شرمندگی کی حدہوتی ہے،عمران مشیروں کوکہہ رہےہیں براڈ شیٹ کو ڈیفینڈ کرو؛حنا

gorgias

Chief Minister (5k+ posts)
جی ہاں! شرمندگی کی حد ہوتی ہے لیکن بے شرمی کی کوئی حد نہیں ہوتی حنا صاحبہ۔ پوری دنیا آپ کو چور کہہ رہی ہے لیکن ۔۔۔۔۔
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
contract jo huwa woh aik bahot hi achhi baat ho gayee pakistan ke haq main. Is liye ke is contract ne bahot se crooks benaqaab ker diye. ye aik khudayee haath lagta hai pakistan ko behtari ki taraf le jaane ke liye.

nab ke idaare ki karkardagi bhi saamne aa gayee pilchhli hakoomatun ke adwaar main. ho sakta hai isse deegar idaarun ke logoon ki bhi naqaab kushayee ho jaaye.

fees to agreement ki pakistan ko deni hi deni thi. aaj nahin to kal. is liye khe agar koi mulk kisi agreement ko yaktarfa khatam kerta hai to is ke nataaij bhugatna padte hen. ho sakta hai ye case international court main le jaaya jaata kuchh arse ke baad aur yun jo fees aaj di hai woh us waqt kayee guna badh jaati kyunkeh ghalati saaf saaf pakistan ke logoon aur idaare ki hai.

ye fees waapis bhi mil sakti hai agar contract ko extend ker liya jaaye magar is ke terms main tabdeeli ki zaroorat hai. aik to dono taraf se jo chahe contract khatam ker sake agar dono parties ko munaasib faaida na ho. doosra percent ko renegotiate karen. teesra jo raqam waapis mile recovery se woh qowmi hakoomat ko mile jo is ko awaam per kharch kare.

moussavi ke mutaabiq bahot maal recover ho ga lihaaz us ko bi achhaa khaasa faaida ho ga is liye percentage kam ho sakti hai.