To deliberately misinterpret and misrepresent message of quran is dangerous, why?

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
It is very dangerous for humanity to deliberately misinterpret and misrepresent the message of the quran because the quran itself carries many warnings in it. The context of the message of the quran is very simple in this regard ie make proper sense of the message of the quran and follow it faithfully and you are guaranteed blissful, dignified and secure existence in this liofe as well as in here after as a proper human community. Avoid it, ignore it, misinterpret it or misrepresent it then you the mankind are in such a big trouble that you cannot even imagine.

As I have explained already in detail how the quran should be understood, it also seems necessary to explain why the quran should not be understood through sources of lesser importance than the quran itself.

Scientific way of understanding the quran is requirement of the quran itself. It is because the first source of information for humanity is its life experiences based upon its God given brains, senses and other provisions without which human beings cannot know a thing let alone understand the message of God. This is an undeniable and unchallengeable fact that human beings cannot know what logic is what consistency is unless they first understand things in the real world.

This being the case the quranic interpretation therefore has to be based upon facts and not fictions since nothing is as authentic as facts before our senses and our logically consistent interpretation of facts therefore interpreting the quran independent of fact is just turning the quran into a fiction. This is why the quran must not be interpreted wrong way round or the quran will not make sense no matter how hard we try make sense of it that way. Failing to make sense of the text of the quran has not just serious but fatal consequences let alone it landing us human beings in blissful, dignified and secure existence.

The other main reason for not interpreting the quran the wrong way nor accepting its interpretations based on wrong way is that such interpretations by muslims provide nonmuslims with reasons to criticise the quran so instead of people accepting the message of the quran ignore it and ridicule it. Not only that but even educated muslims themselves become doubtful about claims in the quran and therefore start doubting the message of the quran thinking it is just a made up stuff and therefore a waste of time to try to live the way it tells as explained by molvies who are ignorant of actual facts about the real world realities.

A most important question for muslims to consider is, how do nonmuslims look at the quran and messenger of deen of islam if we look at the quran through hadis for example?

Their argument in that case is very simple that if the messenger of Allah understood the quran the way his mindset, attitude and behaviour is depicted in the hadis reports then that is exactly what he was told to carry out by the quran and because a lot of stuff in hadis books is questionable therefore the character of prophet and authenticity of the quran also becomes questionable. It is because then authenticity of the quran becomes dependent upon hadis works which are human works in their origin.

So it is time that molvies and their followers start realising what they are actually doing when they try to push the idea of interpretation of the quran through hadis or questionable historical accounts.

This is why muslims must accept the understanding of the quran through facts and not fictitious stories as basis for proper understanding of the quranic message. If we accept facts as basis for the interpretation of the message of the quran then there is nothing wrong with accepting hadis reports or
historical accounts that do not contradict facts otherwise we have no choice but to reject them as fictional.

People who do not accept quranic message based on facts cannot convince nonmuslims for the truth of the message of the quran ever. This is why mullahs never enter open and decisive debates with nonmuslims because they already know they have no solid grounds to stand upon which clearly distinguishes the quran as the unique scripture in the world. If we want worldwide ummah then we need to establish a solid ground for ourselves before we can take message of the quran to the rest of the world in an effective way that can produce results that really matter because solid ground has to be solid enough that when it is put to the test it proves its worth by standing to reason or logical consistency.

Unless we do all this we stand to lose educated people to nonmuslim world as education takes roots in our muslim states while gaining back mainly only emotionally disturbed people who are looking for support instead of bringing us support because they cannot due to being emotional wrecks already themselves. It is because nonmuslim way of life only suits people who can compete in their societies effectively and that means people who have strength to do that. So we are bound to become more and more collection of rejects than an ummah that is strong enough to face the ruthless nonmuslim world head on with logical consistency.

We who claim to be muslims therefore need to become like sir syed, farahi, iqbal, jinnah and parwez than stay ignorant fools unable to express strength of our deen of islam effectively. This is why my work on the quran must be taken seriously by those who have concern of ummah at heart as well as of wider human population.

So long as we do not interpret the message of the quran properly and help others understand its message properly, animosity between human beings will remain intact and all sorts of wars will continue and grow in intensity between muslims and nonmuslims as well as among muslims themselves.

It is because the very ground that can unite muslims and nonmuslims is also the only ground that can bring unity among muslims as well. So it is up to ourselves whether we want our world for our future generations to be a world Allah wants us to struggle for or the opposite.

This is why we can bring about a united, peaceful, progressive and prosperous world by being a proper human community based upon guidance of Allah or a world that is much more dangerous than the one we ourselves inherited from our ancestors.
 
Last edited by a moderator:

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
her drust baat se mutaasir hona chahiye yahee insaan ke haq per hone ki asal bunyaad hai. haq is baat ko nahin kehte jis ko hamaare baap daada ne ham ko bataaya ho jab tak keh woh baat haq ke mayaar per poori na utre. quran is liye haq nahin hai kyunkeh ham musalmaanu ke ghar peda huwe aur unhune ham ko yahee bataaya balkeh is liye haq hai keh yeh haq ke mayaar per poora utarta hai.

musalmaanu ko agar kisi ne dhoka diya hai to woh in main se in ka hukamraan tabqa hai, sarmayaadaar tabqa hai aur mazhabi peshawoun ka tabqa hai. in logoon ne mil kar musalmaanu ko deene islam ke mujahid banaane ke bajaaye mazhabi pujaari banaa diya. yahee wajah hai har aadmi mazhab ka perchaar kar rahaa hai deen ka nahin.

aqlo fikar ka istemaal khud quran main Allah ka hukam hai.

http://www.islamawakened.com/quran/16/78/default.htm aur deegar aisi ayaat. maslan http://www.islamawakened.com/quran/22/46/default.htm yaa http://www.islamawakened.com/quran/23/78/default.htm http://www.islamawakened.com/quran/67/23/default.htm http://www.islamawakened.com/quran/7/179/default.htm

16/78 main khud Allah taala farmaa rahaa hai ham ne tum insaanu ko apni maaon ke batanu se unjaan peda kiya hai. albata tum ko dimaagh aur hawaas diye hen taa keh tum un ko theek tarah se istemaal kar ke khud ilm haasil kar sako. ab logoon ko sochna chhiye kia yahaan quran aik bahot hi badi haqeeqat se niqaab kushayee nahin kar rahaa?

in jaisi aayat ko padhne ke baad sawaal peda hota hai agar dimaagh aur hawaas insaan ke ilm haasil karne ka zariya hen to woh insaan ko ilm haasil kaise karwaate hen? is ka jawaab quran ham ko un ayaat main deta hai jin main ham ko bataata hai cheezun ko dekho woh kia hen aur kaise kaam karti hen. isi liye quran ham ko bataata hai zameeno aasmaanu ki takhleeq per ghor karo. oont kaise peda kia gayaa, aasmaan kaise buland kiye ge, parinde aasamn main kaise udte hen waghera waghera. kia ham in cheezun ko bilaa in per achhi tarah se tarjabaati tehqeeqo ghoro fikar ke ilm haasil kar sakte hen? nahin.

isi liye quran main yeh bhi kahaa gayaa hai jo log kaainaat per ghor nahin karte jaanwarun se bhi badtar hen kyunkeh woh aqlo fikar se kaam nahin lete jis ke liye un ko dimaagh aur hawaas diye ge hen aur saath saath aur cheezen bhi. inhi ko scientific haqaaiq kehte hen aur yahee tareeqa hai scientific maloomaat haasil karne ka. yahee wajah hai maine inhi buniyadi haqaaiq ko samjhaane ki koshish ki hai apni english posts main. aur yahee wajah hai quran main aisi aayaat bhi hen jin main sahibe aqlo fikar logoon ko dawat di gayee hai quran per ghor karne ki taa keh un ko maloom ho jaaye yeh insaanu ka kalaam nahin hai aur isi wajah se nahin hai kyunkeh is main woh baaten batayee gayee hen jo insaanu ke abhi wahemo gumaan main bhi nahin hen.

aisi hi daleelun se ehle ilm log quran per imaan laane per aik din majboor ho jaayen ge jab un ko quran ko saheeh tarah se padh kar in haqaaiq ka ilm haasil ho ga. abhi log hamaare mullah ke tarjamen padhte hen isi liye quran per tarah tarah ke ehtraazaat karte hen. kyunkeh mullah ko na khud aqlo fikar ki hawaa lagi hai na doosrun ko lagne dete hen. jo koi aqal ki baat karta hai usi per apni taraf se bebunyaad fatwa jar dete hen. is liye keh un ko apni ajaara daari khatre main nazar aati hai. quran to aqli dalaail se ata pada hai. is ke aage kis ki majaal jo thehr sake basharte keh woh quran ko samajhne ki ehliyat rakhta ho? jitne log bhi quran per ehtrazaat karte hen sirf is wajah se karte hen kyunkeh un ke paas quran ko samajhne ke liye jo ilm darkaar hai woh nahin hai. aur jab tak ham musalmaan khud andhe bane hue hen ho ga bhi nahin. isi liye meri koshish musalmaanu ko jagaane ki hai agar jaag jaayen to.

