نہج البلاغہ قول نمبر ١٢٦

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
عزیزم دہر از انلی ون صاحب، جواب دینے کا شکریہ.

میری سمجھ کے مطابق کوئی شخص کچھ بھی ٹھیک طرح سے نہیں جان سکتا جب تک کہ اس کو کسی شنے کا علم حاصل کرنے کے لوازمات حاصل نہ ہوں.

There is only 1 sb, ye likhne ke liye mujhe 15 minute lag ge.

albatta agar aap madad ker saken to khudaa ke liye zaroor karen.
 
There is only 1

Chief Minister (5k+ posts)

azeezam there is only sb, thank you for replying.

meri samajh ke mutaabiq koi shakhs bhi kuchh bhi theek tarah se nahin jaan sakta jab tak keh us ko kisi shai ka ilm haasil kerne ke lawaazmaat haasil na hun. her baat theek tarah se samajh main aane ke liye maqsad ka taqaaza kerti hai. jis baat ya shai ka koi maqsad hi na ho us ko samjha hi nahin jaa sakta.

us ki misaal main kuchh is tarah se dun ga keh agar aik shakhs kisi shai ka ilm haasil kerna chahta hai to us ke liye laazim hai keh woh us ke liye darkaar tamaam lawaazmaat rakhta ho. yani agar kisi shai ko dekh ker us ka ilm haasil hota hai to phir laazmi hai keh aise shakhs ke paas aankhen hun jin se woh dekh sake. magar sirf aankhen insaan ko ilm nahin de saktin keh aankhen andhere main nahin dekh saktin. lihaaza aankhun ke saath saath roshni ka hona bhi laazmi thehrta hai.

ab agar insaan ke paas aankhen hen aur roshni bhi hai magar jo woh dekhna chahta hai wohee mojood nahin hai to phir aankhen aur roshni kis kaam ki? lihaaza aankhen, roshni, aur dekhne waali shai sab hi aapas main laazimo malzoom hen.

in sab ke hote huwe bhi insaan ilm haasil nahin ker sakta agar us ke paas cheezun ke samajhne ki salahiyat hi na ho yani aqal hi na ho.

ab in chaar baatun ke bawjood insaan baat ko nahin samajh sakta jab tak in sab ka koi context ya sayaaqo sabaaq hi na ho. ye sab mil ker ab 5 baaten ho gayeen.

ab sawaal peda hota hai keh in sab baatun ka drust context ya sayaaqo sabaaq kahaan se mile ga?

ye context mazkoora cheezun ke asal yani drust maqsad se mile ga. ab phir sawaal peda hota hai ye maqsad kahaan se mile ga?

ye maqsad saheeh tor per sirf aur sirf ussi se mile ga jis ne ye sab cheezen apne plan ke mutaabiq banayee ya design ki hen apne maqsad ko poora kerne ke liye.

meri samajh ke mutaabiq is baat ka jaanana her shakh ke liye laazmi hai taa keh woh aane waali mazeed explanation to theek tarah se samajh sake.

kia aap meri in baatun se itifaaq ker sakte hen ya aap ko ye baaten ghalat maloom hoti hen.

aik baat aur, aur woh ye keh aap bhi aisa hi andaaz apnaayen apni baatun ko doosrun ko samajhaane ke liye. doosrun per sawaalun ki bochhaar kerne se maamla ulajh ker reh jaata hai. aap khud hi munaasib sawalaat uthaaiye aur saath hi un sawalaat ka apni samajh ke mutaabiq jawaab bhi dijiye. woh jawaab drust hen ya ghalat logoon ko decide kerne den jo apne apne aqlo fiker ke mutaabiq hi baat ko samjhen ge. agar aap ki baat kisi ko drust lage gi to woh maan le ga warna woh us per sawalaat uthaaye ga aur aap ki marzi us ko jawaab den ya khamoshi ikhtiyaar karen.

ham sab insaan hen aur is duniya main koi bhi insaan aisa peda nahin huwa hai jis ko her shai ka ilm haasil ho. ilm ki had ka taaiyun maqsade takhleeq per munhasir hota hai. jis shai ko khudaa ne jis maqsad ke liye peda kiya hai ussi ki had tak us ko ya to ilm diya gayaa hai khudaa ki taraf se ya woh shai khud ussi qadar ilm haasil ker sakti hai kyunkeh khudaa ne us ke andar utni hi salahiyat rakh di hai aur baaqi ussi ki marzi per chhor diya hai keh chahe to ilm haasil kare aur chahe to unjaan rahe. khudaa ne insaanu ko ilm nahin malumaat di hen. ilm aur malumaat main farq hota hai. insaanu ka malumaat ko theek tarah se samajh lene ka naam ilm hai.

yahee wajah hai bemaqsad ilm jis ki insaanu ko koi zaroorat hi nahin hai woh quran main sire se mojood hi nahin hai. yaheen se pata chal jaata hai keh quran main her shai ka ilm nahin hai balkeh jis ilm ki insaanu ko khudaa ka diya huwa maqsad ko poora kerne ke liye zaroorat thi bas wohee ilm quraan main insaanu ko diya gayaa hai.

agar ham quraan ke tarjame aur tafseeren padhen to ham ko maloom ho jaata hai keh tarjamen aur tafseeren kerne waalun ne quraan se us ka maqsade nazool maloom hi nahin kiya aur tarjamen ker daale. khair ye baat doosri taraf nikal jaaye gi. abhi mujhe mazeed aise hi haqaaiq bayaan kerne hen jin ke baghair kisi ka quraan ko theek tarah se samajhne ka dawa drust saabit ho hi nahin sakta.

aap mere bayaan kiye ge is usool per apna tabsra kerne ka poora poora haq rakhte hen. is liye ta keh agar is main kuchh khaamiyan hun to main un ko aap ki madad se door ker sakun. agar aap ko meri ye baat samajh main na aaye to main is ko mazeed mufassal ker ke bayaan ker sakta hun. aur agar aap baat ko samajh ge hen to phir main aage chalun ga ta keh main aap ko agli baat se aagaah karun. yahee baaten hen jo main pehle bhi bayaan ker chuka hun.

in baatun ko bayaan kerne se faaida ye hota hai keh ham insaanu ko maloom ho jaata hai kia mumkin hai aur kia naamumkin. lihaaza aise tamaam aqeede jo aise usoolun per poore na uterte hun un ka saaf saaf pata chal jaata hai. yahee wajah hai quraan ko us ke maqsad ke mutaabiq samajhna laazmi hai warna maamla gard bard ho jaata hai. yahee wajah hai main qurano hadis per baat nahin kerta jab tak log in baatun ko achhi tarah se zehn nasheen na ker len jo main abhi mazeed bataane waala hun.

meanwhile regards and all the best.

ye maqsad saheeh tor per sirf aur sirf ussi se mile ga jis ne ye sab cheezen apne plan ke mutaabiq banayee ya design ki hen apne maqsad ko poora kerne ke liye.
یعنی الله تعالیٰ ؟
آپ درست فرما رہے ہیں ، بس اتنا سا اضافہ کر دوں کہ الله خود آ کر ہمیں نہیں سمجھاتا بلکے اپنے رسل اور آئمہ کے زرائے ہمیں علم دیتا ہے جیسا کہ قرآن میں ارشاد ہے

[21:7]
ااگر تم نہیں جانتے تو اہل ذکر سے پوچھ لو۔

نہ جاننے کا دائرہ لامحدود ہے اس لئے اہل ذکر کا علم بھی لامحدود ہونا چاہیے
meri samajh ke mutaabiq is baat ka jaanana her shakh ke liye laazmi hai taa keh woh aane waali mazeed explanation to theek tarah se samajh sake.
اگر کوئی عام انسان سوچ وچار کرنا چاہے تو یقینا اس کے لئے یہ باتیں جاننا اہم ہیں

