Ontarianpakistani
Senator (1k+ posts)
yeh sub khanzeer mulla sirf muzammat ker rahe hain aur rad-de-amal de rahe hain. Yeh aag inhi ki lagai hui hai isko bujhane ke liye koi amli iqdaam karen warna jahannam main jaeen.. Zia Ul Haq ne hameen jo do adad tuhfe diye hain aik Nawaz Sharif aur aik ye moulvi ka islam is se jaan chhurani mushkil ho gai hai. Meri samajh main nahin aata ke Nabi-e-paak (SAW) ki touqeer ke liye kisi qanoon ki zaroorat kyun hai? yeh to her musalman ke dil main hai aur jis ke dil main nahin woh musalman nahi. Uska faisla Allah pe chhoro. Agar sab ke iman ka faisla inhi jahil moulvion ne kerna hai to qayamatt ke din kiska hisaab hona hai?