Blasphamey against christians in Pakistan? This guy makes sense to me

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
But why punish for blasphemy?

azeezam arif karim sb, kia aap pasand karen ge keh ham aik doosre ko gaaliyan den ya aik doosre ko apne taano tashnee ya hansi mazaaq ka nishaana banaayen jisse ham aik doosre ko zaleelo khawaar karen aur yun aik doosre ki bila wajah dil azaari karen?

aapas main taano tashnee se insaan aik doosre se door ho jaate hen aur yahee nahin balkeh logoon main aapas main ladayee jhagde peda hote hen. aik achhaa mahol banaane aur banaaye rakhne ke liye zaroori hai aisi fazool baatun se ijtinaab kiya jaaye aur jo aisa kare us ko roka bhi jaaye, taa keh aik achhaa bhalaa mahol kharaabi ki nazar na ho jaaye.

regards and all the best.
 

arifkarim

Prime Minister (20k+ posts)
azeezam arif karim sb, kia aap pasand karen ge keh ham aik doosre ko gaaliyan den ya aik doosre ko apne taano tashnee ya hansi mazaaq ka nishaana banaayen jisse ham aik doosre ko zaleelo khawaar karen aur yun aik doosre ki bila wajah dil azaari karen?

aapas main taano tashnee se insaan aik doosre se door ho jaate hen aur yahee nahin balkeh logoon main aapas main ladayee jhagde peda hote hen. aik achhaa mahol banaane aur banaaye rakhne ke liye zaroori hai aisi fazool baatun se ijtinaab kiya jaaye aur jo aisa kare us ko roka bhi jaaye, taa keh aik achhaa bhalaa mahol kharaabi ki nazar na ho jaaye.

regards and all the best.
Answer for blasphemy is counter blasphemy, not punishment
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Answer for blasphemy is counter blasphemy, not punishment

azeezam arif karim sb, mujhe aap ki baat se sakht ikhtilaaf hai. kia aap ko meri baat samajh main nahin ayee keh aik doosre ko gaaliyan de ker ya taano tashnee se zaleelo khawar kerna maashre main baaise fasaad hai? aur maashre main baaise fasaad cheezun ka sadde baab kerna ya rok thaam kerna zaroori hota hai ta ke maashre ka amno amaan tabaho barbaad na ho.

blasphemy ka jawaab blasphemy likh ker aap ne to mujhe heraan ker diya hai. khair jis tarah sirf baatun se hi buri baatun ko counter nahin kiya jaa sakta issi tarah blasphemy ko bhi blashphemy se counter karna sakht khatarnaak baat hai balkeh sakht himaaqat hai.

mere khayaal main aap ki baat ki bunyaad hi ghalat hai aur aap ki soch ki bulandi abhi wahaan tak nahin pohchi hai jahaan tak us ko pohnchane ki zaroorat hai is maamle main. doosre lafzun main aap blasphemy ko aam kerna chahte hen issi liye to aap chahte hen keh her koi blasphemy ka jawaab blasphemy hi se de.

ye to aisi baat ho gayee keh aik shakhs ne kissi ki baiti se jinsi ziyaadati ki aur doosre shakhs ne palat ker hisaab baraabar kerne ke liye ussi ki baiti se wohee kuchh ker diya. kia isse insaani maashra achhaa ho jaaye ga ya reh paaye ga?

regards and all the best.
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Blasphemy or mockery is a form of criticism. Criticism can also be answered with defense or counter criticism. Not with punishment

azeezam arif karim sb, mockery is no criticism at all rather it is nothing less than foolishness and stupidity. It means one is not taking something as seriously as it needs to be taken for ensuring well being of humanity. A proper human community in the kingdom of God is of utmost importance and deserves full respect and it is not something to be ignored or taken lightly or there is no good future for humanity at all.

Irish people got mad with english people making irish jokes. When white people mock black people, do black people love it or vice versa? No, they hate it and they start fighting over this issue. Anyone who is at the receiving end of mockery does not like to be mocked, so why mock someone or something? If one is unhappy about someone or something for some reason why not educate each other about it instead of mocking each other? Mockery only wastes our time and makes things worse. By mockery people only alienate each other instead of coming together to solve the actual issue between them. In other words ridiculing each other is no answer to anything rather it adds to our problems.

Read the quran through and you will not find anything that ridicules people or their beliefs and practices. One of the proofs that the quran is not from human beings. The quran is full of criticism of people, their beliefs and practices with explanations in order to help them educate themselves out of them. This is why a muslim cannot mock anyone or anything nor can allow mockery or ridicule by anyone, But anyone is free to criticise the quran or deen of islam to the contentment of one's heart with one's explanations as to why the quran or deen of islam is false or not good. This does not come under blasphemy.

regards and all the best.
 
Last edited:

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Mockery, ridicule, sarcasm, blasphemy are all different kinds of criticism

azeezam arif karim sb, aap ne abhi tak mujhe apni koi khaas justification nahin di jisse aap apni baat ko drust saabit ker saken is ke beshumaar faide bayaan ker ke. agar aap ko gaaliyan aur thappad hi khaane ka shoq hai to zaroor khaaiye main kon hota hun aap ko apna shok poora kerne se rokne waala. phir to yahee ho ga keh jo aap ka shoq hai aap poora karen aur jo doosrun ka shoq hai woh apna shoq poora karen. mulk ka qanoon to beher haal qanoon hai aur her kissi ko is ko maanana hi pade ga marzi se ya phir majboori se. apne mulk main majority jo chahe qawaneen banaati hai lihaaza behtar yahee hai minority apni munaasib aur qaable qabool hadood main rahe warna woh khud apni barbaadi ki zimmadaar ho gi.

regards and all the best.