لرزا طاری کردینے والا بیان

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
asal baat jaanane ki ye hai keh ham log islam kehte hi kis shai ko hen? kia pooja paat islam ho sakta hai? her giz nahin.

asal islam to insaanu ko is duniya main saheeh tarah se jeena sikhaata hai. pooja paat ka is duniya main theek tarah se jeena sikhaane se koi taaluq hi nahin hai.

duniya main insaanu ko jeene ke liye kia chahiye? is duniya main jeene ke liye zaroorat ki cheezen. maslan khaane peene ki cheezen, rehne ki cheezen aur deegar saazo samaan. pooja paat ka in baatun se koi taaluq hi nahin hai.

issi se pata chal jaata hai keh mullaan ka islam un ka apna banaaya huwa hai jis ke zariye woh logoon ko asal deene islam se behkaate hen. issi liye mullaan hukamraanu aur sarmayadaarun ke kutte hen jo un ko apni chalaakiyun se awaam se bachaate hen.

asal islam mullaan, sarmayadaarun aur hukamraanu ke shar se awaam ko bachaata hai. issi liye to sab haraami log is ke dushman hen. wajah ye hai keh islam sirf ye nahin kehta keh doosrun ko takleef na do balkeh ye bhi taqaaza kerta hai keh jo takaleef main hen un ki takaleef ko door bhi karo aik doosre ki madad se.

yahee wajah hai islam logoon ko aik jamaat banane ki dawat deta hai. azaan ke ilfaaz per ghor karen to maloom hota hai salaat main falaah hai insaaniyat ki. salaat ka matlab namaaz nahin hai balkeh ye dawat hai insaanu ko aik jamaat banane ki taa keh insaan apni apni maseebatun se falaah paayen mil jul ker aik doosre ki madad se. asal deene islam kia hai? See HERE.