اجتہاد کرنا ناپسندیدہ نہیں لیکن کئی مواقوں پر انسان تجربے سے سیکھنے کا متحمل نہیں ہو سکتا جیسا کہ کرونا کی مثال ہے . جتنی دیر میں کرونا کا علاج دریافت ہو اتنی دیر میں پچاس لکھ اموات ہو چکیں ہیں

agar ham quraan ke tarjame aur tafseeren padhen to ham ko maloom ho jaata hai keh tarjamen aur tafseeren kerne waalun ne quraan se us ka maqsade nazool maloom hi nahin kiya aur tarjamen ker daale
سنی مذھب کے لئے یہ باتیں درست ہیں لیکن ہمارے لئے نہیں

ہمارے آئمہ یعنی اہل ذکر لوگ ہر ضروری بات یعنی ناسخ و منسوخ ، متشابہ محکم ، مکی مدنی وغیرہ سمجھتے تھے لہٰذا ان کی تفسیر کامل ہوتی ہے

shukriya azeezam there is only 1 sb for your input.

aap ne kuchh naqte uthaaye hen jin se maloom hota hai aap per baat munaasib had tak ayaan nahin ho saki. is ke liye mujhe waqt darkaar hai lihaaza main koshish karun ga keh ahista ahista aik aik baat ko mazeed tafseel se bayaan karun. umeed kerta hun aap is main mera saath den ge.

1)ye maqsad saheeh tor per sirf aur sirf ussi se mile ga jis ne ye sab cheezen apne plan ke mutaabiq banayee ya design ki hen apne maqsad ko poora kerne ke liye.
یعنی الله تعالیٰ ؟
آپ درست فرما رہے ہیں ، بس اتنا سا اضافہ کر دوں کہ الله خود آ کر ہمیں نہیں سمجھاتا بلکے اپنے رسل اور آئمہ کے زرائے ہمیں علم دیتا ہے جیسا کہ قرآن میں ارشاد ہے

Yahaan per mujhe aisa lag rahaa hai keh insaan aur khudaa ki zaat ke ilm main farq ko samajhne main aap ko ghalati lag rahee hai.

samajhne ki baat yahaan per ye hai keh khudaa aur insaan ke ilm main aik khaas farq hota hai. woh ye keh khudaa ka ilm qadeem hai aur insaan ka ilm haadas hai. yahee nahin khudaa ka ilm bizzaat hai aur insaan ka ilm khud apna tajarbaati haasil kiya huwa hota hai aur is ilm ko haasil kerne main insaan ko waqt lagta hai. is baat se insan ko chhutkaara haasil hi nahin hai na hi haasil ho sakti hai.

khudaa ne jo baat bhi insaanu ko wahee ke zariye batayee hai us ko insaanu per khulte khulte waqt lagta hai. jab jab jo jo insaan us darje per pohnchta jaata hai woh ilm us ko haasil hota jaata hai. issi liye khudaa ki taraf se her baat pehli dafa hi mukkamal aur poori yani absolute hoti hai magar insaan ke liye wahaan tak pohnchte pohnchte zindagiyan guzar jaati hen issi liye insaanu ke lihaaz se her baat relative hoti hai khe absolute ho hi nahin sakti.

is ki misal aap yun samjhen keh aap ke paas phd hai chemistry main. ab aap ke haan aik bacha peda huwa hai. aap us ko apne level ka ilm yaqdam mutaqil nahin ker sakte. haan us ko baaten hifz karwaa sakte hen batore maloomaaat magar un ka ilm us ko ussi waqt haasil ho ga jab woh khud un baatun per ghoro fiker ker ke nateeja nikaale ga. matlab us ko aap ke malumaat dene ke bawjood aise tajarbaat se guzarna hi ho ga jo us ke liye aap ki di hui malumaat karaamand banaa saken. warna aap ki saari mehnat bekaar ho jaaye gi.

issi liye main ne kahaa hai keh khudaa bhi insaanu ko ilm nahin de sakta sirf aur sirf malumaat de sakta hai jin se insaan agar chahen to faaida uthaa sakte hen warna nahin. ye is liye keh khudaa ne insaanu ko jis maqsad ke liye peda kiya hai ye ussi maqsad ka taqaaza hai. logoon ko ye ghalat fehmi hai keh khudaa kyunkeh khudaa hai lihaaza woh sab kuchh yakdam ker sakta hai. drust baat yahee hai keh khudaa apne maqsad ka paband hai. woh koi baat ya kaam aisa ker hi nahin sakta jo khud ussi ke maqsad ke khilaaf ho ya us ki tardeed ker de warna khudaa apna maqsad hi poora nahin ker sakta aur aisa khudaa ke liye naamumkin hai yani khudaa ka apne maqsad main naakaam rehna ya reh jaana.

aap ne corona ki misaal di hai ye baat bhi issi tanaazur main samajh aati hai ya aa sakti hai warna nahin. yahee wajah hai ham tajarbe jaari rakhen ge aur tajarbun hi se seekhen ge aur koi bi tareeqa hamaare paas nahin hai. agar corona ke baare main ham ko khudaa ne quraan main bhi bataaya hota to bhi ham ko tajarbaat hi se guzar ker khudaa ki baat samajh main aa sakti thi warna nahin.

is ki misaal aap yun samjhen keh aap aik, aik saal ke bache ko kehte hen keh beta mere liye chaaye ka aik cup banaa laao. agar usse maloom hi nahin hai keh cup kia hota hia aur chaye kia balaa hoti hai to woh aap ko chaaye banaa ker nahin de sakta. yahee nahin agar aap us ko zabaani tor per baat samjhaa bhi den ge to phi jab tak woh khud tajarba nahin kare ga woh theek tarah se chaaye nahin banaa sake ga. yani theory ke saath saath application or practical bhi laazmi hota hai.

theory yani tareeqae kar samjhaa dena lafzun main. application yani kis lafz ka kia matlab hai yani kis cheez per us ka itlaaq hota hai ya kis shai ke mutaliq hai aur practical ye keh is kaam ko ker ke dekh liya jaaye ya ker ke dikhaa diya jaaye aur phir us bache ko kahaa jaaye keh ab aap is ko ker ke dekh lo. chaaye kia hai, cup kis ko kehte hen bache ko sab dekhaa dena aur chaaye kaise banti hai bache ko ker ke dikhaa dena phir us ko kehna keh jaise bataaya hai waise aap bhji ker ke dekh lo ye hai theory, application aur us ka practical. lihaaza tajarbaat ke baghiar insaan koi ilm bhi seekh hi nahin sakta. ye hai insaan ki limitation ya had.

2)[21:7]
ااگر تم نہیں جانتے تو اہل ذکر سے پوچھ لو۔

is aayat ke tukde ka ye matlab ho hi nahin sakta jo aap ne liya hai. is duniya main kabhi bhi koi insaan bhi aisa nahin tha na hai aur na hi kabhi ho ga jis ko her maamle main her baat ka theek theek ilm ho. insaanu ko do cheezun ka ilm darkaar hai aur woh bhi un ke maqsade takhleeq ki had tak. asal baat hi maqsade takhleeq hai jis per log theek tarah se ghoro fiker nahin ker rahe. jis per main yahaan baar baar baat ki hai. asal maqsade takhleeq ko jaanane ke baad quraan ki drust samajh aana shuroo ho jaati hai. maghar ab main is per baat kuchh mazeed usooli baaten saamne laane ke baad karun ga.

yahaan sirf yahee baat drust hai keh insaan her shai se ilm haasil ker sakta hai us ke saath interact ker ke aur issi tarah insaan nasal dar nasal apne tajarbaati aloom doosrun ko sikhaate aaye hen ya muntaqil kerte aaye hen. wahee kia hoti hai aur khudaa kaise insaanu main se baaz ko isse nawaazta hai ye aik alag baat hai jis per baad main baat ho sakti hai. abhi ham ko sirf bunyaadi baatun ko saaf saaf samajhnme ki koshish kerna hai.

3)نہ جاننے کا دائرہ لامحدود ہے اس لئے اہل ذکر کا علم بھی لامحدود ہونا چاہیے

aap ki ye baat drust context ki mohtaaj hai. jis baat ka drust context hi na ho us per behs kerna waqt ka ziaa hai. khudaa ke wajood ke baare main is baat ka matlab yahee ho ga keh insaanu ke liye khudaa ki zaat ka inkaar mumkinn nahin hai. is liye keh insaanu ko her shai ka ilm hi nahin hai lihaaza woh khudaa ke wajood ka inkaar kaise ker sakte hen? jab insaani ilm mehdood kainaat ko moheet nahin hai to phir infinite to infine hi hota hai jo aur bhi badi baat hai.

khudaa ki zaat laa mehdood hai magar woh hamaari samajh ke liye aik baat hai warna insaan khudaa ki zaat ke baare main kuchh khaas ilm nahin rakhte aur na hi rakh sakte hen bajuz us ke jo khudaa ke apne bataane se zahir hota hai. warna log bahot se khayaali ghode dodaate rehte hen aur bekaar sawalaat main apna waqt zaaya kerte rehte hen. misaal ke tor per, kia khudaa mar sakta hai, ya peda ho sakta hai, ya khudaa ka koi beta ya baap ho sakta hai, kia khudaa koi aisa pathar peda ker sakta hai jis ko woh uthaa na sake waghera waghera. aisi baaten logical fallacies ke zumre main aati hen. keh ye baaten self defeating hoti hen. yani apne aap ki khud hi tardeed ker deti hen.

phir ye keh khudaa ko maanane waale insaan bhi khudaa ko kisi maqsad hi ke liye aur ussi maqsad ke mutaabiq hi maante hen. agar insaanu ke zehnu main khudaa ke baare main koi tasawur hi na ho to woh khudaa ko maane ge kis liye ya maan kaise sakte hen? yahee wajah hai khudaa ke baare main insaanu ke tasawuraat drust hone chahiyen ta keh log khudaa ke baare main ghalat ya ghatya qisam afkaaro nazriyaat se nijaat pa saken aur khudaa ko maanane se un ko kuchh achhaa haasil bhi ho sake. sab insaani duniya issi liye tabaho barbaad ho rahee hai keh logoon ke zehnu main khudaa ke baare main bahot hi ghatiya qisam ke tasawuraat hen. ye sab baaten apne apne maqamaat per khulti jaayen gi.

meri soch ke mutaabiq makhlooq ke liye bila maqsad laa mehdoodiyat mumkin hi nahin hai. warna makhlooq ko bhi khudayee sifaat se muttasif maanana laazim aata hai.

4)سنی مذھب کے لئے یہ باتیں درست ہیں لیکن ہمارے لئے نہیں

ہمارے آئمہ یعنی اہل ذکر لوگ ہر ضروری بات یعنی ناسخ و منسوخ ، متشابہ محکم ، مکی مدنی وغیرہ سمجھتے تھے لہٰذا ان کی تفسیر کامل ہوتی ہے

main is baat per aap se itifaaq nahin kerta. kuchh wajuhaat to bataa chuka hun aur kuchh aage chal ker bataon ga. mere liye bunyaadi tor per kisi ka mazhab bhi kisi doosre se koi khaas mukhtalif nahin hai. albatta ye baaten logoon ko waqt ke saath samajh aati jaayen gi jab jab main in ko apne andaaz se explain karun ga, lihaaz main ab aap se apni agli post tak ijaazat chahun ga.

agli post main, main bila wasta seekhne yani direct learning ke baare main baaten karun ga.

meanwhile regards and all the best.
 
Last edited:

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
azeezam there is only 1 sb, ye post continuation hi hai ooper waali post ki jis main main mazeed kuchh usooli baaten bayaan karun ga.

1)sawaal, direct learning kia hoti hai? ye insaanu ko khudaa ki taraf se ataa karda aik salahiyat hai jis ki wajah se insaan cheezun ko apne tajarbaat ki madad se seekta hai. yaheen se insaani ilm ki bunyaad shuroo hoti hai. yahee wajah hai khudayee ilm absolute hota hai aur insaani ilm relative hota hai, absolute kabhi bhi ho hi nahin sakta kyunkeh us main koi na koi kisi na kisi lihaaz se khaami reh hi jaati hai. albatta maqsad ke lihaaz se is ilm main koi nusaandeh nuqs nahin rehta.

insaan ilm kaise seekhta hai? jab insaan peda hota hai to woh cheezun ko mehsoos kerna shuroo ker deta hai apne mukhtalif hawaas ki madad se. insaani dimaagh in baatun ko apne ander jazb kerta rehta hai aur in per apna radde amal shuroo rakha hai ta keh in mehsusaat ko aqlan samajh sake. issi liye insaani dimaagh ke ander aik naqsha banta chala jaata hai bahir ki duniya ke mutaliq. issi ko ham zindagi ka tajarba kehte hen jis ki madad se insaan nai nai baaten seekhta chala jaata hai. isse saaf saaf zahir hai keh insaan her shai se ilm haasil kerta hai jo us ki pohnch main ho. yahee wajah hai jo shai insaan ki pohnch se bahir ho woh us ka ilm seekh hi nahin sakta.

insaan issi tarah apne jism ke azaa ko istemaal kerna seekhta hai. yun hi woh uth ker baithna seekhta hai, reengna ya ghutnun ke bal chalna seekhta hai, khadaa hona seekhta hai aur uth ker chalna aur phir dordna seekhta hai. yun hi baaten kerna seekhta hai aur phir padhna likhna seekhta hai. deegar cheezun ka istemaal seekhta hai waghera waghera. in baatun se koi bhi inkaar ker hi nahin sakta. sab se pehle insaan un cheezun ke baare main seekhta hai jo us ki dastaras main hun yani jahaan tak woh ponch sakta hai. jahaan woh khud nahin pohnch sakta wahaan se indirect learning shuroo hoti hai. direct learning main aik problem hoti hai aur woh ye keh insaan ke dimaagh ko kabhi kabhi kisi maamle main mughaalta bhi lag jaata hai jisse ham human error kehte hen. lihaaza insaani direct learning maqsadan to theek hai magar 100% drust ho hi nahin sakti kyunkeh insaan ghalati kerne se paak ho hi nahin sakta. woh ghalatiyun pe ghalatiyan ker ker ke hi seekhta hai. yahaan tak agar koi us ko sikhaata bhi hai keh ye kaam aise kerna hai phir bhi us ko waqt lagata hai kisi bhi kaam ko theek tarah se kerne ke liye. matlab ye keh insaanu wohee kuchh hai aur ho sakta hai jaisa khudaa ne us ko banaaya hai. insaan ko khudaa banaa lena issi liye bahot hi ghalat baat hai.

2)indirect learning kia hoti hai? indirect learning insaan ki majboori hoti hai keh jahaan woh khud nahin pohnch sakta wahaan woh doosrun ki madad haasil kerta hai jahaan doosrun ki pohnch ho. is ki misaal yun samajh len keh aap aik shahr main hen aur doosre shehr ke halaat jaanana chahte hen to aap ko wahaan mojood ashkhaas wahaan ke baare main kuchh bataa sakte hen. albatta jab ham doosrun per inhisaar kerte hen kuchh seekhne ke liye to phir ghalati ka imkaan mazeed badh jaata hai. is liye keh doosre log ham ko ghalat baaten bhi bataa sakte hen. aik to is liye keh un ko bhi khud hamaari hi tarah ghalati lag sakti hai. aur doosra is liye keh insaan her baat doosrun ko bataana munaasib nahin samajhte jisse un ko nuqsaan ka andesha ya ehtmaal ho. teesri ye baat ke logoon ke apne apne mufadaat hote hen jin ki wajah se woh sachi baat chhupaa sakte hen aik doosre se aur jhooti baat aik doosre ko bataa sakte hen. is liye sawaal peda hota hai doosrun ki ghalat baatun ko kaise pakda jaaye aur un ke shar se bacha jaaye? is ke liye insaanu ko rules of judgement ki zaroorat padi aur unhune woh rules of judgement ijaad ker liya jo aaj tak duniya mian her court of law main istemaal hote hen aur hote rahen ge. agarche ye 100% to kaam nahin karte laikin maqsade hayaat ke liye ye intahee madadgaar hote hen. yahaan se ye baat bhi maloom ho gayee keh rules of judgement aaye kahaan se hen aur kaise. issi liey khete hen zaroorat ijaad ki maan hai.

khudaa ki taraf se insaanu ki taraf wahee bhi indirect learning ke zumre main aati hai. is liye keh ye insaani tajarbaat se waraa shai hai. wahee ilm is lihaaz se hoti hai keh ye information hoti hai yani malumaat. insaanu ke liye ye ilm tab banti hai jab insaan is ko theek tarah se samajh lete hen. insaan wahee ko apni menhato mushaqqat se haasil nahin ker sakte. albatta wahee kaise anbiyaa ko milti hai ye khudaa hi jaanta hai ya woh jin ko ye khudaa ki taraf se mili hai yani paighambar log. aam insaan sirf itna hi ker sakte hen keh jis baat ko un tak khudaa ki wahee keh ker pohnchaaya gayaa hai us ko aqlan tanqeedi nazar se dekhen aur agar woh drust maloom ho to us ko qabool ker len warna us ko thukraa den ya naa manzoor aur radd ker den naa-qaableqabool hone ki wajah se. yahee wajah hai khudaa ki taraf se koi baat bhi aisi nahin aa sakti jo khilaafe haqaaiq ho ya khilaafe aqal ho. wahee ko parakhna ya jaanchne ka sirf aur sirf yahee mayaar ya pemaana hai. yahee wajah hai her woh baat jo khudaa ki taraf mansoob ki jaaye magar woh khilaafe haqaaiq ya khilaafe aqal ho to woh khudaa ki taraf se ho hi nahin sakti. is liye keh khudaa ke baare main ye baat sochi bhi nahin jaa sakti keh woh ghalat ya bewaqoof ki baat ker sakta hai.

3)process of elimination or isolation kia hai aur kaise kaam kerta hai? insaan information ya malumaat ke baare main selective kyun hote hen yani sirf aur sirf apne matlab ki baat ko kyun lete hen aur baaqi baatun ko chhor dete hen? is liye keh insaan is maamle main aur kuchh ker hi nahin sakta woh keh majboor hai keh apne matlab hi se matlab rakhe. yahaan bhi maqsad hi bunyaad hai keh maqsad drust hai to maqsad ke mutaabiq matlab ki baaten le lena aur baaqi sab ko chhor dena hi drust tareeqa hai kisi bhi maamle ko drust tareeqe se niptaane ka. is ke baghair chaara hi nahin hai. is liye keh insaan laa mehdood ilm nahin rakhta aur na hi rakh sakta hai. us main itni kushaadagi hai hi nahin aur na hi ho sakti hai. insaan ko her shai maqsade takhleek ke mutaabiq di gayee hai khudaa ki taraf se. issi liye woh apne maqsade takhleek to poora kerne main agar chahe to apna hissa daal sakta hai magar aur kuchh bhi nahin ker sakta.

is process ko samjhne ke liye kuchh misaalen di jaa sakti hen. maslan agar aap ne aik chooza pakaana hai to aap saari dukaan uthaa ker ghar main nahin le aate balkeh aap sirf aur sirf is maqsad ko poora kerne waali cheezen bazaar se khareed ker laate hen. aap ghar main zaroorat ki cheezun ki list banaate hen aur phir dukaan se jaa ker soda salf khareed laate hen. bila zaroorat aap kuchh nahin laate. zaroorat ko poora kerna hi aap ka maqsad hota hai. agar aap aise hi cheezen ikathi kerte jaayen to aap un ko rakhen ge kahaan? ghar main to un ke liye jaga bhi nahin ho gi. phir faaltoo cheezen ghar main padi padi kharaab ho jaayen gi. aap ne dekha keh drust maqsad kitna zaroori hota hai kisi maamla ko theek tarah se anjaam dene ke liye?

issi tarah agar aap ko koi jismaani takleef ho aur aap ko daakter ke paas jaana pade to wahaan daakter aap ko fori mashinen nahin lagaaye ga pehle aur na hi bila zaroorat sawalaat poochhne baith jaaye ga. kyunkeh ye sab waqt ka ziaa ho ga. issi liye woh pehle aap se poochhe ga keh aap ko takleef kia hai jo aap ko mere paas layee hai. lihaaza jab aap us ko apni takleef bataayen ge to phir woh ussi takleef ko madde nazar rakh ker usse mutalqa baaten hi poochhe ga aur munaasib dawayee de de ga. lihaaza matlab se matlab rakhna hi drust tareeqa hota hai her maamle main. idhar udhar ki baatun main ulajh ker reh jaana maqsad ko poora hi nahin hone deta. issi liye zaroori hai maqsad ko samjha jaaye aur phir us maqsad ko poora kerne ke tareeqe ko maloom kiya jaaye aur phir us maqsad ko poora kiya jaaye. yahee wajah khud khudaa bhi maqsad se hat ker koi kaam nahin kerta na hi ker skata hia warna us ka maqsad dhare ka dhara hi reh jaaye ga. is liye keh ya to koi apne maqsad ko poora kare ga ya phir idhar udhar ki baatun ya kaamun main apna waqt zaaya kare ga. ye dono baaten aik doosre ki zid hen. aik ho gi to doosri nahin ho sake gi.

maqsad ko saamne rakhne ka faaida ye hai keh agar maqsad saamne ho ga to koi bhi aap ko ye nahin keh sake ga keh aap ki baat ya kaam out of context ya bemaqsad hai ya siyaqo sbaaq se hat ker hai. himmat hi nahin pade gi kissi ki. issi liye maqsad per behs her behs per muqaddam hoti hai. maqsad ko ayaan kiye baghair idhar udhar ki haankna waqt ka ziyaa hota hai aur usse kuchh bhi haasil nahin hota. issi liye main maqsad ko saamne laane per zor deta hun taa keh sach saaf saaf saamne aa sake kisi bhi maamle main warna confusion door ho hi nahin sakta chahe koi jo merzi ho ker le.

jo baaten main ne yahaan tak biyaan ki hen un se hat ker koi kuchh bhi theek tarah se jaan hi nahin sakta aur na hi theek tarah se ker sakta hai. ab agar in main koi ghalati ho ya kisi baat main aap izaafa kerna chahen baatun ko mazeed asaan kerne ke liye to aap ker sakte hen. yahee nahin agar aap ko mera tareeqa cheezun ka ilm haasil kerne ka ghalat maloom ho to aap apna tareeqa bataa sakte hen agar woh mujhe drust laga to main us ko qabool loon ga. waise ye baat kehne ki zaroorat nahin hoti kyunkeh dimaagh drust baat ko khud bakhud qabool ker leta hai agar woh theek tarah se samjhayee gayee ho. baat sirf theek baat ko theek tarah se samajhne ki hoti hai.

mazeed baad main meanwhil regards and all the best.
 
There is only 1

Chief Minister (5k+ posts)

shukriya azeezam there is only 1 sb for your input.

aap ne kuchh naqte uthaaye hen jin se maloom hota hai aap per baat munaasib had tak ayaan nahin ho saki. is ke liye mujhe waqt darkaar hai lihaaza main koshish karun ga keh ahista ahista aik aik baat ko mazeed tafseel se bayaan karun. umeed kerta hun aap is main mera saath den ge.