main har ilmi baat se mutaasir hota hun jahaan se bhi mile aur jis shakhs ne bhi ki ho. ghalat baat apne baap daada se bhi mile to qabool nahin karni chahiye. yeh hai quran ka asal sabaq. ilm insaaniyat ki mushtarik miraas hai isse har shakhs ko faaida uthaane ka poora poora haq hai. yahee wajah hai copyright laws quran ke khilaaf hen kyunkeh isse insaan doosrun se ilm freely le lete hen magar unko dete nahin hen freely.

quran ke ilfaaz ke maani Allah taala ne apni taraf se teh farmaa diye hen aur is ka paighaam be waaze kar diya hai khudaa ne apni taraf se. masla yeh hai keh insaan ko khudaa ne aisa peda kiya hai keh us ke liye har baat ajnabi hai aur aik mohimma hai kyunkeh woh baghair kuchh jaane peda kiya gayaa hai taa keh woh khud cheezun ki haqeeqat ko daryaaft kare apne diye ge dimaagh, hawaas aur azaa ke zariye cheezun ki jaanch padtaal kar ke. lihaaza insaan ke pehlo se kuch bhi saaf saaf nahin hai kyunkeh us ko kuchh bhi maloom hi nahin hai jab tak woh khud kisi cheez ke baare main maloom na kare tajarbaati tor per. yaheen aa kar masla peda hota hai keh insaan kisi baat ki haqeeqat ko kaise maloom kare aur jo kuchh woh maloom kare kaise pata chale keh woh drust hai yaa ghalat? yahee wajah hai insaani nazriyaat cheezun ke baare main badalte rehte hen malumaat haasil hone ke saath saath. jab aik shakhs bacha hota hai to us ko woh kuchh maloom nahin hota jo kuchh woh badaa hone tak maloom karta jaata hai. isi tarah aik anpadh shakhs ko woh kuchh makloom nahin hota jo kuchh aik padhe likhe shakhs ko maloom hota hai.

lihaaza har nayee shai aik uljhan hi hoti hai insaan ke liye pedaaish se le kar qabar tak (shai se unjaan hone ki wajah se) jab tak keh woh us ko maloom na kar le. yahee wajah hai islam saheeh deen hai mazhab nahin hai un logoon ki nazar main jo sahibe aqlo fikar hen aur is wajah se is baat ka ilm rakhte hen. kyunkeh asal deen wohee ho sakta hai jo haqaaiq per mabni ho lihaaza jis jis ko jab jab woh haqaaiq maloom hote chale jaate hen waqt ke saath saath apni zaati mehnat se jo deene islam ko drust saabit karte hen woh un haqaaiq ko tasleem karta jaata hai. mazhab ka masla yeh hai woh haqaaiq per mabni nahin hota balkeh kuchh bebunyaad khayaalaat ko mehz aqeede ke tor per apnaane per zor deta hai jo haqaaiq se kuchh bhi taaluq nahin rakhte. isi liye aap dekhe ge har molvi haqaaiq se naa aashnaa hai aur us ko maloom hi nahin jo baaten woh karta hai khudaa aur rasool ke baare main woh asalan ghalat hen bebunyaad hone ki wajah se.

kyunkeh insaan unjaan peda hota hai lihaaza us ko apne liye sab kuchh khud maloom karna padta hai duniya ke baare main bhi aur khudaa ke paighaam ke baare main bhi. yahee wajah hai khudaa ne quran main jo kuchh bhi kahaa hai woh insaan ke liye ajnabi hai isi liye insaan us ko apne ilm hi se samjhe ga aur koi tareeqa bhi insaan ke paas hai hi nahin hai kisi bhi baat ko samajhne ka. insaan ke paas ilm haasil karne ke is ke siwaa koi zaraaye nahin jo main ne bayaan kar diye hen, yani dimaagh, hawaas, jismaani azaa aur ashyaa. jab tak insaan in ka istemaal theek tarah se seekh nahin jaata khudaa ke kalaam ke baare main is ko kuchh bhi maloom karna mumkin hi nahin hai. yahee wajah hai log gerohun main bate huwe hen. kyunkeh har shakhs aur her geroh ki maloomaat aik doosre se mukhtalif hen kisi na kisi wajah se jo ilm main sab ko baraabar nahin hone deti. misaal ke tor per aik aadmi 100 saal ka hai aur doosra abhi peda ho rahaa hai. in ke ilm main achhaa khaasa farq hai aur is ilm ke farq main in main se kisi ki bhi apni ghalati nahin hai. yani yeh aik qudrati amar hai is main insaan ka apna koi qasoor nahin hai. ab boodhaa apne hisaab se baat ko samjhe ga apne zindagi ke tajarbaat ki roshni main aur bacha apne hisaab se. isi tarah anpadh apne hisaab se aur padha likha apne hisaab se. yeh mullah ki himaaqat hi kehlaaye gi agar mullah dono ko ilm main baraabar samjhe. aur agar log qudratan ilm main baraabar nahin ho sakte to phir un main ikhtilaafe raaye to behar haal rahe ga aur agar koi is ke khilaaf qadam uthaaye ga to apna bhi nuqsaan kare ga aur doosrun ka bhi, yani woh insaaniyat ko nuqsaan hi pohnchaaye ga apni hatdharmi se. aise insaan ko agar koi aalim kehe to phir us insaan ke apne ilm per bhi afsos aur taajub hi kiya jaa sakta hai.

yahee wajah hai Allah taala ka ilm apni jaga aur ham insaanu ka apni jaga. aisa har giz nahin hai keh udhar khudaa ne kuchh kahaa aur idhar ham ne peda hote hi foran samajh liya. agar aisa ho sakta to ham ko taleemi idaarun ki zaroorat hi kia thi? agar ham ghoro fikar se kaam len to mullah ki har baat hi ham ko ulti nazar aaye gi aur isi wajah se mullaiyat apni mot aap marne waali hai jab jab taleem aam ho gi aur logoon main taleem ki wajah se aqlo shaaoor aaye ga. yahee wajah hai madrassun main wohee kuchh padhaaya jaana chahiye jo deene islam ke ain mutaabiq ho haqaaiq ki roshni main warna madrasun ko badnaami se koi nahin bachaa sakta. waise hona to yahee chahiye keh deeno duniyaa ki taleem aik hi jaga se di jaaye taa keh sab log aqalmand ho saken aur duniyaa aik achhi jaga ban sake aqalmand insaanu ke baanane se.

main aur aap sab apni apni baat ko doosrun ko samaajhne ki apni apni had tak koshish hi kar sakte hen aage samajhne waale logoon ki apni apni himaat aur koshish. Allah taala ham sab ko apni apni baatun ko khud saheeh tarah se samajhne ki towfeeq de aur doosrun ko bhi saheeh tarah se samjhaane ki towfeeq ataa farmaaye. For better understanding of my work on the quran please see HERE and HERE. It is a must read for all regardless muslims or nonmuslims.
 

BrotherKantu

Chief Minister (5k+ posts)
[h=1]A mosque in Houston burned down due to an accident. Here's how they responded to the haters[/h]


yljPBqE.png
 

Insight

Senator (1k+ posts)
Please ask any islamic Scholar, Mufti whom you think is reliable. This is a sensitive and serious issue. It is not something that you make/suggest your opinion.
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Please ask any islamic Scholar, Mufti whom you think is reliable. This is a sensitive and serious issue. It is not something that you make/suggest your opinion.

azeezam insight sb, jo khud kisi baat ko bunyaad nahin de sakta woh mujhe aur aap ko kia bunyaad fraham kare ga? ham ko koshish karni chahiye keh ham khud apni jaankaari ke liye khud mehnat aur tehqeeq ki aadat daalen. mullah ne jo ham ko bataana tha pichhli kayee sadyun se bataa chuke aur ussi ne ham ko yahaan tak yani is haalat main pohnchaaya hai. agar ab bhi ham ne apni aankhen na kholin to phir isi haalat main ham tabaho barbaad ho jaayen ge. khudaa ham sab insaanu ko apna apna aqlo fikar sahee tarah se istemaal karne ki towfeeq de.