Time to take Religious Exploitation by the horns.

Shareef

Minister (2k+ posts)
The Army has often been accused of nurturing religious exploiters for it's own purposes in the past. However now is a great chance to redress this grievance of the people. Molana Fazlu Rahman says the concept of state is incomplete without him! Imagine the guts these people have gathered. This is the right time to stomp religious exploitation once for ever. The general public is also mentally ready for that. We have suffered enough due to it.
 

Citizen X

President (40k+ posts)
The problem is ( and most probably because of these and other people like them ) there is no religious discourse, something even slightly away from the norm is immediately given some label as blasphemous and shut down.

Thats even after everything people still "respect" haramis like diesel, because he is an "Aalim" or "mazhabi shaqsiyat" Forget everyone else, Shk Rasheed even now will never use any harsh words against diesel.

And the layman being clueless in religious matters continuously keeps getting emotionally blackmailed by these cretins.
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
her woh zindagi guzarne ka model jo insaano ko aik doosre ka istesaal kerne ki taraf le jaata hai haraami model hai. aise model sirf aur sirf haraami log hi peda kerte hen aur apnaate aur doosrun per musallat kerte hen apne apne zaati mufadaat ke liye jisse woh aik qown ban hi nahin sakte.

mullaan ki himmat hi nahin hai keh woh ummat main tafreeq peda karen ya ker saken. asal main masla khud logoon ka jahaalat se na nikalne ka faisla hai. lihaaza agar log jahaalat se nikalna hi nahin chahte to phir ye firqawariyat jari rahe gi is ko koi bhi khatam nahin ker sakta magar agar log apna ye faisla badal len aur tahiya ker len keh ham ne her qeemat per jahaalat se nikalna hai to phir un ko chahiye keh woh poore azam ke saath quraan ko theek tarah se samajhne main lag jaayen. un ko chahiye keh woh khud ko mullaan ki betuki aur bebunyaad baatun ko apni drust soch samajh se rad karne ke qaabil karen. issi se firqwariyat khatam ho gi aur asal deene islam bhi saamne aaye ga. quraan saaf saaf kehta hai keh log haq ka saath den aur baatil ko shikast den. aap baatil ko shikast kaise de sakte hen agar aap ko ilm hi nahin hai keh haq kia hai aur baatil kia?

quraan kehta hai khud ko poora poora musalmaan banao to aap kaise khud ko poora poora musalmaan banaa sakte hen agar aap ko deene islam ki alaf bay bhi maloom nahin? aap ke paas her baat ke liye waqt hai agar nahin hai to khudaa ki kitaab ko theek tarah se samajhne ki drust koshsih kerne ke liye nahin hai. lihaaza apni ravish badlen aur quraan ko woh maqaam den jo is ka haq hai taa keh ye aap ko apni duniya aur aakhirat ko sanwaarne ke raaste per daal de aur aap apni poori poori mehnat se woh nematen paa saken jis ka quraan ka aap se dilwaane ka waada hai. yaad rakhen ham ko khudaa ne is liye bhaija hai keh saari insaaniyat ko aik kar den. ab sochen agar ham khud aik nahin hen to baaqi insaani duniya ko ham kaise aik ker sakte hen?

jab tak khud ko musalmaan kehlwaane waale quraan ke saath wafadaari nahin kerte ye barbaad aur naashaad hi rahen ge. lihaaza agar quraan ke saath wafadaari karni hai to sab se pehle quraan ko khud theek tarah se samjho phir is ka tarjama drust karo aur phir is ko duniya main aam karo. islam deen hai mazhab nahin hai. lihaaza mazhabi amaal se niklo aur deeni kaamun ko apnaao phir dekho duniya kaise tabdeel hoti hai jahanam se jannat main.

jab tak halaali leader apne awaam ko halaali na banaayen aur jab tak halaali awaam apne leederun ko halaali na banaayen baat ban hi nahin sakti. lihaaza agar kuchh kerna hai to aik doosre ko asal deene islam ki saheeh taleemo tarbiyat do. warna bhool jaao aap kabhi bhi kisi qaabil ho sako ge.

agar aap apni aur apne mulk ki behtari chahte hen to aap ka hukamraanu, sarmayadarun aur mullaan ke haraami pan se bachna az bas zaroori hai ta keh mulk taraqi ker sake. is liye keh ye sab haraami log mil ker aap ko jahil aur bekaar banaane aur banaaye rakhne ke zimmadar hen. yahee nahin agar aap khud taleemo tarbiyat nahin haasil kerna chahte ya isse ji churaate hen to aap khud bhi inhi haraamiyun main shaamil hen.

aap ke haraami leedraan apne zaati mufadaat ke liye apne mulk ko baichte rahe hen bahir ke dushman mulkun se bahir hi maal le ker. yahee in ki leedri thi. in sab haraami logoon ka yahee haal hona chahiye tha jo huwa hai jo aise haraami leeder chunte hen apni jahaalat ki wajah se aur aise nizaam ko apnaaye huwe hen jis main khair bahot hi kam aur shar bahot hi ziyaada hai. khudaa ne duniya aise set up ki hai keh is main her aik haraami ko doosre haraamiyun se hamesha joote padte hi rahen ge. agar is museebat se nikalna hai to saheeh quraani taleem ko saamne laao aur usse aam karo aur yun khud ko halaali ban ker dikhaao warna haalat abhi isse bhi badtar hone waali hai jo hai is liye keh jo log khudaa ki sachi kitaab ke saath kaee tarah se khilwaad kerte hen un ka haal kitaab ne bahot pehle se hi bataaya huwa hai. For a detailed explanation of things about the quran, deen of islam and pakistan see HERE, HERE, HERE, HERE, HERE and HERE.