Eric X. Li: A tale of two political systems

iltaf

Chief Minister (5k+ posts)
Eric has excellent points and well busted western democracy. We see many friends esp PPP guys who rant western democracy all the time. My humble request is to watch the whole clip before disagreeing with me
 

disgusted

Chief Minister (5k+ posts)
Eric has excellent points and well busted western democracy. We see many friends esp PPP guys who rant western democracy all the time. My humble request is to watch the whole clip before disagreeing with me
Good video. Where is Pakistan heading? Will we or rather our children and grandchildren be able to live with honor or are we condemned to this modern slavery forever.
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
log jo ji chahe ker len woh khudaa ko haraa nahin sakte. khudaa ne ye kaainaat hamaare maqaasid ko poora kerne ke liye nahin balkeh apna maqsad poora kerne ke liye banayee hai. bas insaanu ko itni baat samajhne ki zaroorat hai. jab tak log itni baat ko nahin samjhen ge, kaam aise hi chalta rahe ga jaise chal rahaa hai.

albatta agar samajh jaayen ge to phir sab ko mil ker apni madad aap ke teht khudaa ke diye ge naqshe ke mutaabiq apna aik behtareen insaani maashra banaana ho ga jisse khudaa ka maqsad poora ho jaaye ga aur insaanu ka bhi. is liye dono khush hun ge aik doosre se aur aik doosre ko shabaashi den ge. warna khudaa aur insaanu ke darmiyaan kheencha taani jaari rahe ge magar jeet fil aakhir khudaa hi ki ho gi keh insaanu ko fil aakhir khudaa hi ke program main apni nijaat nazar aaye gi apne her tarah ke haraami pan ko aazmaane ke baad. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE and HERE.

khudaa ne issi liye kuchh baatun ko darakhtun se tashbeeh di hai. maslan enlightenment aik drakht hai yaani burning bush. sooraj ko chiraagh issi liye kahaa hai keh woh is duniya main roshni phelaata hai magar paighamber ko bhi roshan chiraagh hi kahaa gayaa hai kyunkeh woh khudaa ki wahee ki roshni phelaata hai.

quraan main aap dekhen ge shajre taiyebah ka ziker hai aur shajre khabeesah ka bhi. drakht se tashbeeh is liye di gayee hai keh kuchh cheezen apne apne waqt per insaanu ke saamnbe aayen gi ya insaanu pe khulti jayen gi. lihaaza agar insaan burayee ke drakht lagaayen ge to phal bhi bura hi mile ga aur agar achayee ke drakht ugaayen ge to phal bhi aisa hi mile ga. lihaaza is dor ke logoon ko quraan ko theek tarah se samajhne ki koshish main lag jaana chahiye ta keh is andheri raat ka sawera ho sake.
 
Last edited:

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
asal baat ye hai keh aik taraf ham ishtaraaki nizaam ko liye baithe hen to doosri taraf sarmayadaari nizaam ko aur teesri taraf ham socialist nizaam ko liye baithe hen jo dono ki aik mixture hai. nizaam sab hi drust hen insaanu ke nazriyaat ke mutaabiq. jo log taaqatwar hen woh chahte hen log apni zaat ke liye kaam karen jisse agar doosrun ko kuchh faida ho sakta hai to ho jaaye warna hamaari balaa se.

doosri tarah kamzor log kehte hen agar hamaare liye kuchh nahin hai to phir tumaare liye bhi kuchh nahin chhoren ge. teesri taraf ke log aik doosre ko behlaa phislaa ker apna apna ulloo seedha kerne ki koshish main lage rehte hen. issi liye koi aik nizaam bhi duniya bhar se ghareebi ko poori tarah se nahin hataa saka magar kashmakash jaari hai.

in sab nizaamun per hamesha se ijaaradaari mazhab ki rahee hai kyunkeh mazhab insaanu ki sab se pehli nazriyaati ijaad hai. mazhab ka zor tordne ke liye nizaame sarmayadaari ko laaya gayaa tha. is liye keh mullaan ne logoon ko ye aqeeda bataaya huwa tha keh sab kuchh khudaa ke ikhtiyaar main hai woh jisse chahta hai bahot deta hai aur jisse chata hai kuchh bhi nahin deta. yaani ameeri aur ghareebi khuda ne peda ki hai insaanu ne nahin.

nizaamen sarmaayadaari ne mullaam ke is aqeede ko poori tarah se ghalat saabit ker diya hai. kyunkeh nizaame sarmayadaari main jo jitna kaam kare ga us ko utna hi mile ga. issi liye aaj ka ghareeb kal ka ameer tareen insaan ban sakta hai.

doosri taraf ishtraaki nizaam ne ye manwaaya keh agar insaan mil jul ker kaam karen ge to un ko taraqi mile gi bahesiyate aik qowm. is nizaam ne bhi mazhabi aqeede ko poori tarah se naga ker ke rakh diya. yani agar log aik ho ker mehnat karen ge aur jo mile ga aapas main baant len ge to sab ka faaida ho ga. lihaaza ye kehna keh ameer aur ghareen khudaa banaata hia bilkul hi ghalat aqeeda sabit ho gayaa.

lihaaza agar log in nizaamun ko theek tarah se samajhna chahte hen to ye un ko samajhne ka saheeh context hai. lihaaza dono nizaam hi insaanu ko mazhab se nikaalne main kaafi had tak kaamyaab rahe.

problem kahaan peda hui? problem wahaan peda huwa jab logoon ne mullaan ke haraami pan per sawalaat uthaa diye ya khade ker diye. jisse log khudaa ko hi beech main se nikaal dene per tul ge. yahee wajah hai aaj na sarmaayadaari nizaam ke mutaabiq rehne waale log khudaa ko maante hen aur na hi ishtaraaki nizaam ke teht rehne waale log. woh ye samajh baithe hen keh jo mullaan kehte hen khudaa ke baare main wohee sach hai. magar haqeeqat main aisa her giz nahin hai.

mullaan to haraami hen keh in logoon ne khudaa ke asal paighaam ko kabhi drust tareeqe se samajhne ki koshish hi nahin ki hai. bas kuchh apni taraf se in logoon ne bebyunyaad aqeede ghard liye aur logoon ko bewaqoof banaana shuroo ker diya. aaj ye log poori tarah expose yaani nange ho chuke hen. yahee wajah hai logoon ki aksriyat ab socialist nizaam ki taraf badh rahee hai. albataa ye nizaam bhi insaanu ke asal masaail ka hal nahin hai.

in sab nizaamun ke fail hone ki badi wajah yahee hai keh in main khudaa ka drust tasawur mojood hi nahin hai jo sirf aur sirf quraan main hai. jis ko aakhari paighambre deene islam ne aakhari martaba riyaasate madina ki shakal main mutashakkil ker ke dikhaaya tha.

asal baat ye hai keh jab logoon ke dilon main koi kaam kerne ke liye koi motivation hi nahin hoti to phir woh koi bhi kaam ker hi nahin sakte. motivation ki bahot hi badi ehmiyat hoti hai jis ko samajhne ki zaroorat hai. na sirf ye balkeh agar koi ghalat motivation ho gi to log ghalat kaam ker guzren ge. issi liye sirf motivation laazmi nahin hai balkeh drust motivation laazmi hai ta keh log drust kaam kerne ke liye motivate hun ya ho saken ya kiya jaa saken. quraan insaaniyat ko ye pakki bunyaad fraham kerta hai. yahee quraan ke kitaabe khudaa hone ka pakka saboot hai. yahee wajah hai aik din sab logoon ko ye baat manani hi pade gi.
 
Last edited:

iltaf

Chief Minister (5k+ posts)
Good video. Where is Pakistan heading? Will we or rather our children and grandchildren be able to live with honor or are we condemned to this modern slavery forever.
We dont any imported system, but rather a system that is indigenous to us and we definitely have capable minds who can devise such. It is just a matter of concrete debate, with the powerful involved having love for this nation.