1)ye maqsad saheeh tor per sirf aur sirf ussi se mile ga jis ne ye sab cheezen apne plan ke mutaabiq banayee ya design ki hen apne maqsad ko poora kerne ke liye.
یعنی الله تعالیٰ ؟
آپ درست فرما رہے ہیں ، بس اتنا سا اضافہ کر دوں کہ الله خود آ کر ہمیں نہیں سمجھاتا بلکے اپنے رسل اور آئمہ کے زرائے ہمیں علم دیتا ہے جیسا کہ قرآن میں ارشاد ہے

Yahaan per mujhe aisa lag rahaa hai keh insaan aur khudaa ki zaat ke ilm main farq ko samajhne main aap ko ghalati lag rahee hai.

samajhne ki baat yahaan per ye hai keh khudaa aur insaan ke ilm main aik khaas farq hota hai. woh ye keh khudaa ka ilm qadeem hai aur insaan ka ilm haadas hai. yahee nahin khudaa ka ilm bizzaat hai aur insaan ka ilm khud apna tajarbaati haasil kiya huwa hota hai aur is ilm ko haasil kerne main insaan ko waqt lagta hai. is baat se insan ko chhutkaara haasil hi nahin hai na hi haasil ho sakti hai.

khudaa ne jo baat bhi insaanu ko wahee ke zariye batayee hai us ko insaanu per khulte khulte waqt lagta hai. jab jab jo jo insaan us darje per pohnchta jaata hai woh ilm us ko haasil hota jaata hai. issi liye khudaa ki taraf se her baat pehli dafa hi mukkamal aur poori yani absolute hoti hai magar insaan ke liye wahaan tak pohnchte pohnchte zindagiyan guzar jaati hen issi liye insaanu ke lihaaz se her baat relative hoti hai khe absolute ho hi nahin sakti.

is ki misal aap yun samjhen keh aap ke paas phd hai chemistry main. ab aap ke haan aik bacha peda huwa hai. aap us ko apne level ka ilm yaqdam mutaqil nahin ker sakte. haan us ko baaten hifz karwaa sakte hen batore maloomaaat magar un ka ilm us ko ussi waqt haasil ho ga jab woh khud un baatun per ghoro fiker ker ke nateeja nikaale ga. matlab us ko aap ke malumaat dene ke bawjood aise tajarbaat se guzarna hi ho ga jo us ke liye aap ki di hui malumaat karaamand banaa saken. warna aap ki saari mehnat bekaar ho jaaye gi.

issi liye main ne kahaa hai keh khudaa bhi insaanu ko ilm nahin de sakta sirf aur sirf malumaat de sakta hai jin se insaan agar chahen to faaida uthaa sakte hen warna nahin. ye is liye keh khudaa ne insaanu ko jis maqsad ke liye peda kiya hai ye ussi maqsad ka taqaaza hai. logoon ko ye ghalat fehmi hai keh khudaa kyunkeh khudaa hai lihaaza woh sab kuchh yakdam ker sakta hai. drust baat yahee hai keh khudaa apne maqsad ka paband hai. woh koi baat ya kaam aisa ker hi nahin sakta jo khud ussi ke maqsad ke khilaaf ho ya us ki tardeed ker de warna khudaa apna maqsad hi poora nahin ker sakta aur aisa khudaa ke liye naamumkin hai yani khudaa ka apne maqsad main naakaam rehna ya reh jaana.

aap ne corona ki misaal di hai ye baat bhi issi tanaazur main samajh aati hai ya aa sakti hai warna nahin. yahee wajah hai ham tajarbe jaari rakhen ge aur tajarbun hi se seekhen ge aur koi bi tareeqa hamaare paas nahin hai. agar corona ke baare main ham ko khudaa ne quraan main bhi bataaya hota to bhi ham ko tajarbaat hi se guzar ker khudaa ki baat samajh main aa sakti thi warna nahin.

is ki misaal aap yun samjhen keh aap aik, aik saal ke bache ko kehte hen keh beta mere liye chaaye ka aik cup banaa laao. agar usse maloom hi nahin hai keh cup kia hota hia aur chaye kia balaa hoti hai to woh aap ko chaaye banaa ker nahin de sakta. yahee nahin agar aap us ko zabaani tor per baat samjhaa bhi den ge to phi jab tak woh khud tajarba nahin kare ga woh theek tarah se chaaye nahin banaa sake ga. yani theory ke saath saath application or practical bhi laazmi hota hai.

theory yani tareeqae kar samjhaa dena lafzun main. application yani kis lafz ka kia matlab hai yani kis cheez per us ka itlaaq hota hai ya kis shai ke mutaliq hai aur practical ye keh is kaam ko ker ke dekh liya jaaye ya ker ke dikhaa diya jaaye aur phir us bache ko kahaa jaaye keh ab aap is ko ker ke dekh lo. chaaye kia hai, cup kis ko kehte hen bache ko sab dekhaa dena aur chaaye kaise banti hai bache ko ker ke dikhaa dena phir us ko kehna keh jaise bataaya hai waise aap bhji ker ke dekh lo ye hai theory, application aur us ka practical. lihaaza tajarbaat ke baghiar insaan koi ilm bhi seekh hi nahin sakta. ye hai insaan ki limitation ya had.

2)[21:7]
ااگر تم نہیں جانتے تو اہل ذکر سے پوچھ لو۔

is aayat ke tukde ka ye matlab ho hi nahin sakta jo aap ne liya hai. is duniya main kabhi bhi koi insaan bhi aisa nahin tha na hai aur na hi kabhi ho ga jis ko her maamle main her baat ka theek theek ilm ho. insaanu ko do cheezun ka ilm darkaar hai aur woh bhi un ke maqsade takhleeq ki had tak. asal baat hi maqsade takhleeq hai jis per log theek tarah se ghoro fiker nahin ker rahe. jis per main yahaan baar baar baat ki hai. asal maqsade takhleeq ko jaanane ke baad quraan ki drust samajh aana shuroo ho jaati hai. maghar ab main is per baat kuchh mazeed usooli baaten saamne laane ke baad karun ga.

yahaan sirf yahee baat drust hai keh insaan her shai se ilm haasil ker sakta hai us ke saath interact ker ke aur issi tarah insaan nasal dar nasal apne tajarbaati aloom doosrun ko sikhaate aaye hen ya muntaqil kerte aaye hen. wahee kia hoti hai aur khudaa kaise insaanu main se baaz ko isse nawaazta hai ye aik alag baat hai jis per baad main baat ho sakti hai. abhi ham ko sirf bunyaadi baatun ko saaf saaf samajhnme ki koshish kerna hai.

3)نہ جاننے کا دائرہ لامحدود ہے اس لئے اہل ذکر کا علم بھی لامحدود ہونا چاہیے

aap ki ye baat drust context ki mohtaaj hai. jis baat ka drust context hi na ho us per behs kerna waqt ka ziaa hai. khudaa ke wajood ke baare main is baat ka matlab yahee ho ga keh insaanu ke liye khudaa ki zaat ka inkaar mumkinn nahin hai. is liye keh insaanu ko her shai ka ilm hi nahin hai lihaaza woh khudaa ke wajood ka inkaar kaise ker sakte hen? jab insaani ilm mehdood kainaat ko moheet nahin hai to phir infinite to infine hi hota hai jo aur bhi badi baat hai.

khudaa ki zaat laa mehdood hai magar woh hamaari samajh ke liye aik baat hai warna insaan khudaa ki zaat ke baare main kuchh khaas ilm nahin rakhte aur na hi rakh sakte hen bajuz us ke jo khudaa ke apne bataane se zahir hota hai. warna log bahot se khayaali ghode dodaate rehte hen aur bekaar sawalaat main apna waqt zaaya kerte rehte hen. misaal ke tor per, kia khudaa mar sakta hai, ya peda ho sakta hai, ya khudaa ka koi beta ya baap ho sakta hai, kia khudaa koi aisa pathar peda ker sakta hai jis ko woh uthaa na sake waghera waghera. aisi baaten logical fallacies ke zumre main aati hen. keh ye baaten self defeating hoti hen. yani apne aap ki khud hi tardeed ker deti hen.

phir ye keh khudaa ko maanane waale insaan bhi khudaa ko kisi maqsad hi ke liye aur ussi maqsad ke mutaabiq hi maante hen. agar insaanu ke zehnu main khudaa ke baare main koi tasawur hi na ho to woh khudaa ko maane ge kis liye ya maan kaise sakte hen? yahee wajah hai khudaa ke baare main insaanu ke tasawuraat drust hone chahiyen ta keh log khudaa ke baare main ghalat ya ghatya qisam afkaaro nazriyaat se nijaat pa saken aur khudaa ko maanane se un ko kuchh achhaa haasil bhi ho sake. sab insaani duniya issi liye tabaho barbaad ho rahee hai keh logoon ke zehnu main khudaa ke baare main bahot hi ghatiya qisam ke tasawuraat hen. ye sab baaten apne apne maqamaat per khulti jaayen gi.

meri soch ke mutaabiq makhlooq ke liye bila maqsad laa mehdoodiyat mumkin hi nahin hai. warna makhlooq ko bhi khudayee sifaat se muttasif maanana laazim aata hai.

4)سنی مذھب کے لئے یہ باتیں درست ہیں لیکن ہمارے لئے نہیں

ہمارے آئمہ یعنی اہل ذکر لوگ ہر ضروری بات یعنی ناسخ و منسوخ ، متشابہ محکم ، مکی مدنی وغیرہ سمجھتے تھے لہٰذا ان کی تفسیر کامل ہوتی ہے

main is baat per aap se itifaaq nahin kerta. kuchh wajuhaat to bataa chuka hun aur kuchh aage chal ker bataon ga. mere liye bunyaadi tor per kisi ka mazhab bhi kisi doosre se koi khaas mukhtalif nahin hai. albatta ye baaten logoon ko waqt ke saath samajh aati jaayen gi jab jab main in ko apne andaaz se explain karun ga, lihaaz main ab aap se apni agli post tak ijaazat chahun ga.

agli post main, main bila wasta seekhne yani direct learning ke baare main baaten karun ga.

meanwhile regards and all the best.

آپ نے فرمایا کہ آپ میرے عقیدے سے اتفاق نہیں کرتے ، میرے لئے آپ کا انکار کرنا غیر متوقع ہرگز نہیں

آپ نے جو طریقہ بتایا ہے ہمارے نزدیک وہ ثانوی حیثیت رکھتا ہے یعنی پہلے قرآن ، حدیث ، فرمان آئمہ ہیں اس کے بعد قابل لوگوں کا اجتہاد

.. . . . .

خیر اختلاف تو بہرحال ہے اور رہے گا

اگر آپ اس اختلاف پر بات کرنا چاہتے ہیں تو میرے نزدیک اس کا طریقہ یہی ہے کہ آپ قرانی آیات کی اپنی تفسیر بیان کریں اور میں اپنی تفسیر بیان کروں جس کی تفسیر میں کوئی نقص نہ ہو گا اس کا ہی طریقہ درست ہو گا

اہل ذکر والی آیت سے متعلق آپ کا ایک اعتراض کہ ایسا کوئی انسن ہو ہی نہیں سکتا دراصل اعتراض نہیں بلکے آپ کے عقیدے کا اظہار ہے اس لئے میں یہ نقطہ نظر انداز کر رہا ہوں
 
azeezam there is only 1 sb, aap ki in baatun se mujhe yun maloom ho rahaa hai jaise aap aqal aur wahee ki aapas ki nisbat ke baare main shadeed uljhan main hen ya phir aap apni baat ko poori tarah se bayaan nahin ker paaye jis ki wajah se mujhe aap ki baat ko samajhne main ujhan pesh aa rahee hai.

lihaaza zaroori hai main aap se aap ki baat ko theek tarah se samajhne ke liye aap se kuchh darkhwast karun.

woh ye keh main chahta hun aap wahee aur aqal ki nisbat per kuchh tafseel se baat karen ta keh main jaan sakun aap kehna kia chah rahe. mere nazdeek aqal aur wahee dono aapas main laazimo malzoom hen. is liye keh aik ke baghair doosra bekaar ho jaata hai. matlab aqal na ho to wahee bekaar aur wahee na ho to aqal bekaar.

jab baat laazimo malzoom ki aa jaaye to phir aik cheez ko doosri per aik hi lihaaz se muqaddam nahin kiya jaa sakta. lihaaza aap tafseel se bayaan karen keh wahee ko aap ne aqal per foqiyat kyun di hai aur kaise di hai. ye aisa hi maamla hai jaise aankh aur roshni ka. matlab agar aankh ho aur roshni na ho to aankh bekaar aur agar roshni ho magar aankh na ho to roshni bekaar.

regards and all the best
 
There is only 1

Chief Minister (5k+ posts)

. lihaaza aap tafseel se bayaan karen keh wahee ko aap ne aqal per foqiyat kyun di hai aur kaise di hai.
بہت آسان ہے

قرآن و حدیث کی کئی باتیں پہلے خلاف عقل لگتیں تھیں اور پھر بہت دیر بعد ان کی سمجھ آئی

دوسرا یہ کہ انسانی عقل بہت دیر بعد جا کر پختہ ہوتی ہے مسلمان تب تک وحی کا انکار نہیں کرنا . ہم اپنے کلمہ طیبہ میں اسی چیز کا تو اقرار کرتے ہیں

ہاں اگر آپ کو دعوا ہے کہ آپ کی عقل کامل ہے تو میرے سوالات تیار ہیں آپ ایک بار ہاں کریں

azeezam there is only 1 sb, aap ne to masla aur bhi uljhaa diya hai. jaisa main pehle bhi arz ker chuka hun keh lawaazmaat ki ehmiyat yaksaan hoti hai aur wajah bhi bataa chuka hun keh maqsad poora nahin ho sakta agar koi laazmi juz kisi maamle main kam ho ya kam reh jaaye.

aap baghair ilm ke baatun ko maanane ki baaten ker rahe hen jin ko aap aqeeda keh rahe hen. zara sochen keh aap jo aqeeda bhi banaayen ya apnaayen ge aakhir us ko aqal hi ki madad se samjhna pade ga aap ko warna aap kaise keh sakte hen ye aqeeda hona chahiye ya ye aqeeda drust hai aur woh ghalat waghera waghera? lihaaza is maamle main aap jo bhi is bunyaad per sochen ge aur kahen ge woh aap ki uljhanu ko mazeed badhaaye ga hi kam nahin kare ga aur na hi ker sakta hai.

khair main apni soch ke mutaabiq aap ke liye wahee aur aqal ki nisbat explain ker deta hun phir aap us per apni samajh ke mutaabiq tabsaraa ker dijiye ga.

1)wahee sirf aur sirf malumaat hen khudaa ki taraf se insaanu ke liye. malumaat samajhne ke liye di jaati hen ya samjhi jaati hen. malumaat samjhi is liye jaati hen taa keh un main diya gayaa maqsad maloom ker ke usse kisi na kisi munaasib tareeqe se poora kiya jaaye. khudaa ne woh tareeqa bhi bataa diya hai yani deene islam. agar malumaat samajhne ke liye hoti hen to aqal ko dakhal diye baghair malumaat ko samajhna mumkin hi nahin hai aqeeda banaana to door ki baat hai. phir agar aap ka man gharat aqeeda banaana drust hai to doosrun ka aisa kerna ghalat kaise ho sakta hai? agar her koi aisa kare ga yani apni taraf se mangharat aqeeda banaa le ga to phir insaanu ki ummat kaise ban sakti hai?

