How Expats send new phones to their beloved :)

eye-eye-PTI

Chief Minister (5k+ posts)
LoLzzzz.... yeh formula sirf phones he nahee, paisay pe be implement hota hai

Leiken main ne ab phones bhejnay pe stay order le lia hai.

Sab family members ko beshumaar phones bhejay hain pichlay 10 saalon meion magar her doosray maheenay unn k phone ya kharab ho jatay hain ya baich k thakka hua china mobile le letay hain phr kehtay woh phone gir gyaa thaa to main ne baich diaa :@
 
Last edited:

ali-raj

Bhaijaan. Mein idhar Pakistan mein rehtay huay, bohat sey phone purchase kar key de chuka hoon. Phone eik aisi cheez hai, jo log kapron ki tarhan change kartey hain.
 
Sir hum b use kertay hain ... balkay din raat use kertay hain ... magar ahteyaat ke saath ... shayed iss liye ke khud kama ke paisay lagaaey hain.

Magar Pak main jiss ko b do woh kuch din use ker ke baich he detay hain phr wohee rona ke mera phone kharaab ho gyaa, LCD toot gayee, neya bhejain.

Doosri baat yeh ke jisay phone karo, haal ahwaal pooch lo to pehla sawal he yeh poochtay hain koi banda Pakistan anay wala hai? agar jawaban poocho ku to kehtay yaar koi acha saa phone bhej dena, mera pata nahee kab se kharaab hua hai, 2 , 3 dafa theek b kerwaya hai set nahee huaa. Koi smart phone bhejna, iphone , Galaxy, ya Note series mein se. Ziada mehnga na bhejnaa buss inhee mein se le ke bhej dena ;)

Iss saal Feb main Pak se wapis aatay huay main ne sab ko faisla sunaa dia k ammi abu k ilawa koi banda phone ki farmaish na karay, ab kissi ko nahee milnaa, jiss ka toot jaaey woh theek kerwaey, jiska gum ho jaaey apnay paison se neya le.

Lo jee. Ghalati kar dee. Ab Ammi Abbu phone mangaen gaye, aur baqi un sey la liya karen gaye. Ab tu Line lagay gee phones ki :)

I've spent a lot and kept almost all expensive phones(due to features), since the beginning of cell phone era in Pakistan. but now, i am settled on Qmobile(within 15k limit). In my opinion, Status doesn't count and IN Phones doesn't cut with me. For me phone is just a tool to be in contact. However, i am looking to get a good phone, which will last 2-3 years (Motorola type). I don't know , why people are crazy for the bleeding edge stuff, which they don't even use.
 
Ammi abu to ulta meri bisti kertay hain k main ne sab sir pe charhaya hua hai. Woh nahi mangain ge na he apna phone kisi ko dain ge ... issi liye main ne yeh shart rakhi hai k sirf unhain milay gaa agar maanga to :)

You are right k fazool k paisay nahi kharchnay chahiye phones pe ... muje b iss cheez ki akal dair se ayee hai aor ab Note 4 aor Note 3 taqreeban 8 maheenay huay change nahi kia. Warna 3, 4 maheenay bad phone neya le leta thaa.

Main phones aor perfumes k maslay main bahot fazool kharch hoon ... bahot he ziadaa.

Abhi iss sal Feb main socha thaa Q mobile loon gaa phir plan reh gya. Samsung ne Note 5 announce to kia hai prr muje pasand nahi ayaa. Next phone ab insha Allah 5, 6 maheenay bad he loon ga agar koi acha aya to warna inhee se kam chalaoon gaa.
 
Abdul Baqi

MPA (400+ posts)
most of Indians never waste money on phones like Pakistanis ,they are buying high quality and cheaply priced brands like xiaomi, lenovo etc. Only in our developing country I have seen people wasting this much money on a phone which sells for 600 USD while it costs only 250 USD to be manufactured.