Can tik toker hajjan do this.

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
quran ki talaawat ka matlab quran ko taute ki tarah padhna nahin hai balkeh is tarah padhna hai keh us ki baatun ki samajh aa jaaye. samajhna is liye hai taa keh us ke paighaam per amal kiyaa jaa sake. amal is liye kerna hai taa ke us ke nazool ka maqsad poora kiya jaa sake.

quraan ke nazool ka maqsad aik behtareen insaani maashre ka qayaam hai. jisse pata chale khudaa kiaa khoob hasti hai jis ne ye duniya banaee hai aur insaanu ko us ne kiaa khoob nizaam diya hai jis ko apnaa ker insaanu ki zindagiyan jannat ban jaayen.

taa keh insaan khudaa ka bataaya huwa maashra banaa ker is per usse inaam paa saken aik doosri zindagi main. lihaaza insaanu ke liye ye win win situation hai agar woh is baat ko samajh jaayen aur aisa ker saken. warna rote rahen aik doosre ki zindagiyan jahanam banaa banaa ker.
 

Back
Top