مولانا وحید الدین انتقال فرما گۓ اللہ رحمت فرمائے

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
jis kisi ne bhi islam ko batore mazhab pesh kiya hai us ne deene islam ki koi khidmat nahin ki balkeh ulta us ka raasta roka hai secularism ke zariye. islam ko batore mazhab pesh ker ke aise logoon ne islam ko insaanu ke liye qaable nafrat banaa diya hai jis ka nateeja ye ummat bhugte baghair nahin reh saki aur na hi aainda reh sake gi. is ka nateeja aik to ye huwa hai keh log aapas main lad marte rahe hen, aur doosra ye keh qudrati nizaam ko aise log woh dhiyaan nahin de sake jo dena chahiye tha jisse woh qudrati nizaam main mojood afaat ka shikaar hote rahe hen. lihaaza aaj bhi insaani duniya inhi do baatun ka shikaar hai aur aainda bhi rahe gi agar apni ye rawish badle gi nahin. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE and HERE.

lihaaza logoon ko chahiye aise her shakhs ki dilshikni karen jo islam ko batore mazhab pesh kerne ki jasaarat kare. issi tarah her us shakhs ki hosla shikni karen jo woh baaten quraan ke zimmen lagaaye jo quraan ko ghalat saabit kerti hen bajaaye quraan ko khudaa ki kitaab saabit kerne ke. quraan ke her us tarjamen aur tafseer ko reject karen jo rational na ho balkeh superstitious ho. sirf aur sirf logoon ki aqalmandi waali baatun ko tasleem karen ghalat aur ehmqaana baatun ko nahin.

rahee baat khudaa aur logoon ki aakhirat ki to ye ham ko unhi per chhor deni chahiye. log jaane aur un ka khudaa jaane. ham ko jis baat ka ilm nahin hai ham us main kyun paden. haan itni baat saheeh hai keh khudaa kisi per zulmo ziyaadati nahin kerta. lihaaza jo kuchh insanu ne jis niyat se kiya hai us ko khudaa hi behtar jaanta hai ham nahin. hamaare liye zaroori hai ham quraan se drust baatun ko jaanane ki apni taraf se poori poori koshish karen. doosrun ke peechhe andhe behre ho ker na chalen.

yaad rakhen khudaa ne insaanu ko apna maqsad poora kerne ke liye peda kiya hai na keh khud un ke maqaasid ke peechhe chlane ke liye. is farq ko bahot hi achhi tarah samajhna laazmi hai insaanu ke liye. yahee wajah hai pooja paat islam nahin hai kyunkeh pooja paat se khuda ka maqsade takhleeqe insaani poora nahin hota aur na hi ho sakta hai.
 
Last edited: