Murdon ko bhi Quran Kaani se Sawab milta hai ?

There is only 1

Chief Minister (5k+ posts)
جی ہاں ! ثواب ملتا ہے لیکن اس کے لئے شرط ہے کہ مرنے والا محب اہل بیت ہو یعنی وہ صحیح عقیدے پر مرا ہو
.....
اسی اصول کے تحت جتنے بھی لوگ غلط عقیدے پر مرتے ہیں ان کو کسی نیک عمل کا ثواب تو کیا ملے ،الٹا ان کے اپنے اعمال بھی اکارت کر دیے جاتے ہیں
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
is waqt hamaara sab se aham issue ye nahin hai balkeh ye hai keh quraan ko theek tarah se samajhne ka saheeh tareeqa kia hai. agar is per kisi ke paas munaasiq malumaat hun to woh share kare. is waqt ummat ko kisi shai ki sab se aham zaroorat hai to issi baat ki hai.

jin logoon ko maloom hi nahin hai keh quraan ko theek tarah se samajhne ka saheeh tareeqa kia hai woh is maamle main hamaari rahnumayee ker hi nahin sakte. aise logoon ko deene islam main rahnumayee hasil kernme ke liye sunana apna qeemati waqt zaaya kerna hai.

sirf ye keh dene se keh quraan ko padho baat nahin banti. khudaa ne ham ko quraan theek tarah se samajh ker is per drust tareeqe se amal kerne ke liye diya hai. yahee wajah hai sab se pehle ham ko bahot si baaten jaanane ki zaroorat hai jo ham per quraan ka saheeh context waaze karen. baghair context ke koi aik baat bhi samajhna insaanu ke liye mumkin hi nahin hai. ya aisi hi baat hai keh insaan aik lafz bole bila maqsad ke, yani us ko define hi na kare ksis maqsad ke teht.

lihaaza agar ham ne quraan ko theek tarah se samajhna hai to phir sab se pehle is ka drust context dhoondna ho ga. is ke liye ham ko bahot mehnat ki zaroorat hai.

quraan ka drust context dhoodne ka saheeh tareeqa kia hai kisi aik molvi ko bhi maloom nahin hai, agar kisi ko maloom ho to mujhe bataaye.

hamaari sab ki sab malumaat ki bunyaad trial aur error hai. agar kabhi zindagi main aap logoon ne ghoro fiker kiya hai to aap ko bhi maloom ho ga. bilkul yahee tareeqa hai quraan ka saheeh context dhoondne ka. ye bhi trial aur error method ke baghair maloom hi nahin ho sakta. haan jis ne pehle maloom ker liya ho agar woh bataa de to maamla asaan ho jaata hai. yahee kaam main ne kiye hen jis ki wajah se meri baaten logoon ke liye jaanan zaroori hen ta keh woh khud quraan ko theek tarah se samajhne ke qaabil ho jaayen.

kyunkeh main logoon ko formule yani tareeqe bataata hun quraan ko theek tarah se samajhne ke liye issi liye her koi mera saamna kerne se jijakta hai khawa woh khud ko muslim kehlwaata ho ya nonmuslim. is liye keh us ke paas meri baatun ko rad kerne ka koi jawaaz hi nahin hota. agar aap ke paas hai to aazmaa ker dekh len.

quraan ka drust context us ka maqsade nazool jaane baghair maloom hi nahin ho sakta. issi liye ye baat jaanana az bas zaroori hai keh khudaa ne ham ko quraan diye kyun hai. kia hamen quraan khudaa ne apni pooja parastish kerwaane ke liye diya hai? nahin. balkeh apni aik mehdood had tak pehchaan kerwaane ke liye diya hai. khudaa ne apni zaat ki pehchaan kerwaane ke liye sab kuchh takhleeq kiya hai aur ham insaanu ko quraan diya hai. pehchaan pooja paat se nahin hoti balkeh ghoro fiker kerne se hoti hai, yani ilm haasil kerne se, aur hamaare paas ilm ke do hi zaraaye hen.

aik kaainaat jo khudaa ne issi maqsad ke liye peda ki hai aur doosri khudaa ki taraf se insaanu ko wahee. jo ham ko hamaari zindagfi ka maqsad bataati hai aur ye keh woh maqsad ham poora kaise ker sakte hen yani ham ko us maqsad ko poora kerne ke liye kerna kia ho ga. lihaaza insanu ko chahiye woh pooja paat se niklen aur ilm haasil karen saheeh tarah se khudaa ki is kaainaat ka aur khudaa ki is kitaab ka jo hamaare paas mojood hai. tab hi ham insaan khudaa ki munaasib had tak pehchaan ker sakte hen aur us ko sahee maanu main appreciate ker sakte hen yani khudaa ki qadro qeemat ka andaaza lagaa sakte hen insaani had tak. For a detailed explanation of things about the quran, deen of islam and pakistan see HERE, HERE, HERE, HERE, HERE and HERE.