Re: طلعت حسین کی غیرذمہ دارانہ رپورٹنگ
Dil tu janay kya kehta hai, lekin dil ka kehna kya ! PTI supporters mein jazba hai, wlwala hai aur IK se bepanah muhabbat bhi, lekin jahan yeh naujawan log mustaqbil ki umeed hain, wahan in ki jazbatiyyat aur zameeni haqeeqaton mein tasadam k asaraat se khauf bhi aata hai.IK Farhaad naheen keh pahaad khod kar nehar nikal laye ga, us ko Pakistan ki siasi harkiyaat k andar reh kar hi apna raasta nikalana hai. Ek taraf PML-N aur dusaray dhoond dhoond kar kahan kahan se electable ikathay kartay phirtay hain aur yahan deewanay TUQ k naam se hi aag bagoola ! hum khayal taqaton ko saath na milao gey tu maidaan kis tarah maar saktay ho ? jan lena hoga keh Pakistan bhi India ki tarah ek lambay arsay k liay makhloot hakoomaton k daur se guzaray ga, land slide victory ya clean sweep ki baatein ek afsana hain, haqeeqat se bahut door ! BJP saalon se Ram Mandir ka khawab dekh rahi hai magar markaz mein hakoomat pa kar bhi nai bana saki, us ka voter ab tak aisa na honay se aag bagoola naheen ho gaya, usay maloom hai keh siasi majbooriyaan hain. PTI supporters ko bhi jazbaat mein kuchh haqeeqat ka rang mix kar lena chahiyay.yehi waqt ka taqaza hai.