Why we should not criticize Khadim Hussain Rizvi after his death

ts_rana

Minister (2k+ posts)
اس وقت کو یاد کریں جب ایک عظیم انسان ایدھی کو یہی مرحوم مولانا گالیاں نکالتے رہے اور ستم ظریفی یہ ہے کہ ایدھی کی ہی ایمبولینس پر اس کو ہسپتال لے جایا گیا اور اسکی میت کو بھی اسی ایدھی ایمبولینس پر لے جایا گیا۔
It is called Karma ...
 

BrotherKantu

Chief Minister (5k+ posts)
خدا اسلام کو اور پاکستان کو فسادیوں اور اسلام بیچ کے روزی کمانے والوں سے محفوظ رکھے

بولو

آمین
 

yaar 20

Senator (1k+ posts)
جاھل ملا ۔فساد فی سبیل اللہ۔۔۔۔۔
خس کم جہاں پاک ۔۔
اس شخص نے حلق خدا گو اذیت میں مبتلا کیا۔۔۔۔
لیکن جا میں نے تجھے اللہ کے نام پر معاف کیا ۔۔۔
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
asal baat ye hai log maloom kerne ki koshish karen aakhir deene islam hai kia. jab itni baat samajh main aa jaaye gi to maamla khud bakhud hi saaf ho jaaye ga.

zara sochen deene islam ki asal taareef kia hai ya deene islam asal main kis shai ko kehte hen? is sawaal ka jawaab agar aap saheeh tarah se de sako to baat hai, warna idhar udhar ki sab behsen bekaar hen.

is sawaal ka jawaab dene ke liye zaroori hai logoon ko maloom ho deene islam ka maqsad kia hai. sochen aakhir khudaa ne ham insaanu ko deene islam diya kyun hai? is ko dene se khudaa ka koi maqsad ho ga, woh maqsad kia hai?

mullah se poochho to woh kahe ga khudaa ne ye duniya is maqsad ke liye banayee hai keh logoon ko aazmaaye aur phir un ko us ke mutaabiq jazaa ya sazaa de. sochen kia khudaa ki taraf is maqsad ki nisbat kerna drust hai? her giz nahin. aisi baaten khudaa ki taraf mansoob kerna shadeed ghalati hai.

agar aisi baat nahin hai to phir kia baat hai jis ke liye khudaa ne ye duniya banayee hai aur us main ye sab kuchh banaaya hai jo ham dekh rahe hen?

is baare main deegar mazhabi logoon ke kia khayalaat hen aur kia un ke woh khayalaat drust ho sakte hen? agar nahin to kyun nahin? agar hen to kyun?

jab tak aap in sawaalaat ke jawabaat dene ke qaabil nahin hen ya nahin hote aap ka kisi shakhs ko aalame deene islam kehna munaasib nahin hai. lihaaza jihaalat se khud ko nikaalen aur doosrun ki bhi jihaalat se nikalne main madad karne ki poori poori koshish karen.

agar aap main se kisi ko khudaa ke duniya banaane ka saheeh maqsad maloom ho to bataaye warna jo kuchh main ne likhaa hai us ko padh ker maloom kare. ye baat is liye zaroori hai keh jab tak kisi baat ka maqsad maloom na ho us baat ko theek tarah se samajhna intahayee mushkil hota hai. aap ke kisi aik molvi ko bhi wajahe takhleeqe kaainaat maloom nahin hai. agra hai to bataayen warna mullaan ki ghulaami se khud ko azaad karaayen aur khud ko quraan ko theek tarah se samajhne ke qaabilkarene ki poori poori koshisk karen? ye baat aap sab ke liye aik khula challenge hai jo khud ko musalmaan kehlwaate hen. For a detailed explanation of things about the quran, deen of islam and pakistan see HERE, HERE, HERE, HERE, HERE and HERE.
 
Last edited: