IMRAN Khan Sb. MADINA main NANGAY Paon ? KABAH main dakhil hona ?

Saboo

Prime Minister (20k+ posts)
Zid na karo bai kisi aalim say mahwara kar lo wo sahi say samjha day ga hur amal beddat nai
ہاہاہا کسی عالم سے مشورہ کرلو؟ تو کیا یہ انجینر عالم نہیں ہے جس نے یہ شوشہ چھوڑا ہے
اور ہم ایک فضول سی بحث کر رہے ہیں؟… بھائی جسکا دل کرتا ہے جوتا اتار دو اور جسکا
دل نہیں کرتا نہ اتارو…...اب اس میں کیا
 

ChulBul

Senator (1k+ posts)
For sure, he has the right to do whatever he wants to do but equating it to some sort of respect of Prophet Mohammad PBUH makes absolutely no sense to me.
Do I have the right to make a comment? Then It shouldn't be of anyone's business either.
Nope it's still not your right to comment on it. You are going in your own grave like him n me so better concentrate on our deeds.
 

Wake up Pak

Prime Minister (20k+ posts)
Nope it's still not your right to comment on it. You are going in your own grave like him n me so better concentrate on our deeds.
I do have the right to comment on it and no one can take that right away from me.
Going in your grave is a separate matter.
Besides, am i stopping him or forcing anything on him?
This is the problem with us Muslims that we try to suppress other people's opinion or suggestions. One of the reason of closed mindedness of Muslims are as they can't take criticism or different point of view.
 

ChulBul

Senator (1k+ posts)
I do have the right to comment on it and no one can take that right away from me.
Going in your grave is a separate matter.
Besides, am i stopping him or forcing anything on him?
This is the problem with us Muslims that we try to suppress other people's opinion or suggestions. One of the reason of closed mindedness of Muslims are as they can't take criticism or different point of view.
I'm not enforcing you any thing, that's Ur right to say and blame who ever u want, that's exectly happening here mula said something, you said something and than me, so on.
Purpose for our discussion should be mind to your own business. That's my point.
 

3rd_Umpire

Chief Minister (5k+ posts)
نواز شریف سے بڑا عاشق رسول کون ہوگا جسکی شکل ہی کدو سے ملتی ہے اور ہر مسلمان جانتا ہے کہ ہمارے پیارے نبی کو کدو بہت پسند تھا
کدّو کیساتھ "شریف" بھی لکھا جاتا ہے،، جس سے ثابت ہوتا ہے کہ آپکی بات 100فیصد درست ہے
 

Abdul Allah

Minister (2k+ posts)
As the video rightly explained, did Abu Bakar r.a, Omar Ibn Khattab r.a, Hazrat Usman r.a, Hazrat Ali r.a all use to do that? Was Imam Malik a bigger Aashiqe Rasool than all of them?


I use to carry slipper of My Father (and also My Chacha's as well) when we move out of Masjid etc. But My Chacha never did that .

So it will be a valid argument k did My Chacha respect My Father less than me ?

or My Chacha's children did not do that but i used to do that .

Will it be a valid argument k if they never did that so Why i am doing it ??

It is not Obligation or "Farz" it is a choice
 

Citizen X

President (40k+ posts)
I use to carry slipper of My Father (and also My Chacha's as well) when we move out of Masjid etc. But My Chacha never did that .

So it will be a valid argument k did My Chacha respect My Father less than me ?

or My Chacha's children did not do that but i used to do that .

Will it be a valid argument k if they never did that so Why i am doing it ??

It is not Obligation or "Farz" it is a choice
Emotional arguments carry no weight.
 

usman1278

Voter (50+ posts)
ہاہاہا کسی عالم سے مشورہ کرلو؟ تو کیا یہ انجینر عالم نہیں ہے جس نے یہ شوشہ چھوڑا ہے
اور ہم ایک فضول سی بحث کر رہے ہیں؟… بھائی جسکا دل کرتا ہے جوتا اتار دو اور جسکا
دل نہیں کرتا نہ اتارو…...اب اس میں کیا
Yeah aalim nai hai aalim ka be atleast dura hadees ka 8 year course hota hai us kay ifta ka then kuch saal ulema ki mehfil then wo is qabil hota hai kay mashwara day sakay yeah aalim e deen nai
 

Abdul Allah

Minister (2k+ posts)
Emotional arguments carry no weight.

Respect is Emotional thing

There are two level of Respects

one MUST to follow

other upto the personal choice

So if some one dont want to go bare footed in Madina it is his choice

and if some one want to choose it not to ware footwears in madina it is his choice.
 

Imjutt

MPA (400+ posts)
Watch out my Muslim brothers he is no scholar nor he has any authority to give this kind of speech ; he is indeed a seditious idiot who thinks he know better then everybody who ever lived last 1400 years. be very careful your Faith is most precious thing you have don't loose it over some self righteous bastard.
 

IM SHAH

Senator (1k+ posts)
this molvi is wrong number...... If someone out of respect took his or her shoes off then tell me what's wrong with that.... its love and respect O molvi...... you have no idea what ADAAB really is.... there is big difference between information and knowledge......
this molvi has information but totally deprived from Adab....
 

Amal

Chief Minister (5k+ posts)
this act is wrong cause nabi pbuh and sahaba did not practice this in their lives, if we walk in madina bare footed obviously our feet will get filthy and will cause masjid floor or carpet to get dirty . Respect is for masjid n roza Rasool pbuh Where we should always be barefooted and Muslims from all over the world are practicing it and this is the only right way.
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
asal baat ye hai keh islam sirf aur sirf deen hai mazhab nahin hai. deene islam aaino qanoon ki mukammal guideline hai issi liye is ki drust samajh aur pabandi az bas lazmi hai. issi liye deene islam main her jazba aaino qanoon ke teht hi drust jazba hota hai warna fitna fasaad. asal baat samajhne ki ye hai keh agar insaan aaino qanoon ko aik taraf rakh den to phir na koi baat kissi ki responsibility hai aur na hi koi haq.

aaino qanoon ke baghair koi kisi ka nahin hai. na maan na baap na aulaad aur na bahen na bhai waghera waghera. hamaare sab aapas ke taaluq, waaste aur rashtadaariyan sirf aur sirf aaino qanoon ki wajah se hen aur issi liye aaino qanoon ki saheeh soch samajh rakhna aur us per saheeh tarah se amal kerna zaroori hai. issi liye khudaa ki taraf se ham ko responsibilities aur haqooq diye ge hen aur yahee aaino qanoon hi jaanwarun aur insaanu main farq kerta hai. issi ilm aur amal ki wajah se insaan ko insaan kehlaane ka haq hai warna nahin.

jab tak insaanu ko khudaa ki taraf se aaino qanoon nahin mila tha aur un ko us ki saheeh samajh na thi woh sab ke sab jaanwarun se ziyaada kuchh bhi nahin the. aaj bhi her woh insaani shakal ka jaanwar, jaanwar hi hota hai jo in haqaaiq se bebehra hai. jaanwarun ka koi maan baap ya bhai bahen nahin hota is liye keh un main koi rishta baraadari nahin hota. un ko khudaa ki taraf se koi aisa qanoon diya hi nahin gayaa aur na hi aisa dimaagh diya gayaa jisse woh us qanoon ko samajh saken. un ka maqsade takhleeq hi mukhtalif hai insaanu se.

lihaaza khudaa ki baatun ko theek tarah se samajhne ki koshish karen aur un per drust tareeqe se amal karen. dil main khudaa ki guidance ke mutaabiq banaaye huwe aaino qanoon ki izzat peda karen jaisa us ka haq hai aur us per amal ker ke dikhaayen aur phir dekhen is duniya main aap kahaan tak pohnchate hen aur kis qadar jaldi pohnchate hen.

hamaara jo bhi kaam deene khudaa wandi ke khilaaf hai woh ghalat hi hai. albatta is ka saheeh faisla aakhire kaar khudaa hi kare ge keh ham ne unjaane main ghalati ki hai ya jaan boojh ker. asal baat ye hai keh ham ne khudaa ki guidance ko saheeh tarah se seekha hai ya nahin aur us ke ain mutaabiq theek tarah se chale hen ya nahin, ya jo kuchh hamaare zehnu ko apni soch samajh ke mutaabiq achhaa laga ham ne woh kiya aur bas.

issi liye agarche imran khan sb ne jo kiya woh ghalat hai magar is baat ka faisla khudaa hi kere ga keh ye ghalati unhune kyunker ki. un ki bahot se baaten deene islam ke mutaabiq hen magar un ke kuchh kaam un ki mazhabi zehniyat ki bhi akkaasi kerti hen. jahaan woh ghalat kerte hen ham ko bhi un ko agaah kerna chaiye magar baaqi baat khud unhi per chhor deni chahiye keh baat ko samajhne ke liye bhi waqt darkaar hota hai aur un ki masroofiyaat hamaare samne hen. asal baat yahee hai keh mullaan ke haraami pan ne is ummat ko zillato ruswayee ke siwaa kuchh bhi nahin diya aur den ge bhi nahin keh in ke paas aur kuchh hai bhi nahin.

duniya main bahot se log hai jin ke paaon main joote nahin hen, badan per kapde nahin hen, rehne ko ghar nahin hen, aur to aur khaane ke liye khaana nahin hai aur peene ke liye paani nahin hai aur saans lene ke liye hawaa nahin hai. ye hen insaanu ke kerne waale kaam jin ka deene islam sakhti se taqaaza kerta hai. yaani logoon ko sab ye kaam khudaa ke liye kerna az bas laazmi hai. agar ye kaam insaan nahin karen ge to baaqi jo chahe karen un ki koi hesiyta khudaa ke haan bilkul hi nahin hai. achhe insaanu ke inhi kaamun se khudaa ki badhayee ka pata chale ga baaqi insaanu ko.

is ki wajah ye hai keh kamzor log yaani bache, bhoorde aur apahij waghera waghera log inhi baatun ki wajah se khudaa se shikayaat kerte hen jisse khudaa ke naam per harf aata hai. issi liye aaino qanoon ke liye guidance di gayee hai khudaa ki taraf se taa keh log khud ko in ke ain mutaabiq organise aur regulate karen aik achhe insaani maashre main. taa keh is duniya main insaanu ki insaanu ke saath her tarah ki ziyaadatiyan khatam ho jaayen aur yun khudaa ka naam buland ho jaaye aur insaaniyat ka bhi.

mazhabi aqeede aur amaal haraami logoon ki ijaaden hen taa keh woh khudaa ke naam per logon ko bewaqoof banaa ker apne apne ulloo seedhe kar saken apni apni jahaalat aur hatdharmi ki wajah se. ye log bemaqsad zindagiyan ji ker laanat ki maut mar jaate hen. yaani aise log khudaa ki rehmat se door hote hen is duniya main bhi aur aage chal ker bhi. lihaaza mazhab aik laanat hai rehmat nahin jo logoon ko khudaa ke diye huwe maqsad se door ker deta hai. issi liye ye duniya is qadar buri hai kyunkeh log jin kaamun ko khudaa ki taraf se samajh ker kerte hen woh un ko khud apni barbaadi ki taraf le jaate hen aur un ko khabar bhi nahin hoti. lihaaza mazhabi kaamun main waqt zaaya mat karen aur deni kaamun main badh chard ker hissa len. aur sab se badaa kaam hai waqt nikaal asal deene islam ko theek tarah samajh ker doosrun ko theek tarah se samjhaane ki koshish kerna. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE, HERE and HERE.
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
ہاہاہا کسی عالم سے مشورہ کرلو؟ تو کیا یہ انجینر عالم نہیں ہے جس نے یہ شوشہ چھوڑا ہے
اور ہم ایک فضول سی بحث کر رہے ہیں؟… بھائی جسکا دل کرتا ہے جوتا اتار دو اور جسکا
دل نہیں کرتا نہ اتارو…...اب اس میں کیا

azeezam saboo sb, her koi azaad hai jo chahe maane magar koi khudaa ka aaino qanoon tode ga to us ko asal baat se agaah karna zaroori hai. yahee nahin balkeh us ko rokna bhi zaroori hai agar woh kuchh ghalat kere jisse doosrun ko nuqsaan pohnch sake ta keh fitna fasaad na phaile. yahee quraan ka taqaaza hai aur aqal ka bhi. issi liye to quran naazal kiya gayaa tha keh log khud aqal seekh ker aqal mand banen aur phir deegar kam aqloon ko aqal sikhaayen aur apni duniya aur aakhirat sab mil ker sanwaaren.

agar ham her kisi ko jo woh chahe kare keh ker khulaa chhor den ge to duniya ka yahee haal ho ga jo hamaare saamne hai. duniya ke her mulk main aaino qawaneen issi maqsad ke liye hote hen keh log apne maashre ko aik khaas simt main chalaana chahte hen chahe woh drust ho ya ghalat. jab koi un qawaneen ko tordta hai to us ko sazaa di jaati hai ta keh aur log waisa na karen. mind your own business kisi society main bhi nahin chalta balkeh her society main aaini aur qanooni hudood muqarar ker di jaati hai her fard ke liye.

hamaara asal masla quraan ki naa-samjhi hai. issi liye ham log confused hen, yaani uljhan main hen asal deenen islam ke baare main. jab ham quraan ko theek tarah se samajh jaayen ge to hamaare sab masle hal ho jaayen ge. ham ko quraan ko theek tarah se samajhne se mullaan logoon ne roka huwa hai un aqeedun ke zariye jo mullaan ne hamaare liye khud ghade huwe hen hamen apne panje main rakhne ke liye. in logoon ko hukamraanu aur sarmayadaarun ki mukammal pusht panahi haasil hai. is liye ke ye unhi ke faaide ke liye kaam kerte hen.

regards and all the best.
 

usman1278

Voter (50+ posts)
this act is wrong cause nabi pbuh and sahaba did not practice this in their lives, if we walk in madina bare footed obviously our feet will get filthy and will cause masjid floor or carpet to get dirty . Respect is for masjid n roza Rasool pbuh Where we should always be barefooted and Muslims from all over the world are practicing it and this is the only right way.
Thats why you need to do wuddu
 

Amal

Chief Minister (5k+ posts)
Thats why you need to do wuddu

Some people also perform ablutions before enter the masjid haram or masjid nabvi , but majority leaves their place after performing Ghusl o Wudhu and enter straight the masajid !
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
quraan main istemaal kiye ge ilfaaz ke hamesha woh maani dhoonden jo islam ke deen hone ke context main hun na ke mazhab hone ke context main. misaal ke tor per qayaam ke maani hen seedh khdaa hona. laikin deen ke context main is ke maani deene islam per seedhaa khadaa hona hen, yaani her baat aur her kaam deene islam ke ain mutaabiq kerna ya deene islam ke dastooro qanoon ke ain mutaabiq chalna.

issi tarah lafze rakoo ke maani hen khud ko deene islam ke dastooro qanoon ke ain mutaabiq dhaalna. to bend or model or mould oneself according to deen of islam. yaani apni zindagi ko deene islam ke mutaabiq mord lena. to shape one's life according to way of life called deen of islam in the quran.

aise hi lafze sajdah ke maani hen kisi maqsad ya raaste ya baat ya kaam ko tasleem kerna aur us ko poora kerne ke liye amal ya zaroori kaam kerna ya iqdaam uthaana. yaani deene islam ko tasleem kerna aur us ke diye ge dastooro qanoon per chalna ya amal kerna. masjid issi liye woh jaga hoti hai jis main log jama ho ker aik doosre ki madad se khudaa ke dastooro qanoon ke mutaabiq us ke ehkamaat bajaa laate hen. ye pooja paat ki jaga nahin hoti na hi ho sakti hai. ye aik community haal ho sakta hai jahaan per log jama ho ker apne apne ilaaqe ke masaail per aapas main tabaadlae khayalaat kerte hen aur darpesh masaail ka hal dhoondte hen khudaa ki hidaayat ki roshni main. masjid aik kaam kerne ka daftar hoti hai, jaise parliament waghera. ye aik factory bhi ho sakti hai jahaan per woh cheezen tayaar ki jaayen jo awaam ki zaroorat hen. yaani her jaga ya mulk aik masjib hi hai jahaan log sirf aur sirf khudaa ke liye kaam karen us ke karinde ban ker.

quraan main aur hadis main deene islam ke liye mazhab ka lafz istemaal hi nahin kiya gayaa. mullaan log jaise salaah ke lafz ka tarjama mazhabi bunyaad per namaaz kerte hen waisi hi baaqi ilfaaz ka tarjama bhi mazhab ke context main ker ke logoon ko ghalat simt le jaate hen.

lihaaza agar aap ne mullaan ke haraami pan ko samajhna hai to aisi baatun per ghoro fiker kerna shuroo karen. taa keh aap ko pata chale mullaan ne aaj tak deene islam ke saath kia kia khail khaile hen. phir ye keh mullaan, hukamraanu aur sarmayadaarun ne to jo is ummat ke saath kiya woh kiya magar baaqi insaanu ko kia ho gayaa hai keh woh kyun khud apne aap se haraami pan ker rahen aur unhi logoon ki madad ker rahe hen jo khud unhi ka istehsaal ker rahe hen?

deene islam ke context main qibla zindagi ke maqsad (yaani focal point) ko kehte hen jo quraan ne insaanu ke liye mutaiyan kiya hai issi liye to khudaa ne insaanu ko deene islam diya hai taa ke is per chal ker log woh maqsad poora ker saken jis ke liye khudaa ne un ko peda kiya hai. issi liye ham log aik doosre ko salah dete hen keh yaar apna qibla drust ker lo. qiblah us jaga ko bhi kehte hen jo kisi maqsad ke liye chun li jaaye. maslan logoon ka mil jul ker aik maqaam ka intikhaab ker lena ya koi maqaam muqarar ker lena apni meetings waghera ke liye jaise parliament house ya community hall waghera.

khudaa ne logoon ko is liye peda kiya hai taa keh woh us ko us ke kaamun ki wajah se jaanen. khudaa ke kaam kiya hen? is duniya ki takhleeq aur insaanu ki taraf bhaije ge us ke paighamaat. khudaa ne ye kaam kyun kiye? kyunkeh us ne chahaa keh woh khud ko zahir kare apne kaamun ke zariye aur us ne log issi maqsad ke liye aqlo fiker ki qaabliyat de ker anjaan peda kiye, ta keh woh us ko us ke kaamun ke zariye apni madad aap ke teht jaan ker us ki aur apni badhayee ke kaam karen. issi ka naam khudaa ki takbeer bayaan kerna hai. sirf lafzi tor per allah hu akbar kehne se khudaa badaa nahin ban jaata. khudaa ko insaanu ko badaa saabit kerna hai kuchh aise kaam ker ke jisse khudaa ki badhayee saabit bhi ho sake. issi liye us ke diye ge nizaamen zindagi ko theek tarah se samajhna aur phir us ko theek tarah se naafiz karna lazmi hai. pooja paat se khudaa ki ya insaanu ki pani badhayee saabit kerna mumkin hi nahin hai.

lihaaza insaan khudaa ko pooja paat se nahin jaan sakte balkeh apna aqlo fiker istemaal ker ke us ko jaan sakte hen aur us ki badhayee ko jaanane ke liye us ki baatun per amal ker ke apni aur khudaa ki bhadayee ko jaan sakte hen. jisse khudaa apne banaaye huwe insaanu per khush aur insaan apne banaane waale khudaa per khush. matlab ye keh khudaa ne ham insaanu ko bahot kuchh ker sakne ke qaabil banaaya hai aur agar ham woh kuchh nahin karen ge jisse khudaa ki shaan ham insaanu main nazar aaye to ham insaan kuchh bhi nahin hen, khud ko jo chahe samajhte rahen. ghalat kaam kerne se ya drust kaam ghalat tareeqe se kerne se ya kuchh bhi na kerne se ham khud ko khudaa ka behtareen shahkaar saabit hi nahin ker sakte. lihaaza zaroori hai ham asal baat ko samjhen aur apne haraami pan se baaz aayen aur khud ko halaali ban ker dikhaayen.

deene islam aik zindagi guzaarne ka raasta hai aur zindagi pooj paat se nahin guzaari jaa sakti keh isse insaanu ke pait nahin bharte, yaani un ki zindagi ki zaroorten poori nahin ho saktin. issi liye insaanu ki zindagi ki zaroortun ko theek tarah se poora kerne ke khudayee tareeqe ko deene islam kehte hen, pooja paat ko nahin. duniya bhar main sab haraami log ro rahe hen magar majaal hai keh aqlo fiker se kaam le ker asal baat ko samajhne ki theek tarah se koshish karen ta keh phir us per theek tarah se amal bhi ker saken aur yun apne bekaar rone dhone se nijaat bhi haasil ker saken.

duaa ka aik maani quraan ke context main khudaa ke diye ge dastooro qanoon per bharosa karne ke hen jisse ham khudaa per tawakul kerna kehte hen. aur is ke aik maani khudaa ke un systems, structures, procedures or practices per bharosa kerna bhi hen jo khudaa ne is takhleeq ko chalaane ke liye set up kiye hen. is ke aik aur maani bhi hen yaani insaanu ka apni khawaaishaat ka izhaar kerna. is ke her giz ye maani nahin hen aur na hi ho sakte hen keh log ro ro ker din raat khudaa se duaayen karen feryaaden karen apne apne kaam kerwaane ke liye aur khudaa un ke woh woh kaam ker de.

is ki wajah ye hai keh khudaa insaanu ko kaise aise kaam kerne ke liye keh sakta hai jin ka nateeja hi na nikal sake? yaani agar aap khudaa se apne maqsad ke liye duaa karen to kia khudaa aap ka maqsad poora kare ga jaisa aap chahte hen ya ker sakta hai? her giz nahin. kyun nahin? is liye keh khudaa ne ye duniya aur is main mojood her shai khud apne liye banayee hai yaani isse khudaa ka jo maqsad tha us ko poora kerne ke liye us ne ye sab kuchh banaaya hai, hamaare apne banaaye huwe maqaasid ko poora kerne ke liye nahin. agar khudaa hamaari sune ga to phir poora ho gayaa us ka maqsade takhleeq?

kia ham insaanu ko itni aqal hai keh ham khudaa ko bhi apne peechhe lagaa len bajaaye khud us ki hidaayat ke peechhe chalne ke? phir woh hamaari kis kis khawaaish ko poora kere ga ya ham main se kis kis ki khawaaish poori kare ga? khud ham logoon main kitni tarah ke kitne hi ikhtilafaat hen to ye sab kerna khudaa ke bhi bas ki baat nahin hai. issi liye khudaa ham ko aise kaam kerne ki hadayaat kyunker dega jo khud us ki zaat ke liye kerne hi naamumkin hen? lihaaza aqal seekho aur ghalat baaten khudaa rasool se mansoob mat karo balkeh kerna band karo. namaazen, roze, zakaat aur hajj waghera sab ilfaaz ke maani mullaan ne mazhabi context main tabdeel kiye hen warna deene islam ke context main in ke woh maani bikul hi nahin hen jaise main baar baar in baatun ko samjhaa chuka hun apni posts main. un ko ghor se padho.

wuzoo ka lafz bhi quraan main istemaal nahin huwa hai. phir zaraa socho to sahi keh agar paighamber ne deen mazhab hi ko kehna tha to phir quraan main lafze mazhab kyun istemaal nahin kiya gayaa? logoon ko itni lambi lambi baaten bataane ke bajaaye khudaa bas logoon ko bataa deta keh islam mazhab hai, deen nahin hai. khud quraan hi main mazhab aur wuzoo jaise ilfaaz istemaal ker diye jaate aur logoon ko bataa diya jaata keh wuzoo kis balaa ka naam hai aur mazhab kia hota hai. quraan main ghusal ka lafz istemaal huwa hai jis ke maani nahaana hai. ab nahaana zaroori nahin hai paani hi se ho. insaan ilm ki roshni main bhi nahaa sakta hai ya nehlaaya jaa sakta hai.

issi liye wahee ke ilm se insaan ko zehni pakeezagi milti hai keh woh insaan ko ilm ki roshni main nehlaa deti hai. yahee tazkiyae nafs hai, yaani aik achhi insaani personality issi se wajood main aa sakti hai. issi liye quraan hai hi insaan saazi ki kitaab. yahee maani hen quraan ko saaf suthre logoon ke chhune ke. yaani jin ko hidaayat ki talab hai quraan sirf unhi ko hidaayat ataa ker sakta hai. ab khudaa ki taraf se hidaayat sirf unhi logoon ki talab ho sakti hai jin ko is ka maqasad bhi maloom ho apni tajarbaati zindagi ke ilm ki wajah se. issi liye teeno tarah ka ilm noorun alaa noor waali baat ho jaati hai yaani sone per sohaaga. aik ilm woh hai jo her insaan ka apna zaati tajarba hota hai. yahee bunyaad hai her tarah ke baaqi aloom ki. doosra ilm woh hota hai jo log aik doosre ke zindagi ke tajarbaat se seekhte hen, yaani log aik doosre ke saath apni apni zindagi ke tajarbaat share kerte hen. teesra ilm woh hota hai jo khudaa ki taraf se baaz insaanu ko wahee hota hai jo us ko aage pohnchaate hen deegar insaanu tak. jo aaj ke dor ke liye sirf aur sirf quraan hi hai.

iqbal ne issi liye kahaa tha keh mullaan ki azaan aur mujahid ki azaan aur. mullaan samajhta hai azaan namaaz ke liye hai magar asal main ye deene islam ki taraf dawate aam hai.

 
Last edited: