Surah Mudassir is the 74th chapter of the Holy Quran and the word Mudassir means ‘the Cloaked One’ or ‘the Man Wearing a Cloak’ in Arabic. The chapter is a very important one among the total of 114 and presents the situation after Prophet Muhammad ﷺ got his first revelations. Reading this surah has several benefits and you can now even listen to this powerful Surah on our Quran service!
azeezam qasim attari sb, kia liyaaf le ker sone waale log khudaa ke paighambar ho sakte hen jin ko tehreek barpa kerni hoti hai?
quraan ke yeh betuke tarjame hi is ummat ki barbaadi ka asal sabab hen. ye tarjame padh ker kisi ko ye maloom nahin ho sakta keh quraan koi inqalaab barpa kerne waali kitaab hai.
aik baat aap achhi tarah se jaan len keh kissi bhi shai ka saheeh ilm aap kuchh bunyaadi baatun ke baghair haasil hi nahin ker sakte.
sab se pehle roshni darkaar hai jis ki madad se kisi shai ko dekha jaa sake. us ke saath saath aankhen darkaar hen jo dekh saken. in ke saath saath cheezen darkaars hen jin ko aap dekh saken, in main se agar aik bhi shai missing ho to sab bekaar hai.
in lawaazmaat ke baad aap ko cheezun ko samajh sakne ke liye aqal ki bhi zaroorat hai. is ke bawjood aap cheezen ka saheeh ilm haasil hi nahin ker sakte jab tak aap ko in ka saheeh context yani asal sayaaqo sabaaq maloom na ho. her baat apne saheeh context main hi drust samajh aa sakti hai warna nahin.
ab sawaal peda hota hai context kahaan se aata hai? her shai ka drust context us ka maqsad teh kerta hai. issi liye sawaal peda hota hai keh maqsad kahaan se aata hai?
drust maqsad cheezun ko banaane ya plan kerne waale hi ki taraf se aa sakta hai aur kaheen se nahin. issi liye jab tak cheezun ka asal maqsad maloom na ho un ko istemaal kerne waale un ka drust istemaal ker hi nahin sakte.
ab aap bataaye nazoole quraan ka asal maqsad kia hai? kia khudaa ham se apni ya apni kitaabun ki ya apne paighamberun ki ya apne achhe bandun ki pooja paat kerwaana chahta hai?
agar nahin to phir aap aisi baaten kyun kerte ho aur logoon ko bataate ho jo quraan ke maqsade nazool hi ke sakht khilaaf hen? issi liye to duniya main bahot se log quraan ki izzat nahin kerte keh aap ke mullaan ne quraan ke tarjame hi ghalat kiye huwe hen. jo quraan ke maqsade nazool se takraate hen.
aap ke mullaan ne sab ko yahee bataaya hai keh khudaa ne insaanu ko aazmaane ke liye peda kiya hai jo bilkul aik ghalat baat hai. quraan ke nazool ka ye matlab her giz nahin hai. khudaa ko insaanu ko aazmane ki qatan zaroorat nahin hai aur na hi ho skati hai.
lihaaza main chahta hun aap bataayen nazoole quraan ka asal maqsad taa keh baat aage chal sake. waise maine apni baaz posts main ye bataaya huwa hai keh nazoole quraan ka asal maqsad kia hai. For better understanding of deen of islam from the quran see
HERE,
HERE,
HERE and
HERE.
main ne ye bhi bataaya huwa hai keh quraan ki madad se mulk ka dastooro qanoon kaise banaaya jaa sakta hai jo aaj tak koi mullaan na bataa saka. issi liye aaj tak hamaare paas quraan per mabni dastooro qanoon nahin hen.
aise log madina jaisi riyaasat kaise banaa sakte hen jin ko quraani dastooro qanoon banaane ka ilm hi nahin hai?
regards and all the best