2 Famous Khawaja Sira Dance Chor Ke Deen Ki Taraf Aa Gaye

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
log teen tarah ke hote hen. aik jo bhaid chaal ka hissa hote hen aur rehte hen kyunkeh woh apne dimaagh bilkul hi istemaal nahin kerte ghoro fiker ke liye. doosre jo bhaid chaal se pareshaan ho jaate hen magar un ka reaction mamooli hota hai keh woh aik geroh se nikal ker doosre main shaamil ho jaate hen jis main woh khud ko qadre mehfooz samajhte hen. teesre woh jo asal haqeeqat ki talaash main nikal khade hote hen. aise log waqt ke saath saath tadaad main badhte rehte hen taleem main izaafe ki wajah se. aise log is khoj main lage rehte hen jab tak woh haqeeqat tak pohnch nahin jaate. aik waqt aaye ga keh insaani duniya us tipping point per pohnch jaaye gi jahaan haq ko paane waalun ki tadaad doosrun se badh jaaye gi aur duniya balad jaaye gi. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE, HERE, HERE and HERE.