Moulana Tariq Jameel's Bayan on Husband and wife's relation

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
agar ghar ke bahir chaarun taraf aag lagi ho to tapash ghar ke andar bhi logoon ko apni tapash se jalaa daale gi.

drust nizaam ki fiker karo, us ko dhoondo aur apnaao ta keh ghar ke andar aur bahir sab khair hi khair ho.

mulla ki betuki baatun se kuchh haasil nahin hota na ho sakta hai. ye log hukamraani aur sarmayadari tole ka hissa hen.
 

PappuChikna

Chief Minister (5k+ posts)
Aurat saas ko maan samjhey,
Ore bahooo ko beti samjhey to ghar jannat ban jaey.

Most important thing is susraal considers the girl as bahoo and not a nokrani or a villain who is going to separate her husband from her husband's family and also not a bank account who can buy stuff for husband and husband's family needs.
If the saas went through tough times as a bahoo then its not the bahoo's fault and saas needs not take off her saas's revenge with her bahoo.
Susraal and specially saas needs to realize that her son's time and love and attention will split. He can not and should not be the same son as now he is a husband as well.

It is not bahoo responsibility to make roti for saas susr and 1 dozen salay saaliaa. Infact its not her responsibility to make roti even for the husband. If she does it then she is doing a favor.

It is husband's responsibility and wife's right to have a separate place to live.

Husband should not consider the wife a sex doll with whom he can have sex anytime and anywhere he wants and the way he wants, neither is she a porn actress who will do everything that the loser husband watches on gandi websites.

Moulana hazraat ko bahoo ko sabr kee talqeen nahi karni chahiyay..Its already too hard for them to be a woman in our society.

and the husband needs to understand he can never convince his parents over anything, so he needs to make DECISIONS!!!!
 

alishbaarain

Councller (250+ posts)
agar ghar ke bahir chaarun taraf aag lagi ho to tapash ghar ke andar bhi logoon ko apni tapash se jalaa daale gi.

drust nizaam ki fiker karo, us ko dhoondo aur apnaao ta keh ghar ke andar aur bahir sab khair hi khair ho.

mulla ki betuki baatun se kuchh haasil nahin hota na ho sakta hai. ye log hukamraani aur sarmayadari tole ka hissa hen.
Molana Sahab ne sirf hamare muashrey ki talkh haqeeqat bayan ki ha k hamare gharon mein aj kal kya ho raha ha
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Molana Sahab ne sirf hamare muashrey ki talkh haqeeqat bayan ki ha k hamare gharon mein aj kal kya ho raha ha

azeezam alishbaarain sb, aap ki baat drust hai magar main logoon ki tawajo masle ki asal bunyaad ki taraf dilaa rahaa hun. jab tak ham log asal baat ko us ke saheeh sayaaqo sabaaq ya tanaazur main nahin samjhen ge baat nahin bane ge.

agar baap ki fiker karen ge to maan ki fiker nahin ker saken ge, agar doosrun ki fiker karen ge to apni fiker nahin ker saken ge ye mahol hai is waqt duniya ka is ko issi liye badalne ki sakht zaroorat hai aur ye mumkin nahin hai jab tak ham deene islam ko khud theek tarah se samajhen nahin aur aik doosre ko samjhaayen nahin ta ke mil jul ker ham is kaam ko paayae takmeel tak pohnchaa saken aik doosr eki madad se.

sirf molvi taariq jameel sb hi nahin kissi bhi molvi sb ko deene islam ka saheeh ilm nahin hai. aur ye baat main kissi badgumaani ki wajah se nahin keh rahaa balkeh main ne apni zindagi deene islam ko theek tarah se samajhne ki koshish hi main kharch ki hai. issi koshish ka hi nateeja hai mujhe achhi tarah maloom hai deene islam kia ho sakta hai aur kia nahin ho sakta. agar aap ke paas waqt ho to meri baatun per zaroor ghoro fiker farmaiye ga.

aik aik baat ko le ker baith jaane se baat nahin banti jahaan saare ka saara nizaamen zindagi hi ghalat bunyaadoon per istawaar ho. is maamle ko drust kerne ka tareeqa aik hi hai aur woh ye keh ghalat nizaam hi badal daalo drust nizaam se. magar drust nizaam hai kia? yahaan pohnch ker sab ke sab molvi khaamosh ho jaate hen ya phir betuki baatun per utar aate hen. abhi aap ko is tajarbe se guzaarna hai. Allah kare aap is tajarbe se agar kabhi guzren to saheeh salaamat guzren.

regards and all the best
 
Last edited:

Back
Top