saboo

Prime Minister (20k+ posts)
azeezam saboo sb, aap ki ye baat drust hai keh khudaa jo chahta hai wohee hota hai. magar jo baat aap ke saamne nahin hai woh ye hai keh khudaa ne chahaa kia hai aur kis liye aisa chahaa hai jis ke mutaabiq khudaa ne itna badaa apna saara mansooba banaaya hai aur us ko anjaam tak pohnchaane ki thaani hai.

issi liye khudaa ne her aik kaam ke liye mukhtalif kirdaar peda kiye hen aur un ke zimme mukhtalif kaam lagaaye hen jo unhi kirdaarun ne poore kerne hen ya khudaa ne unhi se poore kerwaane hen. bilkul issi tarah khudaa ne insaanu ko bhi aik khaas maqsad ke liye peda kiya hai aur woh maqsad khudaa ne insaanu hi se poora kerwaana hai.

inhi baatun ko main ne apni mukhatif posts main achhi tarah se explain kiya huwa hai. agar aap ko tafseel darkaar ho ya isse dilchasbi ho to wahaan dekh len. baat aap ke liye saaf ho jaaye gi. aap ke liye laazmi hai maloom karen deeno mazhab main farq kia hai aur kyun hai. agar aap is farq ko kisi wajah se na samajh saken to aap ko religion aur secularism ka farq bhi maloom nahin ho sakta. asal deene islam religion and secualrism ki zid hai.

lihaaza agar aap ko khudaa ki zaat ke baare main fil haqeeqat dilchasbi ho to laazmi maloom karen asal deene islam aur religion aur secularism main farq kia hai aur kyun hai. ye baaten main ne apni posts main poori tarah clear ker di hen. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE, HERE, HERE and HERE.

jab aap ko meri baaten asal deene islam ke baare main theek se samajh aa jaayen gi to aap ko khud bakhud pata chal jaaye ga main kon se station se bol rahaa hun aur aap kon se platforum per khade intzaar ker rahe kisi shai ka.

regards and all the best.
Well bro Mughal, to be honest with you, I don't pay much attention to what you always try to convey to me as I feel you have an agenda and you try to convey that to me…which I am not interested in even a bit, so please don't waste your time on me. I am a simple muslim, who read Quran a couple of times and come to know what God wants me to do and I try to do exactly that…So don't ask me to read Quran at your Here, Here, Here and Here…Thanks
 
kayawish

Chief Minister (5k+ posts)
azeezam kayawish sb, islam deen hai mazhab bilkul hi nahin hai. is liye keh mazhab insaanu ka zaati ya niji ya private maamla hota hai jis ka haqeeqi duniya se kuchh lena dena nahin hota. issi liye ehle mazhab ne mazhab ke saath secularism ko milaa liya hai taa keh duniya ke haqeeqi maamle log apne apne matlabo maqsad ke mutaabiq chalaayen.

mazhab aur secualrism un logoon ne ijaad kiye jo doosrun ko apni ghulaami main laana aur rakhna chahte the.

asal deene islam mazhab aur secularism ki zid hai. khudaa nahin chahta log aik doosre ke haakim yani khudaa banen. aik doosre ka roti paani apne haath main len aik doosre ko apna ghulaam banaane ya banaaye rakhne ke liye.

ummat ka tasawur issi liye khudaa ki taraf se diya gayaa tha. magar afsos ummat ne ummat ka tasawur hi khatam ker daala aur yun log mazhabi aur secularist ho ge hukamraanu, sarmayadaarun aur mullaan ke propagande ki wajah se. yahee wajah hai baad main aane waale log mazhab aur secularism ko hi asal deene islam samajh baithe aur aaj tak yahee kuchh chala aa rahaa hai.

aap khud sochen kia insaan izzat ke roti paani ke baghair is duniya main achhi tarah se zinda reh sakte hen? her giz nahin.

ab mullaan ke islam per nazar daalen. bataaya jaata hai islam ke 5 arkaan hen. yani islam ki bunyaad 5 cheezun per hai ya islam ka daromadaar 5 cheezun per hai. woh 5 chaazen kia hen? 1) sirf aik khudaa ko pooja paat ke qaabil maanana. 2)us ki pooja paat kerna, 3)roze rakhna, 4)zakaat dena aur 5)hajj kerna.

insaan ko izzat ke saath roti pani darkaar hen aur ye insaanu ki bunyaadi zaroorat hen jin ke baghair zindagi ka tasawur hi nahin kiya jaa sakta. is baare main mullaan ke bunyaadi islam main kuchh bhi nahin hai.

kia sirf aik khudaa ko pooja ke qaabil maan lene se kisi ko izzat ke roti pani mil jaate hen? her giz nahin. kia khudaa ki pooja paat kerne se insaanu ko roti pani mil jaate hen? nahin. kia roza rakhne se izzat ke saath roti pani mil jaate hen insaanu ko? nahin. kia zakaat poori tarah se adaa kerne se sab insaanu ko izzat ke roti pani mil jaate hen? her giz nahin. kia makkah main aik kamre ki aik building ki ziyaarat se insaanu ko izzat ke roti pani mil jaate hen? her giz nahin.

aise kaise ho sakta hai keh khudaa insaanu ki bunyaadi zaroortun ko to nazar andaaz ker de aur apni pooja paat ko muqaddam ker le? aisa mumkin hi nahin ho sakta is liye keh jo izzat ke saath zinda hi nahin rahe ga woh khudaa ki pooja paat kab kare ga azaadi ke saath?

to phir asal deene islam kia hai? asal deene islam ke bhi 5 hi arkaan hen. 1)sirf aur sirf haqeeqi khudaa ko hi qaable hukamraani samajhna aur baaqi sab ki hukamraani ki nafi kerna. ye hai asal toheed quran ki roshni main. 2)insaanu ki jamaat qaaim ya khadi kerna ya un ki ummat khadi kerna ya banaana. ye hai asal salaat qaaim kerna. 3) koi kaam aisa her giz na kerna jisse is jamaat ko nuqsaan pohnche aur ye kamzor ho jaaye ya toot phoot jaaye. ye hai asal sowm. 4)her woh kaam kerna jisse ummat yani jamaat ko taqwiyat mile. ye hai asal zakaat.5) to undertake a sacred journey. yani us maqsad ko poora kerne ke liye sab tarah ke kaam kerna jis ke liye kudaa ne insaanu ko peda kiya hai. aur woh maqsad hai insaanu ka mil jul ker issi duniya ko khudaa ke bataaye ke mutaabiq apne liye jannat banaana khudaa ke diye ge naqshe ke ain mutaabiq.

ye hai asal deene islam ke dastooro qanoon ka asal dhaancha. yahee wajah hai jo log dastooro qanoon ke baare main kuchh bunyaadi baaten nahin jaante woh deene islam ko kabhi bhi theek tarah se samajh hi nahin sakte.

inhi arkaane deene islam ka taqaaza hai keh log amro nahi anjaam den in hi ke mutaabiq. her baat inhi ke mutaabiq ya to drust hai ya phir ghalat. laazmi kaamun ko kerna issi liye zaroori hota hia kyunkeh agar woh kaam nahin kiye jaayen ge to phir ummat ke logoon ki zaroorten poori nahin hun gi.

issi liye bahot se kaamun se logoon ko rokna bhi zaroori hota hai keh agar log un kaamun main lag ge to deene islam ke maqaasid ko poora nahin ker saken ge. yahee asal bunyaad hai asal deene islam main amro nahin ki.

ye baaten kis qadar saaf aur ayaan hen aur in ke muqaabil mullaan ka islam dekhen, hai kisi kaam ka? her giz nahin. yahee hai musalmaanu ki tabahi aur barbaadi ka asal sabab lihaaza agar musalmaan ye samajhte hen keh woh is asal deene islam ke baghair hi kaamyaab ho jaaye ge to ye un ki sirf khaam khayaali hai. abhji aur jo kuchh in ke saath hone waala hai woh bhi ye dekh hi len ge agar in logoon ne ghalat rawish se toba na ki aur drust simt ki taraf na chale.

regards and all the best.
itna bada article likne ki kaya zarrorat thee bhai ? ?
 
Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Well bro Mughal, to be honest with you, I don't pay much attention to what you always try to convey to me as I feel you have an agenda and you try to convey that to me…which I am not interested in even a bit, so please don't waste your time on me. I am a simple muslim, who read Quran a couple of times and come to know what God wants me to do and I try to do exactly that…So don't ask me to read Quran at your Here, Here, Here and Here…Thanks

azeezam saboo sb, kabhi akele baith ker thodi dair sochna keh agenda kia hota hai aur kis qadar laazmi hota hia kisi bhi baat ya kaam ke liye. agenda kisi maqsad ke teht koi baat ya kaam kerne ko kehte hen. jis baat ya kaam ka koi maqsad hi na ho woh baat ya kaam kis kaam ka?

rahee ye baat keh mera agenda kia hai? woh aap ko meri tehreeren padh ker hi maloom ho sakta hai jin ka padhna aap ko kisi na kisi wajah se gawaara nahin hai. mera kaam apni samajh ke mutaabiq logoon ko khudaa ka paighaam bataana hai chahe koi sune ya na sune. logoon ka maamla khudaa ke spurd hai jis ke woh bande hen.

albatta jo log roogardaani karen ge un ki khair nahin hai ye khudaa ka apna kehna hai. ye is liye kyunkeh khudaa ne jo behtareen raasta insaanu ko is duniya main jeene ke liye bataaya hai us ke siwaa insaanu ke paas koi aur achhaa raasta hai hi nahin hai. is liye insaan aur jis raaste ke mutaabiq bhi apni is duniya ko chalaane ki koshish karen ge woh naakaam hi hun ge balkeh ulta aik doosre ke haathun zaleelo khawaar bhi hun ge. aur sab duniya ke log dekh rahen hen un ke saath yahee ho rahaa hai, khudaa ki taraf se nahin, logoon ki apni taraf se aik doosre ke saath.

regards and all the best.
 
Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
itna bada article likne ki kaya zarrorat thee bhai ? ?

azeezam kayawish sb, agar kisi ne baat ko samajh liya hai to aap ki baat theek hai aur agar baat is ke bawjood kisi ki samajh main phir bhi nahin ayee to phir itna likhna bhi bahot hi kam saabit huwa hai.

regards and all the best.
 
Saboo

Prime Minister (20k+ posts)
azeezam saboo sb, kabhi akele baith ker thodi dair sochna keh agenda kia hota hai aur kis qadar laazmi hota hia kisi bhi baat ya kaam ke liye. agenda kisi maqsad ke teht koi baat ya kaam kerne ko kehte hen. jis baat ya kaam ka koi maqsad hi na ho woh baat ya kaam kis kaam ka?

rahee ye baat keh mera agenda kia hai? woh aap ko meri tehreeren padh ker hi maloom ho sakta hai jin ka padhna aap ko kisi na kisi wajah se gawaara nahin hai. mera kaam apni samajh ke mutaabiq logoon ko khudaa ka paighaam bataana hai chahe koi sune ya na sune. logoon ka maamla khudaa ke spurd hai jis ke woh bande hen.

albatta jo log roogardaani karen ge un ki khair nahin hai ye khudaa ka apna kehna hai. ye is liye kyunkeh khudaa ne jo behtareen raasta insaanu ko is duniya main jeene ke liye bataaya hai us ke siwaa insaanu ke paas koi aur achhaa raasta hai hi nahin hai. is liye insaan aur jis raaste ke mutaabiq bhi apni is duniya ko chalaane ki koshish karen ge woh naakaam hi hun ge balkeh ulta aik doosre ke haathun zaleelo khawaar bhi hun ge. aur sab duniya ke log dekh rahen hen un ke saath yahee ho rahaa hai, khudaa ki taraf se nahin, logoon ki apni taraf se aik doosre ke saath.

regards and all the best.
Whatever…….. ?
 
Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Whatever…….. ?

azeezam saboo sb, I can only wish for you happiness but wishes only come true if things upon which their fulfilment depends take place. It is because God has made this world to work on basis of cause and effect chain and not on basis of miracles and magic.

Whatever……. ?