Lets Start New Year With Pray To Allah Almighty

shehreyar

MPA (400+ posts)
sir g kon sa niya sal hamaray nay sal ko eak mah honay wala hay hum angarezon kay sal pay dowien mangatayn haien esi liyay hamari dowien qabol nahi hotien allah hum sab pay raham karay aamien
 

M javed

Banned
shehreyar

SHUKRIA

AAP NE BILKUL SACH KHA

HAM BHATKE HUE LOG HAIN

KHUDA ISS BHATKE HUE AAHOO KO SOE HARAM LE JAE.

HOST NE BOHT ACHI DUA'EEN AUR TALEEMAT LIKHEEN - UNN KA JITNA BHI SHURKIA ADA KYA JAE KAM HAY

AAYE APNA APNA HISSA DAALTE JAEEN - KAL KO KHUDA KE SAAMNE BHI JAWAB DENA HAY

ABH TOA BOHT HO CHUKI - ALLAH TAALA HAMEEN MOAF KRAY AUR HAM PER RAHAM KRE
 

behzadji

Minister (2k+ posts)
sir g kon sa niya sal hamaray nay sal ko eak mah honay wala hay hum angarezon kay sal pay dowien mangatayn haien esi liyay hamari dowien qabol nahi hotien allah hum sab pay raham karay aamien
yeh tau sochne ki baat hay. Saal tau rouzana shuroo hota hay. yeh aap ki marzi hay kab se shuroo karain. yeh darust hai kay islam saal (jo asal main qamri saal hay) 1 mah pehle shuroo hua lekin please dua ke asarko kharab na karain............ya Allah hamaray mustaqbil ko hamaray haal se bohat behtar bana......(Aameen)
 

nightshadow001

Politcal Worker (100+ posts)
Happy new year 2011

Happy new year to all. May this year brought thousands of joy and happiness for PAKISTAN and everyone.

 

M javed

Banned
yeh baat boht ahm hay ke shanakhat ke hawale se ijtamaee amaal tashkeel paate hain

doosri baat yeh hay keh ham makhlooq hain. Issliye hamara ilam mehdood hay.

kher aur naikee issi main hay keh bzurgoon ke tareeqe azmae hue hote hain. Unn ko dobara se azmane ki zarorat nahein hoti.

yeh baat takleef deh hay keh ham doosroon ke tareeqoon ki taraf ziada shouq se bhghte hain warna ham kya kissi se kam hain.

masala pukhtagi aur musalsal amal ka hay.

doosaroon se moqabla karna koi maqsad nahein, maqsad sirf apne zian ko door karna hay.

allah hamare toote phoote amaal ko sharf-e -qaboolyyat ata farmae. Sab kuch ussi ke liuye ho toa aik na aik din aazmaesh se nikal jaaen ge. Azmaaesh bhi aik ibaadat hay. Khud chal ker takht-e-daar ki taraf jao lekan aaqa ke elawa doosari taraf na dekho warna shetaan kamyaab ho jae ga aur ham aazmaesh main na-kaam.

ita-at uss zaat ki pasand ke saath saath mushkal aur na-qabl-e-bardasht hoti chali jaati hay

ham uss ki khatir aazmaeshoon main se guzrain- yehi hamara turra-e-imtiaz hay.
 

Back
Top