2)malumaat ko theek tarah se samajhne ke liye insaanu ko aqal ki laazmi zaroorat padti hai keh aqal ke baghair malumaat samjhi hi nahin jaa saktin un ko aqeeda kaise banaaya jaa sakta hai? aqal ke baghair malumaat bekaar hoti hen ya ho jaati hen keh woh istemaal hi nahin ho saktin ya ki jaa saktin.

3)in baatun se saaf saaf zahir hai keh wahee aur aqal dono laazimo malzoom hen. albatta in dono ki apni apni jaga ehmiyat hai kyunkeh in ka apna apna role aur maqsad hai jis ki wajah se aik lihaaz se wahee aqal se muqaddam ho jaati hai aur doosre lihaaz se aqal wahee per muqaddam ho jaati hai.

4)jab ham ko wahee ki sachayee ko judge kerna pade to us waqt aqal wahee per muqaddam hoti hai keh is ki madad ke baghar ham ye baat jaan hi nahin sakte keh wahee fil haqeeqat khudaa ki taraf se hai ya logoon ne yun hi apni taraf se ye baat banaa li hai ya banayee hui hai. albatta jab ham jaan jaayen keh wahee fil haqeeqat khud hi ki taraf hai to phir wahee aqal per muqaddam ho jaati hai, yani phir jo wahee kehti hai aqal ko wohee kerna ho ga ta keh jis maqsad ke liye wahee aur aqal di gayee hen woh poora kiya jaa sake.

5)agarche aqal her lihaaz se kaamil nahin hoti aur na hi ho sakti hai magar maqsadan aqal kaamil hi hoti hai. is liye keh aqal hi bataaye gi kon sa aqeeda rakhna wahee ki roshni main drust hai aur kon saa ghalat. jab tak kisi maamle main koi baat kisi lihaaz se drust maloom nahin ho jaati us ke mutaaliq insaan ke liye khamoshi hi ka option hai, ghalat aqeeda apnaane ka nahin. lihaaza insaanu ka kaam manghadat baaten banaana aur maanana nahin hai balkeh tehqeeq kerna hai aur jo maloom ho jaaye us ke mutaabiq kisi baat ko maanana hai. khudaa aisa baat per insaanu se sawaal kaise ker sakta hai jo insaanu ke bas main hi na ho? jo koi aisa aqeeda rakhta hai woh khudaa per bohtaan baandhata hai.

6)log sirf aur sirf unhi baatun per itifaaq ker sakte hen jo aqalan saaf saaf un ki samajh main aayen warna jitne mohn utni baaten.

7)meri aap se darkhawast hai keh aap ye bataayen insaani zabaan kia hai aur ye kahaan se ayee hai aur kaise ayee hai aur is ke ilfaaz kia shai hen aur ye kahaan se aaye hen aur kaise aaye hen aur in ilfaaz ke maani kahaan se aaye hen aur kaise. ye sab baaten waise main apni mukhtalif posts main pehle bhi explain ker chuka hun agar aap ki nazar se meri woh posts guzri hun. agar nahin to main aap ke liye ye baaten phir se explain ker doon ga.

abhi main inhi baatun per iktifa kerta hun mazeed baad main bayaan karun ga.

معذرت لیکن میں اب صرف تب ہی آگے بڑھ سکتا ہوں جب آپ میرے سوالات کا جواب دے سکیں

کیونکہ دنیا میں بے شمار طریقے کار ہوں گے اور انسان باری باری ان سب کو نہیں سمجھ سکتا ، انسان اسی طریقے کار کو سمجھنے پر مائل ہوتا ہے جو اسے مشکلات کا حل بتائے

اس لئے آپ اگر بات چیت آگے بڑھانا چاہتے ہیں تو میرے کچھ سوالات کا جواب دے دیں
 
azeezam there is only 1 sb, main abhi aap ke saath apne andaaze fiker ko share ker rahaa hun jo mere khayaal ke mutaabiq quraan ko theek tarah se samajhne main ham insaanu ki zabardast madad ker sakta hai.

abhi aap aur deegar soch rakhne waale log meri madad is tarah ker sakte hen keh aap apne zehnu ke mutaabiq is tareeqe main jo naqaais dekhte hen un ko mere saamne laayen ta keh main apni ghalatiyan dekh sakun aur un ko aap logoon ki madad se drust ker sakun. ye is liye keh agar aap log mujhe meri ghalatiyan nahin bataayen ge to main to apne is tareeqe ko drust hi samajhta rahun ga.

agar aap logoon ko bhi yahee tareeqa drust maloom hota ho to phir bhi aap logoon ki taeed mere liye hosla mand ho gi. bunyaadi baat ye hai keh ham ko quraan ko theek tarah se samajhne ke liye aik aisa tareeqa darkaar hai jis per koi bhi ehtraaz na uthaa sake ta keh ham us ko bunyaad banaa ker qurano hadis aur tareekh ko kisi had tak saheeh tor per samajh sakne ki koshish ker saken.

mere saamne mushkil sirf musalmaanu main islam ke naam per firqa parasti hi nahin hai balkeh insaani duniya main sakht tareen jahalat bhi aik bahot hi badi mushkil hai jis ko ham ko issi tarah ke pakke ilm ki roshni hi se door kerna ho ga. yahee wajah hai jo koi bhi bunyaadi usoolun ko nahin samjhe ga woh doosrun ki to door ki baat hai khud apni uljhanun ko bhi door nahin ker sakta. ye insaanu ki shadeed tareen jahaalat hi hai jis ki bunyaad per logoon ne bebunyaad baatun per chhote chhote geroh banaaye huwe hen jin ka woh aqlan difaa ker hi nahin sakte.

abhi to main insaani zabaan per baat karun ga magar baad main mazhab aur secularism per bhi baat ho gi aur un dono ki asal deene islam ke muqaable main aik to kamzoriyan saamne laaon ga aur doosra un ke muqaable main deene islam ki muzbootiyan bhi saamne rakhun ga. yahee tareeqa hai insaaniyat ko drust ilm ki taraf laane ka ta keh log apna apna anjaanpan asal deene islam ke baare main khud hi door kar saken baatun ko samajh ker. ta keh sab log saheeh maanu main aik ummat ban saken. issi liye mujhe sab ki madad ki zaroorat hai ta keh ham insaan mil ker aik behtareen insaani maashra qaaim ker saken quraan main batayee gayee pakki bunyaad per.

lihaaza agar aap ke sawalaat mere diye ge tareeqe ke mutaliq hun to zaroor kijiye aur agar quran ki ayaat ya ahaadis ki rawayaat ke mutaliq hun to aap abhi thoda intazaar farmaiye aur mujhe pehle wahaan tak step by step pohnchne dijiye ta keh phir ham mil ker un baatun per kaam ker saken. ye main is liye keh rahaa hun kyunkeh quran hamaare liye ilm nahin hai balkeh malumaat ka zakhira hai jis ko samajhne ke liye aqal ki zaroorat hai lihaaza pehle aqal ke taqaaze poore kerna laazmi hai jin ko bunyaad banaa ker quraani malumaat ko drust shakal di jaa sake. quran ko hikmat ki madad se samajhna aur samjhaana padta hai. hikmat wisdom ya faraasat hi ko kehte hen. lihaaza jis ke paas aqal hi na ho woh quran ko kia samjhe ga? aqal to seekhne hi se aati hai. aqal seekh sakne ki salahiyat khudaa ne insaanu main rakhi hai aqal nahin. yahee wajah hai jo log khud ko kisi baare main unjaan aur jahil rakhte hen woh kabhi bhi aqal mand nahin ho sakte jab tak keh woh apni is rawish ko badlen nahin aur aqal seekhna na shuroo ker den us maamle main.

apni agli post tak aap se ijaazat chahun ga.

regards and all the best.
 
