جمہوریت : تازہ خدا اور اس کے پجاری

نادان

Prime Minister (20k+ posts)
جمہوریت رائے شماری سے حکمران کے انتخاب کے ساتھ اسے یہ اختیار بھی دیتی ہے کے وہ اس کے حمایتیوں (کم از کم اکیاون فیصد) کی رائے سے کوئی بھی قانون بنا لے چاہے وہ قرآن و سنت سے متصادم ہی کیوں نا ہو. خلافت میں قرآن و سنت سے متصادم قانون سازی نہیں ہو سکتی​


کیا آپ نے پاکستان کا آئین پڑھا ہے .اس کی رو سے قرآن سے متصادم کوئی قانون نھنے بنایا جا سکتا
 

نادان

Prime Minister (20k+ posts)

چلیں شروع کرتے ہیں الله کا نام لے کر کبھی نہ ختم ہونے والی یہ بحث برائے بحث . آپ پہلے آخری خطبے کو غور سے پڑھ کر بتائیں کہ اس سے اسلامی نظام کے خدوخال کے متعلق کیا راہنمائی ملتی ہے ؟؟
محترم قیصر مرزا صاحب، محترم نیاز بروہی صاحب اور محترمہ امل صاحبہ کو بھی اس بحث میں شامل کر لیتے ہیں


اوکے
 

نادان

Prime Minister (20k+ posts)
سب پرانی مثالیں دیتے ہیں حل کوی نہیں بتاتا،،،سعودیہ کے شہری امیرترین ہیں وہاں تو نہ جمہوریت اور نہ خلافت


کس نے کہا سعودیہ کے شہری امیر ترین ہیں ..کبھی آپ وہاں رہے ہیں ؟
 

atensari

(50k+ posts) بابائے فورم
کیا آپ نے پاکستان کا آئین پڑھا ہے .اس کی رو سے قرآن سے متصادم کوئی قانون نھنے بنایا جا سکتا
لیکن ہوتا اس کے برعکس ہے

عدالتیں، تھانے ابھی تک انگریزوں کے چھوڑے قوانین چلا رہے ہیں

 

نادان

Prime Minister (20k+ posts)
لیکن ہوتا اس کے برعکس ہے


اب ہوتا کیا ہے ..یہ الگ بات ہے ..ہر قانون موجود ہے ..لیکن عمل نہیں ..نظام موجود ہے ..چلانے والے کرپٹ .
تو بھائی خرابی جہاں ہے اسے اڈریس کریں .
میرے نزدیک عدلیہ ٹھیک کر دو ..سارے نظام ٹھیک چلیں گے
 

atensari

(50k+ posts) بابائے فورم
اب ہوتا کیا ہے ..یہ الگ بات ہے ..ہر قانون موجود ہے ..لیکن عمل نہیں ..نظام موجود ہے ..چلانے والے کرپٹ .
تو بھائی خرابی جہاں ہے اسے اڈریس کریں .
میرے نزدیک عدلیہ ٹھیک کر دو ..سارے نظام ٹھیک چلیں گے
جس طرح سنت کے مطابق ذبحہ کیا ہوا حرام جانور حلال نہیں ہو جاتا. اسی طرح غیر مسلموں کا نظام ٹھیک کر لینے سے سب کچھ درست نہیں ہو جاتا​
 

Abu Abdul Samad Khan

MPA (400+ posts)
جمہوریت میں بھی تو ساری عوام ایک ساتھ تھوڑی بولتی ہے ..وہ نمائندے چن کر اسمبلی بھیج دیتی ہے ..جو ان کی ترجمانی کرتا ہے
Come on you have understood what I have said. Plz think on it.
Tom dick harry elect their reps who then elect cm or pm
What a joke and mockery of common sense and justice
Over and out
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
jab tak khud ko musalmaan kehlwaane waale quraan ko theek tarah se samajhne per tawajo nahin dete woh quraani nizaam qaaim ker hi nahin sakte. quraani nizaam qaaim kerna to door ki baat hai us ki shuru-aat tak bhi nahin ker sakte.

agra ham ne quraani nizaam qaaim kerna hi hai to quraan ke baghair ham ye nizaam kaise qaaim ker sakte hen? agar quraani nizaam khudaa ki rahnumayee ke baghair qaaim ho sakta to khudaa ko wahee kerne ki zaroorat hi kia thi?

isi liye sawaal peda hota hai keh quraan ko saheeh tarah se samajhne ka drust tareeqa kia hai aur us ke liye insaanu ko kis qisam ke aloom ki kis had tak kis qadar zaroorat hai. agar aap ne khud ko is qaabil hi nahin kiya keh aap quraan ko theek tarah se samajh saken to phir maarte rahiye diwaar main takren aur phhorte raiye apne sarun ko.

aap logoon ne to itni takleef bhi gawaara na ki keh aap ne meri woh baaten bhi maloom na keen jin ke jaane baghair aap kabhi bhi quraan ko theek tarah se samajh hi nahin sakte. yahee wajah hai main ne aap ki tawaj un baatun ki taraf dilaane ki koshish ki hai.

agar aap log thodi aqal istemaal kerte to agar aap khud quraan per research nahin ker sakte to kam se kam un logoon ki baaten hi samajhne ki koshish kerte jin logoon ne quraan per saheeh maanu main apni zindagiyan sarf ki hen. aap bajaaye un logoon ki mehnat se faaida uthaane ke ulta danda le ker unhi ke peechhe pade huwe hen.

aap main se koi aik bhi aisa nahin hai jo saara quraan to aik taraf sirf quraan ki sab se pehli soorat yani al-faatihah ka drust mafhoom hi bayaan ker sake us ke drsut context main. jis taraf jaahil mullaaan ne aap ko lagaaya huwa hai usse aap zarra baraabar bhi idhar udhar hatne ko tayaar hi nahin hen.

main ye baat pakki pakki saabit ker chuka hun keh mullaan ka islam deene islam nahin hai. ye baat aap log bhi jaante hen magar is baat ka izhaar nahin ker rahe. agar ye baat na hoti to aap main kitne log meri baatun ko ghalat saabit ker chuke hote jaise aap aik firqe ke mullaan ki baaten doosre firqe ke logoon ke mullaan ke mutaabiq rad kerte rehte hen.

mere nazdeek sab firqun ke sab mullaan ghalat hen. agar himmat hai to woh mere sawaalaat ke jawaabaat saamne laayen. main ye nahin kehta keh her mullaan ki her baat ghalat hai magar ye keh mullaan ki her baat ka context ghalat hai. is liye keh mullaan log quraan ka mafhoom mazhabi context main pesh kerte hen aik nizaam ke context main nahin.

kabhi socho agar mullaan log quraan ka mafhoom mulki nizaam ke context main bayaan kerte to kia ap log itne jaahil hote jitne ke hen? her giz nahin. is liye ke phir aap bahot zabardast qanoon daan hote. bahot hi zabardast sansdaan hote. bahot hi zabardast falaasfar hote. yun hi aap zabardast siyaasatdaan hote aur intahee zabardast mahire maashiyaat hote waghera waghera. aap main se her koi apna ghar, apna gaaon, apna shehr balkeh apna mulk tak bahot hi ehsan tareeqe se chalaa sakta.

logoon ke andar deene islam se naawaaqfiyat ke siwaa kuchh nahin hai. sochen ye naawaaqfiyat kaise door ho gi aur phir us ko door kerne ka drust program banaayen aur us per theek tarah se amal karen aur baaqi sab khudaa per chhor den. is ka nateeja aap ko apni apni mehnat ke mutaabiq mile ga aur aap issi duniya main aik zabardast tabdeeli dekhen ge drust simt main.

agar aap quraani nizaam laana chahte hen to khud is per meri tarah kadi mehnat kijiye. ye nizaam aa jaaye ga. mullaan ki baatun main apna waqt aur mehnat barbaad mat karen. ye main is liye keh rahaa hun keh mullaan shaitaan log hen jin ko issi maqsad ke liye wajood main laaya gayaa hai taa keh woh deene islam ko apne behuda mazhabi khayaalato jazbaat main chhupaa den aur us main jhakde rakhen, taa keh hukamraan aur sarmayadaar log kamzor logoon ko dabaaye rakhen in main aapas main siyaasi, sarmayadaari aur mazhabi taqseem ker ke. lihaaza apni aankhen kholiye aur in logoon ke haathun mazeed bewaqoof mat baniye aur mazeed barbaad mat hoiye. For detailed explanation of things see HERE.


quraan ka nizaam laana hai to bismillah se pehle taooz padhna ho ga. taooz ke padhne ka maqsad insaanu ko is baat ka ehsaas dilaana hai keh jo kuchh woh apne zehnu main khudaa ke mutaliq ghalat yani mazhabi aur secular khayalaato tasawuraat rakhte hen apni toham parasti aur shakhsiyat parasti ki wajah se un ko woh aik taraf rakh ker quraan ki baatun ko un ke apne context main samajhen, taa keh un ki in jakadbandiyun se jaan chhoote jo logoon ne apne zehnu main apne liye khud banayee hui hen.

