آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی پر نور داڑھی مبارک

khan27

Minister (2k+ posts)
Re: آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی پر نور داڑھی مبار&#1705

tu is mein galat kya hai islam mein daari hai daari mein islam nahi mazak uraney wali baat hi nahi
 

TruPakistani

Minister (2k+ posts)
Re: آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی پر نور داڑھی مبار&#1705

:jazak: for sharing such a logical post to open the eyes of the blind..
 
Re: آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی پر نور داڑھی مبار&#

O yaar Allah ka naam he kuch aqal ko hath maro.
Kya darhi ko islam ke sath nathi kia hoa he.
Rasool Allah ko kisi ne nahi dekha hoa aur agar unki darhi thi to wo unka aik insaani feyl tha. Agar darhi na hoti to mazhabi thekedar zor dete ke shave karna hi islam he aur darhi pe fatwe lagte.

For God sake wake up, grow up !!!!!!!

Islam aik nizam he, aik zabta hayat he, Quran ne humein sunnat`ullah ko follow karne ka hukm dia he, sunnat`ullah jisko Rasool Allah ne follow kia. Usko follow karo, uske tehet adal o insaaf ka nizam qaym karo. Islamic socio-political nizam, Quran ka economic system. Inko nafiz karne ki baat karo ta ke humari qoum is jahanum se aazad ho.

Darhi darhi ki ratt lagane se na Islam ae ga, na koi muslaman ho ga. Apne ird gird dekho moun pe darhia sajae kitne badmash aur corrupt log phirte hein aur gunnah is khudsakhta sunnat ke peeche chupa ke muafiq bane hoe hein. Hum ne apne andar aisi hi aqal se paidal batoun ki waja se munafiqat ko raeij kia hoa he.
Munafiq muashra he humara. Kionke hum zahir pe jaate hein baatin pe nahi. Surat pe jaate hein seerat pe nahi. Kaprho pe jaate hein dil aur niyyat pe nahi.

Darhi kia he, shave na karo to moun pe baal ugg aate hein. Kya Islam itna aasan he? Kya sunnat itni aasan he???

Iska matlab to ye ke jis shakhs ki naak, yaa aankh, ya surat by chance rasool Allah se milti ho gi wo to pakka janti ho ga? Kionke agar mehez shakal rasool ki tarha banana afzal he to.

Darhi abu jehel ki bhi thi. Us zamane mein yehi fashion tha. Aur easy bhi tha, paani ki qillat, shave ka saman na hona, waghera waghera.

Kaddo kha lene se ya darhi rakh lene se Rasool Allah ka hum mazak banate hein, kionke unki life aur unki struggle ko nazar andaz kar ke unki surat ki naqal utarte hein. Aur unke hukm ya jis revolution ki taraf unho ne humein bualay usko yaksar be-maani samjahte hein.

Allah is qoum ko hidayat de, jo kabhi azeem hoti thi aur ab daur-e-jahiliyat ke andhero mein doob chuki he.

Darhi darhi darhi....kya he darhi...? Kioun itna zor dia jata he moun pe baal ugane ka? Allah ko kioun pasand honge moun pe baal ugge hoe? Kia Allah ko chehre ki jild nahi pasand? jo usne khud banai he? Itni hi afzal hoti to bache darhi samet hi paida hote.

Aurat kioun mehroom he iss sunnat se phir? Sunnat wo hoti he jisko mard o aurat dono follow kar sakein. Kionke Islam sirf mard hazrat kelie nahi he. Quran ko samjho yaar please. Warna isi jahannum mein rahe gi humari qoum.

Niklo is mazhabi peshwayat ke jaal se. Aur Islam ko uske haqeeqi rang mein samjho.

Jo koi Islam ka naam le kar khurafat beyaan kar de hum jazakallah subhanallah kehne lag jate hein, kisi ratte ratae tote ki tarha.

Zehniyat maflooj ho kar reh gai he. afsos he...bohot afsos...aur rasool Allah ki rooh bhi dukhi ho gi apni ummat ka ye haal dekh kar. Jahiliyat ki inteha he.

Yahan Allama Iqbal ki baat yaad aati he:

Ummat rawayat mein kho gai...haqeeqat khurafat mein kho gai.

daarhi rkhna is liey zruri he k nabi(s.a.w) ne bohat bar taakeed ki hai darhi rakhnay ki... balkeh aik hadees e rasool(s.a.w) mein to ye bhi he k aap(s.a.w) ne irani safeeron k shave huay chehron ko dekh kar ghussay aur bohat naa-pasandeedgi ka izhaaar kia tha..

is tarah to pagri pehn'na bhi sunnat he, laikin phir bhi pagri par itna zor nai dia jata... is ki wajah ye he k pagri k baray mein nabi(s.a.w) ne us tarah taakeed nai ki thi jis tarah darhi k baray mein ki thi..

hum yeh to nai kehtay k jis tarah ka libaas nabi(s.a.w) pehntay that exact usi tarah ka libas pehn'na zaruri hai... is ki wajah hai k libas k baaray me koi khaas taakeed nai hai.. laikin daarhi k baray mein bohat ziada taakeed ki gai hai.. so there a different categories of sunnah...
 

Raaz

(50k+ posts) بابائے فورم
Re: آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی پر نور داڑھی مبار&#1705

کسی کا کوئی مقابلہ ہو سکتا ہے رسول کریم سے ؟؟؟
وہ مومنین کے باپ کی حیثیت رکھتے ہیں

﴾ لَقَدْ جَاءَكُمْ رَ*سُولٌ مِّنْ أَنفُسِكُمْ عَزِيزٌ عَلَيْهِ مَا عَنِتُّمْ حَرِ*يصٌ عَلَيْكُم بِالْمُؤْمِنِينَ رَ*ءُوفٌ رَّ*حِيمٌ ﴿١٢٨﴾ فَإِن تَوَلَّوْا فَقُلْ حَسْبِيَ اللَّـهُ لَا إِلَـٰهَ إِلَّا هُوَ ۖ عَلَيْهِ تَوَكَّلْتُ ۖ وَهُوَ رَ*بُّ الْعَرْ*شِ الْعَظِيمِ ﴿١٢٩​
ہمارے جیسے کراۓ کے مسلمان ان کو بدنام ہی کر تے ہیں اپنی باتوں سے ، اپنی حرکتوں سے

کاش کہ مسلمانوں پر یہ تاریکی کا دور جلدی ہی ختم ہو جاۓ
 

Believer12

Chief Minister (5k+ posts)
Re: آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی پر نور داڑھی مبار&#1705

دھشت گرد صرف داڑھی رکھ کر ھی دھشت گردی نھیں کرتے، برقع پھن کر بھی کرتے ھیں۔اور مساجد میں نمازیوں کا روپ دھار کر بھی۔
درست ھے کہ اس سے نا تو داڑھی کی اھمیت کم ھوتی ھے اور نا پردھ کی اور نا ھی مساجد میں نمازیوں کا جانا ختم ھوجاتا ھے۔لیکن منہ ٹوٹے جو کبھی آپ نے رسمی انداز میں بھی ان دھشت گردوں کی مذمت کی ھو۔
لیکن جو لوگ دھماکوں اور فرقہ پرستی کے خوف سے مساجد میں جانا چھوڑ چکے ھیں انکا گناھ تو دھشت گردوں پر ھے۔اسی طرح یورپ میں داڑھی ایک منفی سمبل بن چکی ھے اور اسکا گناھ بھی دھشت گردوں کے سر یا ان ملاز کے سر جو ان کو لیکچر دیتے ھیں اگر خواتین برقع پھنیں اور سیکیوریٹی انکے نقاب اٹھانے کا آرڈر دے تو اسکا گناھ بھی مذکورھ بالا دھشت گردوں کے سر۔
صرف طوطے کی طرح جزاک اللہ جزاک اللہ کر دینے سے کوی فائدھ نھیں جو مسائل ھمیں درپیش ھیں ان پر کھل کر بات کرنی چاھیے۔
 

Nangyale

Voter (50+ posts)
Re: آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی پر نور داڑھی مبار&#1705

Great, it was awesome
 

Back
Top