Namaz Ki Fazilat - Don't Lose Hope in Allah's Love & Mercy

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
pooja paat main insaanu ke liye kuchh bhi fazeelat nahin hai aur na hi ho sakti hai balkeh is main insaanu ki zillat aur ruswayee hai. kyun? is liye keh ye waqt ka ziyaa hai. pooja paat ki kitaaben padho aur un se pooja paat ke masaail jaanu aur socho in main kis qadar waqt lagaana padta hai insaanu ko. kia insaanu ke paas itna waqt hai keh woh is qisam ki baatun main us ko zaaya ker saken? un ke saath pait bhi lagaa hai kia us ke masaail hal kerna insaanu ke liye koi asaan baat hai? phir pooja paat se haasil kia hai? kuchh bhi nahin. isse to ulta nuqsaan hota hai keh waqt barbaad hota hai jo un kaamun main lagaay jaa sakta hai jin ko kiye baghair insaanu ko chaara hi nahin hai.

For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE, HERE and HERE. deen ka satoon namaaz nahin hai balkeh khudaa ke naam per logoon ko aik behtareen jamaat banaana hai. yaani un ko organise aur regulate kerna hai aik ummat ki soorat main ta keh woh apni zaroorten poori ker saken achhe tareeqe se. yahee to asal deene islam hai aur yahee to asal deene islam per theek tarah se amal kerna hai. issi liye to log khudaa ki taarifen karen ge us ke nizaamen zindagi dene ki wajah se. yahee baat khud insaanu ko qaable tareef makhlooq banaati hai keh woh mil jul ker aik doore ki zindagi ko jannati banaate hen bajaaye apni apni alag alag zindagi jeene ke jis ki wajah se her kissi ki zindagi jahanam bani hui hai.
 
Last edited: