Indeed Javed Ghamdi is one of the best in 1000 years.

Mikkix

Minister (2k+ posts)
azeezam mikkix sb, main aap se sirf itni baat hi arz ker rahaa hu keh quraan ke nazool se khudaa ka koi na koi munaasib yani khudaa ke shayaane shaan maqsad ho ga, woh maqsad kai hai ya ho sakta hai? ye is liye keh jab tak kisi baat ka maqsad maloom na ho woh samajh main ya to aa hi nahin sakti ya phir us per bahot hi ziyaada mehnat karni padti hai. lihaaza agar aap ko woh maqsad maloom hai to bataa dijiye aur agar nahin to jo kuchh main ne likhaa hai us ko padh ker maloom kijiye aur dekhiye kia woh khudaa ke shayaane shaan hai ya nahin.

regards and all the best.
Bhai sb quran boht kamil kitab hai. Ma boht short or concize bat karonga. Wo references jiska quran se koi taluq nahi ya quran k asool aur ayat k khelaf hain wo saree stories per mukamal yaqeen karna aqal walay logon k liye mushkil kam hain kiunk wo quran ki ayat k khelaf hain. Jo references quran ma mojood hain laf ba lafz wahi sach hai. Jahan tak maqsad ki bat kar rahay hain aur jahan tak ma samjha hon ap ye kehna chahtay hain k konsee bat kis tanazar ma kahi gayi hai to us per koi aitraz us waqt tak nhi jab tak uska har pahloo quran ma mojood ho aur agar nhi to wo pura reference mere liye koi matlab nhi rakhta kiunk wo sach bhi ho sakta hai aur ghalat bhi aur uska mere iman se koi taluq nhi. Shukriya.
 
Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)

azeezam mikkix sb, aap ki baatun se mujhe jo samajh aa rahee hai woh ye keh aap apni baatun main aqlo fiker ki bunyaadi hesiyat ki nafi ker rahe hen. agar aisa hai to aap ki baaten drust nahin hen. is liye ke baghair aqlo fiker ke istemaal ke insaan to kisi baat ko samajh hi nahin sakta. yahee wajah hai us ko ye baat maloom hi nahin ho sakti keh quraan khudaa ki kitaab hai. kyunkeh quran ke kalaame khudaawand hone ka saboot hi aqlo fiker per munhasir hai.

baghair aqalo fiker ke ham quraan aur deeger kitaabun main tafreeq hi nahin ker sakte. her qadam pe insaan aqlo fiker ka motaaj hai. insaan duniya ka koi aik kaam bhi aqlo fiker ke baghair drust tor per na seek sakta hai na sikhaa sakta hai aur na hi anjaam de sakta hai. ham insaanu ka asal masla hi quraan per ghoro fiker na kerna hai issi liye ham log duniya main zaleelo khawaar ho rahe hen jab se ham ne ye rawaiya apnaaya hai.

Quraan aik mukammal kitaab hai aur aik reference ki kitaab hai ye baaten aap ki drust hen magar isse pehle ye sawaal peda hota hai keh aap ko in baatun ka pata kaise chala? yaqeenan aap ne apne aqlo fiker ke ghode dodaaye hun ge is maamle main khud ko mutmain kerne ke liye. khudaa ne insaanu ko quraan khud samajhne ke liye diya hai aur khud samajhne ke baad doosrun ko samjhaane ke liye. in sab baatun ko sirf aur sirf aqal ki madad se hi kiya jaa sakta hai, aur koi is ka tareeqa hai hi nahin.

meri nazar main aqal aur kitaab ka taaluq kuchh yun hai. ham ko kisi ne kitaab di yani quraan aur kahaa keh ye khudaa ki kitaab hai insaanu ke samajhne ke liye taa keh insaan is ko samajh ker is ke maqsad ko poora kerne ke liye kaam per lag jaayen. hamaara kaam kisi ki baat ko yun hi maan lena nahin hai warna ham ko jo koi bhi jo kitaab bhi de ga ham ko waise hi maanani pade gi, jo ke aik ghalat baat hai.

hamaara kaam ye hai keh ham us di gayee kitaab ko padhen theek tarah se samajhne ke liye aur agar woh ham ko apne dawun main sachi maloom pade to us ko tasleem ker len aur phir us ki batayee hui baatun ko amli jaama pehnaayen taa keh jis maqsad ke liye woh kitaab di gayee hai woh maqsad poora ho sake ya poora ho jaaye.

mera khayaal hai jab tak ham quraan ke saath aisa salook nahin karen ge hamaari haalat sudherne waali nahin hai. baraaye naam kuchh aqeede banaa lena aur kuchh befaida amaal ko apnaa lena aur samajhna keh ab jannat hamaare naam ker di gayee hai bilkul ghalat rawaiya maloom hota hai mujhe.

agar aap ko english aati hai to jo kuchh main ne likhaa hai us ko padh len shaaid usse aap ko meri baaten samajhne main kuchh madad mil jaaye.

regards and all the best.
 
Last edited:

Baree mazrat itni baree kahani nhi parh sakta. Ma to the point karta hon. Khush rahain. Tc.