Last edited:

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
azeezam there is only 1 sb, pehli baat to ye hai keh her koi jo kuchh bhi apne iraade se kerta hai apne kisi maqsad ko poora kerne ke liye hi kerta hai. khud khudaa ne bhi ye duniya apne maqsad ko poora kerne ke liye hi banayee hai. yahee wajah hai ye duniya aise hi bemaqsad nahin banaa di gayee. yahee wajah hai insaanu ne apni zabaan bhi apni zarooriyaat ko madde nazar rakh ker hi banayee hai. khudaa ne jis shai ko bhi peda kiya hai us ka us ke haan koi na koi maqsad hai. us maqsad ko poora kerne ke liye khudaa ne her shai ko tamaam lawazmaat mohiye ker diye hen.

insaanu ko kyunkeh us ne apni pehchaan kerwaane ke liye peda kiya hai lihaaza insaanu ko bhi us ne woh sab kuchh de diya gayaa hai jo un ko ye maqsade khudaa wandi poora kerne ke liye darkaar tha. yahee wajah hai insaanu ka ab kuchh bhi khudaa se maangna besood hai aur waqt ka ziyaa hai. jab maqsad aur maqsad ko poora kerne ka raasta ya tareeqa insaanu ko bataa diya gayaa hai to baaqi sab kaam ab khud insaanu hi ka reh jaata hai keh woh maqsad ko jaane aur us tareeqe ko bhi jaane jisse maqsad poora ho sakta hai aur phir woh us maqsad ko poora kerne main lag jaayen un cheezun ke zariye jo khudaa ne un ko di hen. issi liye insaanu ne deegar cheezun ke saath saath apni zabaan bhi ijaad ki unhi cheezun ki madad se jo khudaa ne un ko di hen. khudaa ne kisi insaan ko bhi apni ghod main bithaa ker padhayaa likhaaya nahin hai balkeh insaanu ko jo kuchh diya hai ussi ko istemaal ker ke insaanu ne khud ko padhna likhna sikhaaya hai.

sawaal ye hai keh insaanu ne apni zabaan kyun aur kaise ijaad ki hai, aur zabaan kis liye hoti hai? insaan aik soch sakne waala jaandar hai issi liye ye cheezun ko figure out ker sakta hai kyunkeh ye salahiyat khudaa ne is ke andar rakhi hui hai. kyunkeh insaan soch sakta hai to is ko zaroorat pesh ayee keh woh apni soch ko doosrun ke saath share kare ya un tak pohnchaaye. issi liye us ne tareeqe ijaad kiye jin ki madad se woh aisa ker sakta hai. albatta ye tareeqe aik dam se ijaad nahin ho ge balkeh in ko achhaa khaasa waqt laga hai. ibtadaa main insaanu ne gestures ya ishaarun se kaam liya magar baad main unhune awaazun se bhi kaam lena shuroo ker diya. inhi ko ham insaani zabaan kehte hen. yani kuchh ishaare aur kuchh shor sharaaba.

inhi ki madad se aaj sab insaan aapas main apne apne khayalaat aik doosre ko muntaqil kerte hen. ibtadayee tor per insaan aik doosre ko apni baat badni ishaare se samjhaate the phir unhune awaazun ko code aur decode kerna shuroo ker diya. phir unhen zaroorat pesh ayee keh ye baaten woh apni aane waali nasloon ke liye bhi kisi tareeqe se mehfooz karen to unhune padhna likhna ijaad kiya.

kyunkeh insaanu ko khudaa ne ye salahiyat de ker peda kiya hai keh woh cheezun ko figure out ker sakte hen un ke saath interact ker ke is liye insaan waqt ke saath saath bahot si baaten jaan lete hen jo woh pehle bilkul hi nahin jaante. yun insaani zabaan wajood main ayee. yahaan ye bhi bataat chalun keh insaanu ki her zabaan sirf unhi logoon tak mehdood rehti hai jo aapas main communicate kerte hen aik hi tarah ki coding aur decoding se. jab insaanu ke geroh aapas main alag huwe to unhune apni apni nai nai zabaanen ijaad ker lin jaise jaise un ko zaroorat padti gayee apne apne waqt aur jaga ke ehtbaar se aur nai nai cheezun ke ijaad se waghera waghera.

insaanu ne coded awaazun ko ilfaaz ka naam diya. in ilfaaz ko unhune maani kaise apnaaye? ye bhi koi mushkil baat nahin hai samajhne ke liye. agar ham insaanu ka aapas ka interaction dekhen to ye baat bhi khud hi samajh main aa jaati hai. woh yun keh aap aik maan aur us ke bache ka aapas main interaction aur communication dekhen. idhar bacha rota hai aur udhar maan jaan leti hai keh bacha us ko bulaa rahaa hai. yahee wajah hai english ke lafze cry ka aik matlab rona dhona hai aur doosra zor se awaaz dena hai. yahee wajah hai lafze cry ke bahot se matlab nikala ate hen aur nikaale jaate hen mukhtalif wajuhaat ki bina per. ye baat her achhi dictionary main mojood mile gi. yahee tha asal mechanism ilfaaz ko maani dene ka.

ab sawaal peda hota hai is mechanism ko insaanu ke liye jaanana zaroori kyun hai ya un ko is ko jaanane ki zaroorat kyun padti hai? is baat ko main agli post main explain kerne ki koshish karun ga.

yahaan main ye phir arz ker dun keh aap ne dekha main apne nazriye se mutalqa sawalaat ke jawaab aap se nahin poochh rahaa hun balkeh main khud hi sawalaat uthaa rahaa hun aur un ke apni samajh ke mutaabiq jawaab bhi de rahaa hun aap aur deegar logoon ko apni baat samjhaane ke liye. ye is liye keh mere nazriye ka aap ya kisi aur ko kia pata jab tak main aap ko khud na bataaon. issi liye aap se arz kiya tha keh aap bhi meri hi tarah apna nazriye pehle khud bayaan karen jaisa bhi aap ker sakte hen phir doosrun ko us per sawalaat uthaane ka moqa den ta keh maloom ho sake aap kehna kia chahte hen aur kia aap ki baat drust ho sakti hai ya nahin.

jo kuchh aap deene islam ko maante hen woh jab tak aap khud nahin bataayen ge woh mujhe ya kisi aur ko kaise pata chale ga? is liye keh ye maqsad aap ka hai aur is ka context sirf aur sirf aap hi jaante hen. baaqi agar koi aap ko jawaab de ga to woh ghalat hi ho ga aur agar saheeh bhi huwa to woh mehz aik itifaaq ki baat ho gi.

yahee sab her aik ko kerna ho ga ta keh doosrun ko us ke apne zaati aqeede ka pata chal sake. kyunkeh jab tak her koi apna apna aqeeda apni apni samajh ke mutaabiq doosrun ko nahin samjhaaye ga doosrun ko kia pata us ke zehn main kia hai kisi maamle main?

aap dekhen ge logoon ko maloom hi nahin hai cheezun ko aap main theek tarah se discuss kerne ka saheeh tareeqa kia hai. issi liye her aik discussion aur debate aap ko adoora mila ga jis ka na koi sar aur na hi paer.

discussion main doosri aham baat ye bhi hoti hai keh koi aap ki baatun ko padta aur samajhta bhi hai theek se ya un ko betuki samajh ker apni dhun main magan rehta hai keh main hi theek hun baaqi sab ghalat hen aur woh bhi bila aqlo fiker ko istemaal kiye yani bila soche samjhe. ye baat discuss kerne waalun ke aapas ke tanqeedi jawabaat se maloom ho jaati hai. asal main discussion kerne waalun ka aapas main rawiya drust hona laazmi hai sachaaye tak pohnchne ke liye.

aqeede sirf aur sirf wohee drust ho sakte hen jo haqeeqi duniya ki haqeeqatun ke ain mutaabiq hun warna agar haqeeqi duniya ke haqaaiq se takraayen ge to ghalat hi hun ge. is liye keh sirf aur sirf haqeeqi duniya hi hamaari pehli darsgah hai jo hamen aqal sikhaati hai agar ham aqal seekhna chahyen.

meanwhile regards and all the best.
 
Last edited: