وزیرِاعظم کی رحمۃ للعالمین ﷺ کانفرنس میں شرکت: ارسلان بخاری کا خوبصورت کلام

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
khudaa ne paighambar is liye nahin bhaije keh log un ko khudaa banaa len. khudaa ne is liye paighambar bhaije hen ta keh woh logoon ko bataayen keh woh is duniya main kaise rahen taa keh un ki zindagiyan jannat ban jaayen un ki apni mehnatun se khudayee program ke mutaabiq aik ummat ban ker. yaad rakho ummat sab insaanu ki maan baap hoti hai. ummat nahin hai issi liye sab baith ker ro rahe hen yani sab log khud ko yateem samajh rahe hen.

aik shakhs khwaa woh paighambar ho ya aur koi shakhs duniya ke deegar sab insaanu ki koi aur madad nahin ker sakta siwaaye logoon ko saheeh aalime deene islam banaane ke. jab logoon ke paas saheeh ilm aa jaaye to phir sab mil ker apna waisa maashra banaa sakte hen jaise khudaa ne un ko bataaya hai apni kitaab main. yun sab ki zindagiyan jannat ban jaayen gi.

baithe ro rahe hen kis liye? khudaa ka kalaam sun ker to logoon main woh kerne ki himmat aani chahiye jis ke liye khudaa ne apna paighaam bhaija hai. sab paighambar wafaat paa chuke hen issi liye ab insaani duniya ko jannat banaana ummat ka kaam hai baith ker rona nahin. logoon ki khudaa, rasool aur kitaab ke baare main ghalat soch ne hi un ko tabaho barbaad kiya huwa hai aur un ki yahee haaalt rahe gi jab tak khudaa, rasool aur kitaab ko un ka asal maqaam nahin den ge.

paighambar to aik taraf khud khudaa bhi insaanu ki koi madad nahin kerta siwaaye is ke keh log us ke porgram ko takmeel tak pohnchaayen jis maqsad ke liye khudaa ne logoon ko peda kiya hai. lihaaza asal deene islam ko theek tarah se samjho aur us per theek tarah se amal karo phir dekho kia hota hai insaani duniya ke saath. agar aisa nahin karo ge to baaqi jo chahe karo tabahi aur barbaadi logoon ka muqaddar hai aik doosre ke haathun.

log jin qurani aayaat ki bunyaad per ghalat aqeede aur amaal apnaaye huwe hen woh un ke ghalat tarjame aur tafseeren hen. yahee maamla rawayaat ka hai balkeh rawayaat main se kuchh to mangharat bhi ho sakti hen magar ye tabhi pata chale ga jab dimaagh roshan ho ga ilm haasil ker sakne ki roshni se. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE, HERE, HERE and HERE.
 
Last edited: