والدین کے حقوق

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
jo log khud ko musalman kehlwaate hen un ka sab se badaa masla quraan ko theek tarah se na samajh sakna hai. is ki badi wajah taleem ki past tareen satah hai musalmaanu main.

issi liye jo log khud quraan ko theek tarah se nahin samajh sakte woh doosrun ko kia samjhaayen ge? logoon ko to yahee baat maloom nahin hai keh quraan deen ki kitaab hai pooja paat ki nahin.

quraan ke sab ke sab tarjame aur tafseeren pooja paat ke girdagird ghoomti hen. pooja paat waale log apne liye kuchh nahin ker sakte to doosrun ke liye kia karen ge?

in tarjamoo aur tafseerun ki wajah se woh ghair muslim log bhi quraan se door hote hen jin ko quraan ki baaten in tarjamoo aur tafseerun ki wajah se ghalat lagti hen.

zaroorat is baat ki hai quraan ka nayaa tarjama aur tafseer likhe jaayen aur ye kaam hakoomati satah per kiya jaaye aur aise logoon ke zariye kiya jaaye jin ko deeno duniya ki aala darje ki sudh budh ho.

jab tak ham log aisa nahin karen ge hamaare masaail ka hal quraan se waaze hi nahin hoga amal to baad ki baat hai. quraan issi duniya main insaanu ko behtareen zindagi guzaarne ka saheeh raasta bataata hai, pooja paat nahin. jab ham ko woh raasta theek tarah se maloom ho jaaye ga aur ham us per theek tarah se amal karen ge to wohee nateeja nikle ga jo quraan ne ham ko apne andar bataa diya hai, sawaal hi peda nahin hota woh nateeja na nikle.

quraan ko theek tarah se samajhne ke liye soch ki bulandi ki zaroorat magar khudaa ne insaanu ko unjaan peda kiya hai. isi liye quraan main aise ilfaaz istemaal kiye ge hen jo unjaan logoon ko oonchi soch de sakte hen magar ghoro fiker aur aapas main tabaadala e khayalaat laazmi hai ta keh aik doosre ki madad se quraan ke asal mafhoom tak ponchaa jaa sake.

jab tak ham log quraan ko theek tarah se samjhen ge nahin ham per ye baat ayaan hi nahin ho gi quraan sach much khudaa hi ka kalaam hai. tabhi ham logoon main woh baa maqsad jazbaat peda hun ge jin ka quraan taqaaza karta hai. bagher drust baa maqsad jazbaat ke log deene islam ko duniya per ghaalib ker hi nahin sakte is liye keh ilm ke baghair baamaqsad jazbaat peda hi nahin ho sake. aur deene isalm to diya hi issi liye gayaa hai keh log is ko theek tarah se samajh ker druist tareeqe se naafiz karen aik ummat ban ker taa keh khudaa ki mumlikat main khudaa ki baadshahi qaaim ho. For a detailed explanation of things about the quran, deen of islam and pakistan see HERE, HERE, HERE, HERE and HERE.

 
Last edited: