Deene Islam aur Mazhabe Islam main Farq

پرفیکٹ ڈنگر

MPA (400+ posts)


کاش کہ تم نے مولا فضل یا مولا اشرفی کی ویڈیو لگائی ہوتی
ویسے ہم کوئی بے دین نہی ہیں
مذھب میں ذرا کمزور ہیں ، کیوں کہ شیعہ ہمارے ساتھ رہتے ہیں سارا قصور انکا ہے
 

ualis

Minister (2k+ posts)
Mughal, yeh loog lakeer kay fakeer hain in ki sooch buhat mehdood hay in ko jo mullah nay sikhaya hay yeh loog is say bahar nahi nikal saktay. Laikin keep posting the good stuff as one day these mazhabi loog will follow deen Allah.
 

Afaq Chaudhry

Chief Minister (5k+ posts)
اسلام دین ہے ، طریقہ زندگی ہے ، نظام حیات ہے ، قرآن قانون ہے، سنّت pbuhتشریح ہے
قرآن کہتا ہے کہ پورے کے پورے اسلام میں داخل ہو جاؤ ، آدھے اسلام میں نجات نہیں ، پسند کے اسلام میں نجات نہیں ، فرقہ واریت میں نجات نہیں ،قرآن کو سنّت سے الگ کرنے میں نجات نہیں ، سب سے بڑھ کر عمل میں نجات ہے ، باتوں میں نہیں ، الله سب کو اسلام کا درست مفہوم سمجھنے کی توفیق عطا فرمائے
 

Sam Sam

Senator (1k+ posts)
اسلام دین ہے ، طریقہ زندگی ہے ، نظام حیات ہے ، قرآن قانون ہے، سنّت pbuhتشریح ہے
قرآن کہتا ہے کہ پورے کے پورے اسلام میں داخل ہو جاؤ ، آدھے اسلام میں نجات نہیں ، پسند کے اسلام میں نجات نہیں ، فرقہ واریت میں نجات نہیں ،قرآن کو سنّت سے الگ کرنے میں نجات نہیں ، سب سے بڑھ کر عمل میں نجات ہے ، باتوں میں نہیں ، الله سب کو اسلام کا درست مفہوم سمجھنے کی توفیق عطا فرمائے

مائنڈ نہیں کیجئے گا ایک سوال ھے آپ سے کہ آپ خود کیا وہ مسلمان ہیں جو کہ قرآن اور حدیث کی تعریف پر پورا اترتے ہوں، 100 فیصد، پلیز اگر مگر کے بغیر جواب دیں، شکریہ
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
deene islam aur mazhabe islam main asal farq hai kia?

is baat ko samajhne se pehle yeh baat samajhna az bas zaroori hai keh mazhab apni asal main hai kia. mazhab insaani ghoro fikar ki inthaaa ka naam hai isse aage insaani ghoro fikar insaan ko nahin le jaa sakta. insaan sirf aur sirf hawaas ki duniya tak hi mehdood hai. bacha jab peda hota hai kuchh bhi nahin jaanta. woh seekhna shuroo karta hai cheezun ke mutaliq in ke saath amal aur radde amal se jis ko ham zindagi ke haqaaiq ke saath tajarbaat kehte hen. insaan yahaan tak to pohnch sakta hai duniya ko apne saamne paa kar keh woh yeh poochh sake khud se keh woh kon hai yaa yahaan kyun aaya hai. Woh khud yahaan aaya hai yaa us ko kisi ne apne kisi maqsad ke liye yahaan bhaijaa hai waghera waghera. Yaheen pohnch kar us ke zehn main yeh sawaal aa sakta hai keh yeh duniya kahaan se ayee aur kyun ayee waghera waghera. isse aage insaan ki fikar ka darwaaza band ho jaata hai.

isi jaga pohnch kar log khudaa ki talaash main nikalte hen aur apne apne zehni tasawuraat ke mutaabiq kuchh na kuchh kaam karte hen taa keh un ki madad se un ko khudaa tak rasayee haasil ho sake. yaheen se tarah tarah ke tohamaat janam lete hen aur log tarah tarah ke firqun main bat jaate hen zehni fikar ke ikhtilafaat ki wajah se. isi ko kuchh log apni apni mufaad parasti ke liye istemaal karte hen jis ki wajah se mazaahibe aalam badnaam ho kar reh jaate hen.

is baat se sab ko maaloom ho jaana chahiye keh agar mazhab aik achhi cheez hai to woh kyun hai aur agar koi buri cheez hai to woh kyun hai.

doosri baat deen ki hai yani zindagi guzaarne ke raaste ki. kyunkeh khudaa tak koi aik shakhs bhi khud bakhud rasayee haasil hi nahin kar sakta to phir zaroorat is baat ki aan padti hai agar khudaa hai to woh apne aap ki kisi tarah insaanu ke liye zahir kare. yaheen se khudaa ki taraf se wahee per mabni zindagi gurzaarne ke raaste ki baat shuroo hoti hai. kyunkeh khudaa ne khud ko duniya aur wahee ke zariye hi zahir farmaaya hai insaanu ke liye.

yeh do baaten hen in ko apne apne zehnu main khooob ujaagar kar len. mazhab aur deen do alag alag cheezen hen. aik taraf se insaan khud khudaa tak pohnchne ki koshish karte hen to doosri taraf se khudaa khud insaanu tak pohnchne ki koshish karta hai. yun samjhen aik taraf se aap aasmaan per charne ki koshish kar rahen to doosri taraf se rasi pankhi gayee hai taa keh aap ko aasmaan per charne main us ke zariye madad mil jaaye.

ab aap ko aik had tak khud ko oopar uthaana hai aur phir aage se khudaa ki rasi aap ko mazeed oopar le jaane ke liye mojood hai. agar aap khud ko us qadar oppar na uthaa paaye keh aap khudaa ki rasi ko dekh saken yaa us tak ponch saken to phir aap ka ooper tak ponchna mumkin nahin hai aap jo chahye kar len.


agar aap ne mazhab ko theek maqsad ke liye theek had tak apnaaya taakeh aap khud ko oopar uthaa saken aur khudaa ki rasi ko dekh saken aur us ko pakad saken phir to koi masla hi nahin hai aap ooper pohnch jaayen ge magar agar aap ne aik qadam aage aur do peechhe waala maamla kiya to phir aap khud ko mushkil dar mushkil hi main daalte chale jaayen ge aur ooper jaa hi nahin saken ge balkeh yun hi idhar udhar bhatakte rahen ge.

ab aap yeh samjhen aap ko khudaa ki rasi mil gayee hai aur aap us ki madad se opper pohnchna chahte hen. yani aik shakhs ki quran tak rasayee ho gayee hai. ab aglaa marhala shuroo ho ga keh is rasi ki madad se opper kaise pohnch jaaye yani is rasi ko kaise istemaal kiya jaaye taa keh yeh aap ke ooper pohnchne ka zariya bane.

yaheen se quraan ko sahee tarah se samjhne ki zaroorat padti hai kyunkeh is main woh tamaam laazmi baaten bataa di gayee hen jin ko jaanan quran ko saheeh tarah se istemaal kar ke ooper pohnchne ke liye zaroori hai. warna log firqun main bat jaayen ge jaise mazhabi soch ki wajah se log bhatak jaate hen.

in main sab se pehli baat insaani zabaan ko achhi tarah se samajhna hai keh yeh kaise wajood main ayee aur irtaqaa pazeer hui. is ki bunyaadi wajah yeh hai qurano hadis ilfaaz ka mujmuah hen aur ilfaaz kia hen kahaan se aaye hen aur un ke maani kiya hen aur kyun hen yeh sab baaten jaanana az bas laazmi hai qurano hadis ko sahee tarah se jaanane ke liye. is ke ilaawa yeh baat jaanana bhi int-haayee zaroori hai keh zubaan insaanu ki ijaad hai aur khudaa ko is main apna maqsad bayaan karna hai. yahee wajah hai jo log in baatun tak abhi tak nahin pohnche woh deene islam ko kabhi bhi samajh hi nahin sakte sirf samajhne ke daawe hi kar sakte hen. log kyunkeh in sab baatun se unjaan hen isi liye tarah tarah ki baaten kiye jaa rahe hen jin ke na sar hen aur na paer. yaheen isi forum per yeh sab kuchh dekah jaa sakta hai. maine in sab baatun ko barsoon ki mehnat se maaloom kiya hai aur un ko logoon ko samjhaane ki koshish main masroof hun isi liye maine is forum per bhi aik thread main bahot si is ummat ko kaam aane waali baaten jama kar di hen logoon ko chahiye meri in baatun se poori tarah faiida uthaane ki koshish karen agar un ke paas woh ilm mojood hai jisse woh meri baaten khud samajh kar doosrun ko samjhaa saken. taakeh is ummat ke logoon ki ilmi satah ko quran ko samajh sakne ki satah per laaya jaa sake. yeh hai sab musalmaanu ke karne ka kaam agar aap ke dil main deene islam ke liye sachi muhabbat aur tarap hai insaaniyat ke liye. warna aik doosre per laan taan karte rahiye aur apni zindagyan aik doosre ke haathun jahanam banaate rahiye jaisa keh aap log kar hi rahe hen. mujhe aisi jahilaana guftgoo se kuchh lena dena nahin hai magar kabhi kabhi apni thread ka hawaala de deta hun jis ko chahiye woh padh le jis ko nahin chahiye woh na padhe. For better understanding of what the actual message of the quran is see HERE and HERE.
 
Last edited: