jamhoriat kay naam per dhabba

Munawarkhan

Chief Minister (5k+ posts)
KAHAAN gayee ghairat mand parliamentarians??

Democracy ka shoor machanay walay konsi democracy establish ki Pakistan main.
Kya sirf election kerwana democracy hai?

-Parliament ki kya auqat hai. Parliament ka head parliament nahi jata.
-Parliament main attendance 50% say bhi kam hai.
-Govt apnay faislay cabinet se nahi balky apni marzi say kerti hai.
-National issues ko parliament main discuss kerna, govt kay liyay koi haisiyat nahi rakhta.
-Opposition jo issues parliament main uthati hai govt jawab nahi deli;
parliament main beth ti hi nahi tu jawab kya degi.
-Mukhtalif committees banayee jatee hain, but committees ki recommendation per kaam nahi kiya jata.

Mulk main idaray kaam nahi kertay, Parliament main ye topic discuss bhi hota - us kay baad kuch nahi hota... koi auqaat bhi hai parliament ki is mulk main. 4 Saal hogayee is hukoomat ko aur 9 saal hogayee "Nayee" democracy kay. Kya badla Pakistan main?

Kya ye tareeqa hai jamhooriat mazboot kernay ka???
 
Last edited: