Importance of Salah - Surah Al Muddaththir

Dr Adam

Prime Minister (20k+ posts)
MUST WATCH --> IMPORTANCE OF SALAH


دل سے دعا ہے کہ الله ہم سب کو پانچ وقت کی نماز کی پابندی کرنے کی توفیق عطا فرمایئے . آمین

جزاک الله برادر، اینڈ تھینک یو فار شیئرنگ اینڈ اے ٹائیملی ریمائنڈر
 

Slider

Voter (50+ posts)
I have heard this all my life , but here is some food for thought

يَوْمَ نَدْعُواْ كُلَّ اُنَاسٍ بإِمَامِهِمْ فَمَنْ اُوتِيَ كِتَابَهُ بِيَمِينِهِ فَاُوْلَئِكَ يَقْرَءُونَ كِتَابَهُمْ وَلاَ يُظْلَمُونَ فَتِيلاً

On the Day We shall call every people with their Imam (leader); then whoever is given his book in his right hand; then these will read their book (joyfully); and they will not be treated unjustly in the least

My understanding is that we all will be questioned at some point on that day but
if you wake up that day and you c yourself behind Molana Fazual Rehman , lets just say,
then I assure you that you will not be asked about namaz first , thats all !
 

Hunter_

MPA (400+ posts)

دل سے دعا ہے کہ الله ہم سب کو پانچ وقت کی نماز کی پابندی کرنے کی توفیق عطا فرمایئے . آمین

جزاک الله برادر، اینڈ تھینک یو فار شیئرنگ اینڈ اے ٹائیملی ریمائنڈر
Jazak ALLAH khair, yea aayat daykh kr main bhee waqai parayshan hua hum namaz ko kitna casual laytay hain,
 

Hunter_

MPA (400+ posts)

دل سے دعا ہے کہ الله ہم سب کو پانچ وقت کی نماز کی پابندی کرنے کی توفیق عطا فرمایئے . آمین

جزاک الله برادر، اینڈ تھینک یو فار شیئرنگ اینڈ اے ٹائیملی ریمائنڈر
aamin ya Rab ul Alamin
 

Hunter_

MPA (400+ posts)
But you missed the very next ayahs, that say we did not feed the poor and used to indulge ˹in falsehood˺ along with others.

Yanni niri sar se zameen pe takre marnay ka koi faida nahi.
Jazak ALLAH Khair, agree with you, its a combination
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
kalme ka vird kerne se, namaaz padhne se, roze rakhne se, hajj kerne se, zakaat adaa kerne se ghareebi door nahin ho sakti na hi ki jaa sakti hai. ulta yahee cheezen ghareebi peda kerti hen. issi liye in baatun ka asal deene islam se koi taaluq hi nahin hai.

salaat qaaim kerne se matlab hai aik jamaat ban ker utho, zakaat ka matlab hai aik doosre ki poori poori madad karo, sowm ka matlab hai aik doosre ke saath koi aisa kaam mat karo jisse aapas main dostiyan toot jaayen aur ulta dushmaniyan pad jaayen aur ummat toot phoot jaaye, hajj ka matlab hai jo maqsad khudaa ne insaanu ke liye muqarar kiya hai us ko haasil yani poora kerne ki taraf chalo ya safar karo. aur ye sab kuchh sirf aur sirf khudaa ke liye karo. aik doosre per ehsaan rakh ker nahin. yahee hai asal main khudaa ke liye jeena aur marna.

mullaan ne logoon ko asal deene islam se door hataa diya hai mazhab aur secularism ke zariye is baat ko khud bhi samjhen aur doosrun ko bhi samjhaayen.

is baat ko achhi tarah se samajh len keh islam asal main sirf aur sirf deen hai mazhab nahin hai. deen ka mazhabi amaal se koi kaam hi nahin hota na hi ho sakta hai. deen to dastooro qanoon ki baat kare ga na keh mazhabi amaal ki.

asal deene islam ke paanch bunyaadi arkaan is ka dastooro qanoon teh kerte hen in per ghor to karen. khudaa kia itni ghatiya zaat ho sakti hai jis ko siwaaye apni pooja paat ke insaanu se kuchh matlab hi na ho? kia hai mullaan ke islam main jis per aap log mare jaa rahe hen? kia aap main se koi aik bhi mullaan ke islam ka defa ker sakta hai? her giz nahin. phir aap log kyun aisi baaten phelaa rahe hen jo dar asal insaaniyat ko barbaadi ki taraf dawat dene ke mutaraadif hen?

yaad rakhen mullaan ka khudaa ka tasawur bahot hi ghatiya hai jo aik muslim ka khudaa ka tasawur ho hi nahin sakta. issi liye to iqbal ne kahaa hai mullaan ki azaan aur hai mujahid ki azaan aur. azaan namaaz ki taraf bulaane waali shai nahin hai, ye asal deene islam ki atarf dawat deni waali shai hai. is ke ilfaaz per ghor to karen.

sochne waali baat hai keh aakhir deene islam main aisa kia hai jis ki taraf insaanu ko bulaaya jaa rahaa hai? insaanu ko aik jamaat banane ki taraf dawat hai aik khudaa ke saaye ke neeche. yani human brotherhood yani one ummat under one true God.

socho jab log sache dil se aik jaan ho jaayen ge to phir woh aik doosre ke baazoo bane ge ya dusham? kia mazhabi amaal ya mazhab aisa ker sakte hen? her giz nahin. kia secularism logoon ko aik ker sakta hai? bilkul nahin. sirf aur sirf asal deene islam hi logoon ko aik ummat banaa sakta hai. ye sab baaten main ne tafseel se bayaan ker di hen apni posts main. un ko padhen aur aqal seekhen. na apna waqt zaaya karen na hi doosrun ka bekaar baatun ko phelaa ker. ye aap log islam ki nahin kufar ki khidmat ker rahe hen aur aap ko ehsaas tak nahin hai kyunkeh aap sochne waale log nahin hen. is liye khud main ghoro fiker ki salahiyat peda karen ta keh aap ko khud hi is baat ka ehsaas ho sake keh aap kitna ghalat kaam ker rahen aur samajh rahe aap deene sialm ki khidmat ker rahe hen. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE, HERE, HERE and HERE.
 
Last edited: