asal haraami is mulk ki awaam ki aik bahot hi badi aksriyat hai jo is mulk ke maqsade takhleeq se hi naawaaqif hai. na sirf naawaaqif hai balkeh is ne kabhi waaqif hona chaha hi nahin. warna kaise mumkin tha keh is mulk per her tarah ke mafias qaabiz hote?
ye log asal deene islam aur maqsade takhleeqe pakistan se anjaan hen aur anjaan hi rehna chahte hen. ye log apne masaail ka hal apne haraami pan se hi haasil kerna chahte hen aur ye sab jo huwa aur ho rahaa hai ussi ka nateeja hai. jab tak ye awaam nahin sudhre gi mulk ke sudharne ka sawaal hi peda nahin hota.
kitne log hen jo quraan ko theek tarah se samajhte hen? agar aksar log quraan ko theek tarah se samajhte hi nahin hen to woh us ko theek tarah se naafiz kaise karen ge? lihaaza pakistan main inqilaab to aa sakta hai magar ilmi kitaabi nahin balkeh khooni inqilaab hi aa sakta hai magar woh itna kaargar saabit nahin ho ga. kyunkeh jo bhi us ke nateeje main ooper aaye ga woh wohee kuchh kare ga jo pehle haraami logoon ne kiya hai. is liye keh log asal deene islam ko jaante hi nahin keh drust baat ya kaam ko drust tareeqe se ker saken.
madine ki riyaasat sirf aur sirf woh log hi banaa sakte hen jo na to mazhabi hun aur na hi secular balkeh woh asal deene islam ko theek tarah se jaante hun. mazhab, secularism, capitalism, communism aur socialism ki bunyaad per madine ki riyaasat wajood main aa hi nahin sakti aur agar bil farze muhaal wajood main aa bhi jaaye to qaaim nahin reh sakti. is liye keh in nizaamun main insaaniyat ka istehsaal bunyaadi ansar ke tor per mojood hai. jis ka matlab hai ohde daar aur daulat mand deegar logoon ka istehsaal kerte hi rahen ge.
asal deene islam in sab nizaamun ka dushman hai is liye keh woh insaanu ko aik ummat dekhna chahta hai. woh chahta hai insaan aik doosre ka shikaar na karen balkeh aik doosre ke madadgaar ban ker jiyen. aik doosren per jaan den aur woh bhi aik doosre per ehsaan ker ke nahin balkeh khudaa ke waaste.
asal main pakistan insaanu ka nahin insaani shakal ke darindun ka mulk hai jis main insaanu ka jeena agar muhaal nahin hai to mushkil tareen zaroor hai. lihaaza in drindun ko ya to insaan banaane ki zaroorat hai ya phir in ko khatam kerne ki zaroorat hai. lihaaza logoon ko ya to ilmi aur taleemi inqilaab laana pade ga ya phir khooni inqilaab. tabhi yahaan aisi tabdeeli aaye gi jo woh pakistan banaane ke liye zaroori hai jis maqsad ke liye ye mulk wajood main laaya gayaa tha. lihaaza logoon ka ye jaanana laazmi hai keh asal islam kia hai aur pakistan asal main banaaya hi kis maqsad ke liye gayaa tha. For a detailed explanation of things see
HERE.