Wasta aur Waseela de kar dua Mangna

Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Wasta%20aur%20waseela%20de%20kar%20dua%20mangna.jpg

Wasta%20aur%20waseela%20de%20kar%20dua%20mangna.bmp
 
jagga007

Politcal Worker (100+ posts)
Allah ny direct access di hai to waseela zaroori hai kia?
aur nabi paak pbuh ny to apna waseela deny sy bhi mana fermaya hai.........
phir aisi konsi hajat hai jo Allah Tallah begair waseely ky puri na kerta ho.agar Allah Tallah firaon ko hakoomat aur tamam sahultain dy sakta hai to hum jaisye guneghar kiun nahi us rehmat pak se direct mang sakte?yeh to Allah Tallah ki rehmat per shak kerny wali baat hai.
any way Thanvi saab mashallah sahibe ilm shakhsiyat thy.unhon ny dlail ki bunyaad per hi yeh baat kahi hogi.
 
QaiserMirza

Chief Minister (5k+ posts)
2_186.png

And when My servants ask you, [O Muhammad], concerning Me - indeed I am near.
I respond to the invocation of the supplicant when he calls upon Me.
So let them respond to Me [by obedience] and believe in Me that they may be [rightly] guided.

40_60.png

And your Lord says, "Call upon Me; I will respond to you."
Indeed, those who disdain My worship will enter Hell [rendered] contemptible.

ان مذکورہ بالا آیات پڑھنے کے بعد کوئی شک نہیں رہنا چاہیے
اس لیے مزید کسی تشریح کی ضرورت نہیں ہے
اب اگر کوئی شخص ان آیات کو پڑھتے ہوے بھی انہیں اپنے مطلب کے مطابق ڈھالنا چاہے تو الله ہی بڑا رحیم ہے

آج کے دور کا سب سے بڑا فتنہ یہ ہے کہ ہمارے دین میں اغیار نے اپنے مطلب کے نظریات ٹھونس دیے ہیں
اور ہم میں سے اکثر اپنی کم علمی کی وجہ سے گمراہ ہو رہے ہیں

الله تعالی ہم سب کو دین کی صحیح سمجھ عطا فرمائے

Last edited:

Zia Khan

Citizen
Iyyaka nabudu wa iyyaka nastaeen,
Aey ALLAH hum sirf tery hi ibadat krtay hain or sirf tujh hi say madad mangtay hain.
1 sahi hadees mai hai, al dua maghzul ibadah ( yani dua ibadat ka maghaz hai) or ibadat ALLAH k siwa kisi 2sray ki jaez nahi
balkay shirk hai. Quran kareem mai ALLAH nay farmaya Main tumhari shahrag say bhi ziada qareeb hun. Nabi kareem SAW nay
kabhi kisi ka waseela ALLAH k samnay paish nahi kia, agar kisi k paas Quran or hadees k mutabiq koi reference mojood ho toa
us say request hai k wo zaroor share karay.
ALLAH TALA ki Asmaey husna 99 names k zarieye say insan dua krskta hai, laikin kisi k wasilay say nahi.

NOTE: jisko bhi reference dayna ho wo (Quran o Hadees) k mutabiq reference day, otherwise will be rejected. :jazak:
 
mere bhai , main ne Zindagi bhar jab bhi dua ki hai to Darood Shareef ke baad Allah se jo bhi manga Hazrat Muhammad saw ke Waseelay se manga hai , Main janta hoon jis kisam ka yeh thread hai us kisam ki baatain zyada tar Sunniyon ka aik maslak Brailwi hazraat karte hain , Lekin yeh Page Deobandiyon ki aik kitaab se liya gaya hai
 
behzadji

Minister (2k+ posts)
2_186.png

And when My servants ask you, [O Muhammad], concerning Me - indeed I am near.
I respond to the invocation of the supplicant when he calls upon Me.
So let them respond to Me [by obedience] and believe in Me that they may be [rightly] guided.

Iss Ayah Ka tarjuma hi parh lo bhai. keh jabb meray banday aaap pbuh say sawal kerain meray baaray main............tau sawal kerna tau paray ga phir jawwab bhee milay ga aur dua bhee poori ho jayay gee.
 
Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Waseelay%20ka%20mashoor%20waqiyaa..JPG
2_186.png

And when My servants ask you, [O Muhammad], concerning Me - indeed I am near.
I respond to the invocation of the supplicant when he calls upon Me.
So let them respond to Me [by obedience] and believe in Me that they may be [rightly] guided.

40_60.png

And your Lord says, "Call upon Me; I will respond to you."
Indeed, those who disdain My worship will enter Hell [rendered] contemptible.

ان مذکورہ بالا آیات پڑھنے کے بعد کوئی شک نہیں رہنا چاہیے
اس لیے مزید کسی تشریح کی ضرورت نہیں ہے
اب اگر کوئی شخص ان آیات کو پڑھتے ہوے بھی انہیں اپنے مطلب کے مطابق ڈھالنا چاہے تو الله ہی بڑا رحیم ہے

آج کے دور کا سب سے بڑا فتنہ یہ ہے کہ ہمارے دین میں اغیار نے اپنے مطلب کے نظریات ٹھونس دیے ہیں
اور ہم میں سے اکثر اپنی کم علمی کی وجہ سے گمراہ ہو رہے ہیں

الله تعالی ہم سب کو دین کی صحیح سمجھ عطا فرمائے

Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Iyyaka nabudu wa iyyaka nastaeen,
Aey ALLAH hum sirf tery hi ibadat krtay hain or sirf tujh hi say madad mangtay hain.
1 sahi hadees mai hai, al dua maghzul ibadah ( yani dua ibadat ka maghaz hai) or ibadat ALLAH k siwa kisi 2sray ki jaez nahi
balkay shirk hai. Quran kareem mai ALLAH nay farmaya Main tumhari shahrag say bhi ziada qareeb hun. Nabi kareem SAW nay
kabhi kisi ka waseela ALLAH k samnay paish nahi kia, agar kisi k paas Quran or hadees k mutabiq koi reference mojood ho toa
us say request hai k wo zaroor share karay.
ALLAH TALA ki Asmaey husna 99 names k zarieye say insan dua krskta hai, laikin kisi k wasilay say nahi.

NOTE: jisko bhi reference dayna ho wo (Quran o Hadees) k mutabiq reference day, otherwise will be rejected. :jazak:
Waseelay%20ka%20mashoor%20waqiyaa..JPG
 
atif348

Voter (50+ posts)
Kamal ho gya hamaray log Ayat ka muqabla hadees say ker rahay hain. Ayat ALLAH ki hay aur wohi asal aur akhri baat hay, koi bhi hadees ayat rud nahi ker sakti. ALLAH ka wasta hay basic point to samajh lo aur phir koi behas karo.
 
behzadji

Minister (2k+ posts)
Kamal ho gya hamaray log Ayat ka muqabla hadees say ker rahay hain. Ayat ALLAH ki hay aur wohi asal aur akhri baat hay, koi bhi hadees ayat rud nahi ker sakti. ALLAH ka wasta hay basic point to samajh lo aur phir koi behas karo.

kia quran aur hadees do mukhtalif logon ke ilfaz hain ya aik hi Hasti-e-Muazzam pbuh keh dahn-e-mubarik se ada huay hain???
 
PATRIOTIC_PAKISTANI

Minister (2k+ posts)
Brothers/Sister :: even if you dis-agree wit Dr. Israr Ahmed & Dr. Zakir Naik, i would recommend you to listen to these two lectures where the reference is direct from Quran. Jazak Allah

PATRIOTIC_PAKISTANI

Minister (2k+ posts)
kia quran aur hadees do mukhtalif logon ke ilfaz hain ya aik hi Hasti-e-Muazzam pbuh keh dahn-e-mubarik se ada huay hain???

Yaqeenan Paighambar/Rasool ay kuda Huzoor Maqbool S.A.W ne jo kaha woo quran se kabi ikhtalaaf nehe ker sakta, NaozoBillah ye tu buhtan hoga Aap S.A.W per,,, Yahan sawaal ye hey k ager Quran (Jisme Qayamat tuk kuch tabdeeli nee aani) ki aayat Contradict ker jaati hey uss se jo kuch hamaary paas rawayaat / ya ahaadit ki sorat mein puhuncha tu kia aapko us per tehqeeq nehe kerni chahiyeye ? dekhiyeye kaee raaawi aisay hein k jo Aap S.A.W kay wisaal k 200 saal baad tuk aahidt quote kerte rahe hein, abb ye aisa he hay k aaap k lakar daada ne koi baat aapkay daada ko batae ho unhon ne aap kay walid sahab ko aur wohee ap apne bachay ko bataeen tu kia zaroori hey k wo baat zeer zabar tuk wesi hi puhunchi gi ? liaaza ager koi riwayat aisi puhunchi aap tuk k thora contradiction nazar aa jae k shahid esme kuch tabdeeli waqt k saath howe ho tu zara uss topic per ziada tehqeeq ker leni chahiyey es se pehle k insaan usko apna aqeeda bana le.... werna Allah na kerain hum Shirk o Bidat aimaan aur islam samajh k bhi ker sakte hein...ALLAh hamain tofeeq ata farameen k aadhy aimaan aur ilm per hum aisy topics discuss na hi kia kerain tu acha hey.
 
Last edited:

rizhussain44

MPA (400+ posts)
Allah ny direct access di hai to waseela zaroori hai kia?
aur nabi paak pbuh ny to apna waseela deny sy bhi mana fermaya hai.........
phir aisi konsi hajat hai jo Allah Tallah begair waseely ky puri na kerta ho.agar Allah Tallah firaon ko hakoomat aur tamam sahultain dy sakta hai to hum jaisye guneghar kiun nahi us rehmat pak se direct mang sakte?yeh to Allah Tallah ki rehmat per shak kerny wali baat hai.
any way Thanvi saab mashallah sahibe ilm shakhsiyat thy.unhon ny dlail ki bunyaad per hi yeh baat kahi hogi.

Yar apnay logical arguments rakhay hain. Mai logical answers denay ki koshish karta hon...

Allah ny direct access di hai to waseela zaroori hai kia?

Allah nay direct access to diya hai, lekin sirf direct access kafi nahi kiuonkeh hum Allah kay gunahgar banday hain, yah to bohat hi naik hon aur har kam Allah ki raza say kartay hon to phir ap direct manglo aur umeed karo begher kisi wastay aur waseelay keh foran hur dua kabool hojai gi. Lehaza meray khyal say insan jitna Allah ki raza par kam chalta ho utna hi us ko wastay aur waseelay ki zarorat zyada paray gi.

Aur mai nauzubillah yeh bilkul nahi keh raha keh kisi aur say dua karo Allah keh siwa.. sirf yeh keh Allah ko wasta kisi ka day kar dua karna, maslan nabi paak pbuh ka wasta day kar dua karna.
aur nabi paak pbuh ny to apna waseela deny sy bhi mana fermaya hai.........
Zara reference day kar batain gay nabi paak pbuh ny kahan apna waseela daynay say ya kisi bhi waseela denay say mana farmaya hai? Yeh bhi yad rahey keh humaray hur maslak mai is par itefaq-e-rai nahi hai.
Agar esa hai keh nabi paak pbuh khud waseela day kar dua nahi kartay thay to phir ap yeh dekhlain keh Allah ki raza unkay liyeh kiya thi aur humaray liyeh kiya hogi!

phir aisi konsi hajat hai jo Allah Tallah begair waseely ky puri na kerta ho.agar Allah Tallah firaon ko hakoomat aur tamam sahultain dy sakta hai to hum jaisye guneghar kiun nahi us rehmat pak se direct mang sakte? yeh to Allah Tallah ki rehmat per shak kerny wali baat hai.

Aap to esay keh rahi hain jesay hum muslman jo bhi dua/hajat mangtay hain woh hamesha pori hojati hai. Esa hota to muslmano par yeh is waqt jo itni takaleef guzar rahi hain pori dunya mai, yeh na hotin. Hum muslamano nay Allah ki raza apni harkaton say khodi hai lezaha bughat rahey hain.

Beshak woh bohat raheem hai aur is baat par kisi ko koi shak nahi, par apkay pass kuch to ho jis kiskaliyeh woh ap par rehmat karay, ya to us ki raza ho ap kay pass ya phir waseela aur wasta. Woh beshak humari sheh-rag say bhi qareeb hai par yeh bhi to dekhna hai ap us kay kitna qareeb hain aur aap us ki kitni suntay hain, keh woh apki jhut say sunlay.

Aapnay firaon ki baat ki.,. hur kisi ki khushali dekh kar yeh mat samajh liya karain Allah us say khush hai, Razi hai.. Yeh apkay khyal mai Zardari say, Bush wagheray say jin kay hathon itnay begunhaon ka qatal hai, aap kay khiyal mai Allah khush hoga? Allah esay logon ki rasi dehli chordeta hai, dekhta hai yeh kitna girtay hain... aur phir akhir mai un say us hi tarha say hisab karta hai. To yeh dheli rasi ko Allah ki rehmat mat samjhain.
 
Last edited:

MUmmah1

MPA (400+ posts)
When the King of the Universe, the All Mighty King of kings, is waiting for me to ask him. When His door is always open for the needy. When the 'sajda' is a 'mairaj' for a Momin, and I am directly in His 'hazoor' in a state of Sajda, then why do I need to go to or mention a third person. When the King is looking towards me and waiting for me to ask him, then does it make any sense that I will say no, first I will to go to one of your salves, get his stamp of approval, and then I will come to you. What this behavior should be called then and can this be called a 'bandagi'. Only Allah SWT knows who is His Wali and who is not. We can not decide this on the basis of what we see about a person, as only Allah SWT knows about their 'batin'. Of course they did great service to the religion, yet we are in no position to declare any one wali, or otherwise, as only Allah SWT knows best. Islam is the only religion where there is no intercession. You and Allah SWT, the best, a direct and most beautiful relationship, which grant you self respect and pride. The other example of a Hadith about three people asking Allah SWT for their release from the cave, one should read it again. They did not ask Allah SWT through an intercession or wasila, instead they only mentioned their own good deeds, and asked Allah SWT, that as those good deeds were done sincerely for the sake of Allah SWT, and if He was pleased with them and if He had accepted those deeds, then please help them get out of that cave. They did not use wasila of a third person, rather they mentioned their own good deeds, which any muslim, if he/she did any thing sincerely for the pleasure of Allah SWT can mention. Again doing it you will not be asking Allah SWT through a third person. This is the main point. Even in this world, if you are seeing a head of a department for some of your needs, and that officer who has all authority is eagerly waiting to listen to you and to help you, give you, and fulfill your request, will it be then wise and will it please that officer, if you stop in your way and ask one of his clerks to help you, while the officer is watching you. Will such an action please him or annoy him. Here the All Mighty, the all Merciful and Kind, the King of the Universe is watching you, waiting eagerly to come to Him, keen to help you, but you still say 'no', first I will go to one of your slaves, then I will come to you,(and we do not know what is that salve position is there with Allah SWT), then will it be wise to do such an action. I leave this with brothers and sisters to decide for themselves that what should be the best course of action. Wama Alaina illal Balagh. Any thing good here is from Allah SWT, and any mistake made is from me. I ask Allah SWT for His mercy and forgiveness.
 
Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Yaqeenan Paighambar/Rasool ay kuda Huzoor Maqbool S.A.W ne jo kaha woo quran se kabi ikhtalaaf nehe ker sakta, NaozoBillah ye tu buhtan hoga Aap S.A.W per,,, Yahan sawaal ye hey k ager Quran (Jisme Qayamat tuk kuch tabdeeli nee aani) ki aayat Contradict ker jaati hey uss se jo kuch hamaary paas rawayaat / ya ahaadit ki sorat mein puhuncha tu kia aapko us per tehqeeq nehe kerni chahiyeye ? dekhiyeye kaee raaawi aisay hein k jo Aap S.A.W kay wisaal k 200 saal baad tuk aahidt quote kerte rahe hein, abb ye aisa he hay k aaap k lakar daada ne koi baat aapkay daada ko batae ho unhon ne aap kay walid sahab ko aur wohee ap apne bachay ko bataeen tu kia zaroori hey k wo baat zeer zabar tuk wesi hi puhunchi gi ? liaaza ager koi riwayat aisi puhunchi aap tuk k thora contradiction nazar aa jae k shahid esme kuch tabdeeli waqt k saath howe ho tu zara uss topic per ziada tehqeeq ker leni chahiyey es se pehle k insaan usko apna aqeeda bana le.... werna Allah na kerain hum Shirk o Bidat aimaan aur islam samajh k bhi ker sakte hein...ALLAh hamain tofeeq ata farameen k aadhy aimaan aur ilm per hum aisy topics discuss na hi kia kerain tu acha hey.

mere bhai biddatiyon ke sab se zyada mukhalif to deobandi hain , aur yeh first page to mulana ashraf thanvi RA ko quote karta hai

main is page se hat kar baat karta hoon apnni zaat ki ke main dua karta hoon to sirf Darood Shareef main jo bhi Allah se mangna ho mangta hoon aur yeh kehta hoon Yah Allah Is Darood e Paak ka sawab Hazrat Muhammad saw ko pohuncha dain aur Nabi Paak Saw ke waseele se meri yeh dua Qabool kar dain

Kia main Ghalat Dua karta hoon ??????????

aur dosri baat , agar aik cheez Bukhari Shareef main likhi hai to kia hum us ko bhi na maanain ?????

Mohataram aap ke jawab ka Intezar rahe ga