taooz ke baad tasmiya yani bismillah padhne ka maqsad ye hai keh logoon ko is baat ka ehsaas dilaaya jaaye keh khudaa woh nahin hai jo logoon ne apne zehnoo main ghadaa huwa hai yani aik jaabir zaalim shakhsiyat balkeh us ka ulat hai, yani rahmaano raheem hai. issi liye to woh hamad ke qaabil hai. is liye keh us ne insaanu ko aik aisa nizaamen hiyaat diya hai jis ki misaal ho hi nahin sakti. issi liye to quraan ki tarah ki kitaab likhna insaanu ke bas ki baat hi nahin hai.

soorat faatiha ki ibtadaa per ghor kijiye. yahaan peghamber ko bataaya jaa rahaa hai keh khudaa ki taraf se elaane aam ker do in baatun ka jo batayee jaa rahee hen. bismillah ka tarjman ye hai keh declare openly or publicly the sent message in the name of Allah. yani ye aik proclamation hai khudaa ki taraf se insaanu ke liye. This declaration is from Allah, the rahmaano raheem fior humanity as a whole.

The way of life advised by Allah is the best possible which has no equivalent because Allah alone is sustainer of the all kinds of creations he has created or will create. Hamad does not mean taareef here, it means appreciation of something that comes from the very bottom of one's heart and is expressed into words involuntatrly eg wow what a beautiful thing sort of thing after the idea has been realised or understood or has been turned into a reality in the real world. This is the kind of appreciation God is looking for from his human creatures. It has nothing at all to do with empty words used during so called praying God. That is just empty lip service that serves no purpose in proper context of the quran.

So put this interpretation of the quranic verses side by side with what mullaans have been telling us and see the difference if you have the needed sense to understand things. maaliki yaumiddeen ka matlab hai woh dor jab deene islam poori insaani duniya main apni poori aabo taab ke saath saamne aa jaaye ga.

kabhi ea haqeeqate muntazar nazar aa libaase majaaz main.

iqbal ke in sherun main issi haqeeqat ki baat ho rahee hai jis ka sab insaani duniya ko intazaar hai. aik is ko theek tarah se samajhne ka keh baghair logoon ke is nizaam ko samjhe ye haqeeqat nahin ban sakta aur doosra jab log khud samajh ker is ko haqeeqat ka roop den ge.

issi liye iqbaal ki jabeen main hazaarun sajde tadapte rahe keh us ki zindagi main ye nizaam qaaim na ho saka jis ki us ko bahot had tak samajh thi magar logoon ko woh ye baat barwaqt samjhaa na saka. is liye keh log aik taraf ziyaada ter jahil aur doosri taraf mazhab zada zehnu ke maalik the.

mullah ki azaan aur mujahid ki azaan aur

iqbal ka kalaam mullaan ke khilaaf kyun hai? issi liye keh mullaan woh shaitaan hai jo hukamraanu aur sarmayadaarun ko tahafuz deta hai. ye logoon ko khudaa ke naam per khudaa ke nizaam se door kerta hai tohamaat parasti ke zariye.
 
Last edited:

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
https://soundcloud.com/user-51417506%2Fteri-arzo-jo-hay

is gaane per ghor karen. agar aap is ko quraan ke mutaliq samajh ker sunen ge to aap ko bahot hi ziyaada achhaa lage ga agar aap quraan ko samajhte hen to. is baat se ye bhi ehsaas karen keh baat ka context badal dene se baat kahaan se kahaan pohnch jaati hai.

meri guzaarish, agar koi munaasib samjhe to meri baatun ko proper urdu font main likh de taa keh meri baat deegar logoon tak bhi pohnch sake jin ko roman font main baaten padhne main mushkil pesh aati hai. mera aur aap ka ajar Allah hi de ga. ham ko yahaan bhi ajar mil sakta hai agar ham aik doosre ki madad se khudaa ka nizaam yahaan bhi qaaim ker len apni zindagyun main.
 
Last edited:

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)

is naat ko suniye aur is ko is context main dekhiye keh aap duniya ko madine ki riyaasat banaane ke safar ka hissa hen phir dekhiye ye aap ko kahaan se kahaan le jaaye gi.


waqte shaadat ye hai keh aap khud khudaa ki kitaab ko theek tarah se samajh ker is ke paighaam ko us tarah logoon tak pohnchaayen jaisa keh is ka haq hai. ye baaten khud kitaab hi main likhi hui hen.

jango jadal ki baat tab aati hai jab haraami log drust baat ko tasleem na karen aur apna zulmo ziyaadati jaari rakhne per zor den.

logoon ne bahot se naghme likhe magar un ko context ghalat de diya jis ki wajah se un ka asar wohee huwa jo ghalat context ki wajah se hona chahiye tha. lihaaza apna qibla drust karo. yahaan se hi samajh lo apna qibla insaan kaise drust kerta hai aur qibla ka kia matlab hota hai. yani manzil aur manzil ki simt ya direction jis ki taraf safar ker rahe ho. agar madine ki rayaasat qaaim kerni hai to ye manzil hai aur us raaase per chalo jis per chal ker aap madina ki riyaasat banaa sako.
 
Last edited:

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
sab insaani duniya siwaaye chand haraami logoon ke issi nizaam ke intzaar main hai jis ko quraan deene islam kehta hai magar sirf intzaar hi ker rahe hen is nizaam ko na talaash kerne ki koshish kerte hen na hi is ko theek tarah se samajhne ki.

apne haraami kaamun per date hen aur khawaaish kerte hen khudayee nizaam ki. aise to khudayee nizaam kabhi bhi nahin aaye ga, is liye keh khudaa ne ye kaam khud insaanu hi ke zimme lagaaya hai. woh ye kaam karen ge to hi ho ga warna nahin. lihaaza jis qadar jaldi insaan ye kaam karen ge ussi qadar jald ye nizaam aa jaaye ga.

issi liye jab bhi quraan main log poochhate hen keh deene islam ka qayaam kab wajood main aaye ga to jawaab milta hai is baat ko sirf khudaa hi jaanta hai. yani ye baat khudaa ne bataa di hai keh kab ye nizaam aaye ga, yani jab tum log is ko laao ge ye aa jaaye ga. ab agar ye nizaam laao ge nahin aur bas is ke intzaar main baithe raho ge keh khudaa ne keh diya hai to ab ye nizaam aa hi jaaye ga to phir baithe raho issi aas per aur apni aik doosre ke haathun tabahi aur barbaadi dekhte raho.
 

نادان

Prime Minister (20k+ posts)
Come on you have understood what I have said. Plz think on it.
Tom dick harry elect their reps who then elect cm or pm
What a joke and mockery of common sense and justice
Over and out


تو آپ چاہتے ہیں کہ مفتی قوی اور مولانا فضل کو اسمبلی بھیج دیا جائے
 

stargazer

Chief Minister (5k+ posts)
Kitaab likh do to parhana asaan ho ga!
1-2 paragraph main agar baat ka khullassa naheen ker saktay to thora or soch laina tha na bhaiyya!
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Kitaab likh do to parhana asaan ho ga!
1-2 paragraph main agar baat ka khullassa naheen ker saktay to thora or soch laina tha na bhaiyya!

azeezi stargazer sb, kam se kam musalmaanu ko aisi baaten her giz nahin kerni chahiyen. is liye keh agar aisa ho sakta to khudaa ko kia zaroorat padi thi quraan dene ki bas do chaar baaten bataa deta aur qissa khatam. zindagi main in baatun ke liye kuchh waqt nikaalna laazmi hai. is liye keh khudaa ne ham insaanu ko ham se apne yani khudaa ke diye ge kaam kerwaane ke liye peda kiya hai. aisa nahin hai keh ham ko peda ker ke chhor diya hai keh jaao moj karo. baar baar quraan main khudaa kehta hai keh main ne ye sab kuchh bila maqsad khel tamaashe ke liye nahin banaaya hai balkeh is ka aik khaas maqsad hai.

baaqi jin logoon ko padhna hai woh zaroor padhen ge aur in baatun ko jaisa woh chahte hen waisa khud hi banaa len ge. yahee wajah hai jin logoon ko ye baaten kitaab ki soorat main munasib lagti hen woh in ko khud print ker len ge. in baatun ka kisi ka issi forum per hi padhna zaroori nahin hai in ko apne paas save bhi kiya jaa sakti hai aur jab chahe aadmi apne munaasib waqt main in ko padh bhi sakta hai.

hope meri explanation aap ke liye aur deegar dostun ke liye bhi helpful hun gi.

regards and all the best.