کاش بچوں کو دینی تعلیم دی ہوتی ؟ ایک دل ہلا دینے والا واقعہ

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
aaj ke dor main bhi asal baat asal deene islam ko quran se theek tarah se samajhna hai aur phir samajh ker is duniya ko waisa hi banaana hai jaisa khudaa ke rasoolun ne chhote chhote pemaane per banaa ker dikhaaya tha. agar ye baat nahin hai to phir kuchh bhi nahin hai.

jo log itni samajh bhi nahin rakhte keh deeno mazhab main farq hai woh baaqi kisi ko kia samjhaayen ge. mazhab ko hi log deene islam kahe jaate hen. mazhabi amaal ko hi islami kaam kahe jaate hen, haalan keh mazhab to haraami insaanu ke apne banaaye huwe hen jaise secularism ta keh hukamraan, sarmaydaar aur mullaan mil ker logoon ko asal deene islam se door karen aur rakhen aur baaqi logoon ko apne apne gande agendun ke liye istemaal karen. yahee to manipulation, exploitation aur abusive use ya istesaal hai insaanu ka insaanu ke haathun. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE, HERE, HERE and HERE.