Allah Ki Imaan Walo Se Mohobbat

There is only 1

Chief Minister (5k+ posts)
حدیث کے مطابق حضرت علی علیہ سلام "کل ایمان " ہیں اور ان سے محبت ہی ایمان ہے لہٰذا ایمان والے کو "علی والا " بھی کہا جا سکتا ہے یا علی کا محب

اسی طرح سورہ الفاتحہ کے مطابق مسلمان کو دعا کرنی چاہیے کہ وہ " الْمَغْضُوبِ " یعنی ان لوگوں جیسا نہ ہو جائے جن پر الله کا غضب نازل ہوا . اور یہ بات بھی صحیح حدیث سے ثابت ہے کہ جس پر خاتون جنت حضرت فاطمہ سلام الله علیھا غضب ناک ہوئیں اس پر رسول پاک صلی الله علیہ والہ وسلم غضب ناک ہوئے اور جس پر رسول پاک غضب ناک ہوئے اس پر الله غضب ناک ہوا

الحمد الله
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)

khudaa ne jo nizaam diya hai us ko apnaa ker jeena asal deene islam ko apnaana hai. us nizaaam ke zariye aik doosre ke taawan se apni tamaam zaroorten poori kerna islam hai. yahee hai drust tareeqe se allah taala se maangna. See HERE.
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
ye baat bilkul ghalat hai keh hakoomat awaam per zulm ker rahee hai. ye awaam hi awaam per zulm ker rahee hai. logoon ki asal dushman un main khud peda ki gayee tafreeq hai. khud aik doosre ko apna apna haraami pan dikhaate hen aur doosrun per ilzaam dhar rahe hen.

kia koi aik shakhs bhi bataa sakta hai keh mulk ko kaise chalaaya jaaye to ye theek tarah se chal sakta hai? nahin hai. yaad rakho jab tak log aapas main taqseem rahen ge ye mulk theek nahin ho sakta aur agar log mulk theek kerne ke liye aik ho jaayen to phir kon hai is duniya main jo in ko rok sake? koi bhi nahin.

agar mulk ko theek kerna hai to is mulk ke logoon ko kaaraamand banaao. mulk ke andar se paise ka nizaam khatam ker do yani her shai ko nationalise karo. jis tarah aik ghar theek tarah se tabhi chal sakta hai jab is ke log khud ko is qaabil karen keh ghar ko theek tarah se chalaa saken yani ghar ke log khud her woh kaam ahsan tareeqe se ker saken jis ke kerne ki un ko zaroorat hai taa keh un ki sab zaroorten poori ho saken. sirf khawaaishen kerne se kaam nahin hote us ke liye hangaami tor per tamaam laazmi iqdamaat uthaane padte hen.

issi liye to asal deene islam mazhab nahin hai balkeh aik inqilaabi tehreek hai aik behtareen insaani maashra banaane ke liye aur us ko qaaim rakhne ke liye. aap logoon ne asal deene islam ke barax mazhab aur secularism ko apnaa ker apna beda khud gharq ker liye hai. agar itni asaan baat ko bhi aap main theek tarah se samajhne ki ehliyat nahin hai to aap mulk ko kia khaak theek karen ge?

aapas main aik doosre ko neechaa dikhaate dikhaate aap ki umaren guzar jaati hen. ye hai aap ki musalmaani ki asliyat. yani aap log ya to mazhabi ya phir secular paagal ho. deene islam ki to aap ko hawaa tak nahin lagi. agar lagi hoti to aap log aik ummat hote aur mulke pakistan ab tak aik jannat ka namoona ban chuka hota aur bahot se doosre mulk bhi aap ko dekh ker issi raaste per chal rahe hote.

aik ghar ko theek tarah se chalaane ka saheeh tareeqa kia hai? See HERE. baat asaan hai keh ghar ke afraad baith ker pehle ye dekhen un ki abaadi kitni hai aur un ke paas zameen kitni hai. phir ye keh un ko kia kuchh kerne ki zaroorat hai taa keh un sab ki zaroorten achhe tareeqe se poori ho saken. phir un ke mutaabiq khud ko orgnaise and regulate karen yani aapas main kerne waale kaam baant len aur karen phir dekhen aap aur aap ka mulk kidhar jaata hai.

yahee wajah hai logoon ka aapas main aika laazmi hai agar unhune mulk ko theek kerna hai aur apni haalat behtar kerni hai is duniya main. agar yun hi haraami bane rehna hai to aapas main ladte raho aur tabaho barbaad hote raho aik doosre ke haathun aur rote raho. doosrun ki taraf dekhne ne hi aap ko is haalat main pohnchaaya hai aur aap issi haalat main rahen ge jab tak aap hangaami tor per drust maqsade zindagi ke liye khade nahin hun ge.