"Islamic Republic" hona sirf naam ka nahi hota bhai. Agar asal mein kisi mulk ko Islamic kehna hai, to system bhi waise hi chalna chahiye. Ager to mandarja-zel list mein likhi baatein Pakistan mein hoti hain, to Pakistan ek Islamic Republic hai, lekin ager nahi hota to ... baaqi aap samajhdaar hain:
1. Allah ka Rule, na ke jageerdaaron ka ya khandaanon ka
Iska matlab ye nahi ke bas flag pe "Islamic" likh diya aur sab halal hogaya. Har law, har policy Qur’an aur Sunnah ke mutabiq honi chahiye. Koi bhi banda — chahay wo PM ho ya general — Islam ke qanoon ke neeche hona chahiye. Yeh nahi ke ek aam banda to court mein ghis ghis ke mar jaye aur VIP ka case palak jhapakte hee solve ho jae.
2. Adal ho to sab ke liye ho
Justice sirf textbooks mein ho to faida kya? Asli Islamic system mein ameer gareeb dono ek line mein kharay hotay hain. Na bail milti hai paisay deke, na faislay delay hotay connections se. Har banda jawabdeh.
3. Mashwara wali governance — dictatorship nahi
Islam mein "SHU'RA" ka concept hai. Leaders decide karte hain mashwaray se, na ke fauj ya kisi uncle ki "phone call" se. Na heredity politics, na sexually transmitted dynasties (STD's), na martial law. Just clean, accountable governance.
4. Falah ka nizam — Madina model jaisa
Islamic Republic ka matlab hota hai ke koi banda bhooka na soye, kisi ke paas treatment ke paisay na ho. Zakat, Ushr, Waqf — yeh sab tools hain jisse society ko uplift karna chahiye. Na ke tax lagake sirf ministers ki holiday trips, foreign assets, SUV's, upgrade karni ho.
5. Education for All — sifarish nahi, merit
Asli Islamic nizam mein education sab ka haq hai. Aur job ya seat sirf usko milegi jo deserving hai. Yeh nahi ke kisi ki chacha judiciary mein hai, uska beta directly CSP ban gaya ya general ki aulad civilian jobs per kabza jama ker baith jae.
6. Minorities ka proper protection
Yeh nahi ke jab mood aya, kisi pe blasphemy ka case daal diya ya church jala diya. Islam ne non-Muslims ko full rights diye hain — unki ibadat, unka culture, unka freedom protect karna Islamic system ka part hai.
7. Riba-free economy — asal Islamic finance
Har jaga interest-based system chala ke Islamic banking ka sticker chipka do — yeh fraud hai. Islamic economy mein exploitation nahi hota. Log mil baant ke risk lete hain. Profit bhi halal, loss bhi shared.
8. Transparent system — hidden deals ka the end
Public ka paisa hai to har cheez public ho. Kya lia, kahan kharch kia, kis ka tender kisko mila — sab kuch clear/transparent ho. Yeh nahi ke koi project 20 crore ka dikha ke 200 crore ka chaip do.
9. Foreign policy with izzat
Islamic Republic kisi ke liye proxy nahi banti. Na US ke liye, na China ke liye, na kisi Arab sheikh ke liye. Peaceful, dignified aur oppressed logon ka support — that’s the way. Unelected log jab mulk per kabza karte hain to kisi ko jawab'deh nahi hote. Yahin se unn ki corruption ka aghaz ho jaata hai, lekin mulk ka patha baith jaata hai - ex-COAS General Qamar Bajwa aur uss ke 12 arab ke asaase iss ki jeeti jaagti misaal hai.
10. Media ka role — gossip nahi, guidance
Media sirf apna kaam keray aur sach bole, yehi Islam kehta hai — Saath saath society ko educate karna. Na ke cheap drama, scandal, ya paid propaganda dikhana. Haya aur ilm — dono zaroori hain.
11. Aur haan, auraton ke rights bhi real hone chahiye
Islam mein aurat ki izzat bhi hai, haqooq bhi. Na taliban-style band karna, na western copy-paste feminism. Islam ne balance diya hai — use follow karo. Warna ya to band karte ho ya be-parda karte ho, dono galat.
Agar Islamic Republic sirf naam ka ho, aur system secular + corrupt ho, to log Islam se door bhagtay hain. Asal Islamic governance woh hoti hai jo sirf slogans nahi marti, ground pe insaaf, izzat, aur haqooq deti hai.