جب حجر اسود چوری ہو گیا تو کون ڈھونڈ کر لایا

مولانا مکی حجازی جو ایک عرصہ سے روزانہ کی بنیاد پر مسجد الحرام میں پاکستانی اور ہندوستانی بھائیوں کے لئے اردو میں بیان کرتے ہیں کی زبانی ایک عجیب واقعہ
 
asadqudsi

Senator (1k+ posts)
Abu Tahir Al Qarmati had attacked Kaaba, burned it, fill zam zam well with dead and took the stone . It was returned after the Fatimid caliph's negotiated with him . (as per Kitāb al-ʻIbar wa-Dīwān al-Mubtadaʼ wa-l-Khabar fī Taʼrīkh al-ʻArab wa-l-Barbar wa-Man ʻĀṣarahum min Dhawī ash-Shaʼn al-Akbār by Ibn Khaldun) This story he is telling seems fishy.
 
taban

Chief Minister (5k+ posts)

مولانا مکی حجازی جو ایک عرصہ سے روزانہ کی بنیاد پر مسجد الحرام میں پاکستانی اور ہندوستانی بھائیوں کے لئے اردو میں بیان کرتے ہیں کی زبانی ایک عجیب واقعہ
حضرت صاحب حجر اسود کو تھوڑی دیر کے لئے سائڈ پہ رکھیں اور یہ بتائیں کہ کس ملک کا مسلمان سب سے پہلے چاند پہ قدم رکھے گا اور کون مسلمان ہو گا جو دنیا کو کچھ نیا ایجاد کر کے دے گا وہ چائینا والے چاند کی پرلی طرف اترنے کی تیاریوں میں ہیں اور امریکہ میں تعلیم حاصل کرنے میں مسلمان انتالیسویں نمبر پہ ہیں ہندو پہلے نمبر پہ ہیں چاند سے آگے مریخ سے بھی تصویریں ارصال ہونے لگی ہیں ستاروں پہ کمندیں ڈل چکی ہیں اور آپ؟؟؟؟؟؟
 
Saboo

Prime Minister (20k+ posts)

Apni aaqbat sanwar lo to yehi bahut hay? Chand par jana zaroori hay kia?
 
taban

Chief Minister (5k+ posts)
Apni aaqbat sanwar lo to yehi bahut hay? Chand par jana zaroori hay kia?
سابو بھائی عاقبت کے ساتھ ساتھ دنیا بھی سنورنے کا بندوبست ہو جائے تو کیا حرج ہے آخر کو دنیا بھی تو ہمارے واسطے ہی بنی ہے نا
 
bhaibarood

Chief Minister (5k+ posts)
سابو بھائی عاقبت کے ساتھ ساتھ دنیا بھی سنورنے کا بندوبست ہو جائے تو کیا حرج ہے آخر کو دنیا بھی تو ہمارے واسطے ہی بنی ہے نا
Yeh haremi molvi sirf halway ke chakar main ummat ki waat marney pe tullay hain.
Yeh sawat main jab Malalai aik choti bachi pe kutteon ne hamla kia tu pathanon ki ghairat Namak mandi main charsi ke tikka kha rahi thee?
Jab kashmir main mazloom aurton ki asmat darri horahi thee tu pathaan bhai channey beech rahey they!
Pathon ki ghairat mujhey tu kitabi baat lagtee hai, saray pakistani itni he gharatmand hain jitney pathan bhai
 
Saboo

Prime Minister (20k+ posts)
سابو بھائی عاقبت کے ساتھ ساتھ دنیا بھی سنورنے کا بندوبست ہو جائے تو کیا حرج ہے آخر کو دنیا بھی تو ہمارے واسطے ہی بنی ہے نا
dunya sanwarnay ka bandobast bhi ho jaye to bhi koi muzaeqa nahin lekin chand par jana phir bhi koi zaroori nahin! Hahahaha I am nor sure NASA even went to the moon, they just filmed the landing in a studio.There are many solid evidences to prove moon landing was a hoax. Haha hum agar nahin gaye to koi basry baat nahin hay!:LOL:
 
Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)

مولانا مکی حجازی جو ایک عرصہ سے روزانہ کی بنیاد پر مسجد الحرام میں پاکستانی اور ہندوستانی بھائیوں کے لئے اردو میں بیان کرتے ہیں کی زبانی ایک عجیب واقعہ

azeezam uzair nadeem sb, jis cheez ka samajhna sab insaanu ke liye laazmi hai woh deene islam hai. ye is liye taa keh insaan is duniya main miljul ker aik doosre ki madad se behtareen zindagi guzaar saken. deen islam is baat ke liye insaanu ko aik thos bunyaad fraham karta hai.

ab deene islam jo kuchh bhi hai woh sirf aur sirf quraan hi main hai. ye is liye ke is waqt duniya main agar koi kitaab khudaa ki mojood hai to woh sirf aur sirf quraan hi hai. jab tak log quraan ko theek tarah se samajhne ke ehal nahin hote woh deene islam ko theek tarah se quraan se jaan hi nahin sakte. ab log agar deene islam ko quraan se theek tarah se jaan hi nahin saken ge to us ko saheeh tarah se apnaayen ge kaise? issi baat ka taqaaza hai log woh tareeqa jaanane ki koshish karen jisse quraan ko theek tarah se samjhaa jaa sake aur saheeh tarah se apnaaya jaa sake.

inhi baatun ka taqaaza hai keh aalime deene islam sirf aur sirf ussi shakhs ko maana jaaye jo kam se kam woh tareeqa jaanta ho jisse quraan ko theek tarah se samajhna mumkin ho. baaqi sab log haafiz hen quraano hadees ke aur kuchh nahin, lihaaza un se quraano hadees hifz karna yaa seekhna to drust hai magar un ko aalimen deene islam maanana aur phir aise logoonm ke peechhe andhun ki tarah chal padna drust nahin hai. her shakhs se us ki ehliyato salahiyat ke mutaabiq hi rahnumayee haasil ki jaa sakti hai usse ziyaada nahin. is liye keh logoon ka logoon ko apne maqaam se badhaana ya ghataana khud hamaare apne liye yani insaaniyat ke liye sakht nuqsaan deh baat hai. isse shakhsiyat parasti janam leti hai jo insaanu ko mushrik banaa sakti hai.

phir taqreeban her molvi qissa go hota jo sirf aur sirf kahaaniyan sunaata hai aur woh bhi taqreeban sab ki sab jhooti. us ke unjaan pan ki haalat ye hai woh ye tak nahin jaanta keh jo kahaani woh sunaa rahaa hai woh jhooti kyun hai yaa kyun sachi nahin ho sakti. aise logoon ke saath apne waqt barbaad mat kijiye balkeh un logoon ko dhoondiye jo aap ko aqlo fiker ki roshni main quraani talimaat se rooshanaas karaayen. yahaan tak keh aap ka dilo dimaagh mutmain ho jaaye ilmi tor per.

yaad rakhen jo shakhs is duniya ki cheezun ko nahin samajh sakta woh deene islam ko bhi samajh hi nahin sakta. is liye keh insaan ke ilm ki ibtadaa issi duniya ki cheezun ke saath tajarbaat se hoti hai aur inhi tajarbaat se insaan ko ilm haasil hota hai. jab jab insaan is duniya ki cheezun ko samajhta chala jaata hai us ka ilm wasee hota jaata hai waqt ke saath saath. apni guzri zindagi per ghor kijiye kia aap issi haalat se nahin guzre? yahee baat is baat ka saboot hai agar aap ko is duniya ki cheezen ilm na sikhaatin to aap kuchh bhi jaan hi na sakte.

issi duniya ke ilm ka hi nateeja hota hai keh aik din aap yeh sochne per majboor ho jaate hen aakhir ye sab kuchh aaya kahaan se hai aur ussi sawaal ka jawaab khudaa ki taraf se aa jaata hai us ki wahee ki soorat main kissi paighamber ke zariye. jahaan duniya ke ilm ki intahaa ho jaati hai wahaan se khudaa ke mutaliq ilm ki ibtadaa ho jaati hai. yahee wajah hai insaan ko khud ko is qaabil karna padta hai apni mehnato koshish se keh woh khudaa ki baatun ko samajh sake.

issi liye insaan ka khud ko is duniya yaa khudaa ke ilm se unjaan rakhna bahot badi ghalati hai jis ka khamyaaza poori insaaniyat ko un soortun main bhugatna padta hai jo hamaare saamane hen. yani insaan insaan ka shikaari hai. yahee wajah hai ham dekh rahe hen insaan ki insaan ke haathun kia kia tazleel ho rahee hai duniya har main. sirf is liye keh insaanu ne khud ko aik taraf is duniya ke ilm se unjaan rakhna pasand kiya hai aur doosri taraf khudaa ke inaayat karda ilm se. jis ka theek tarah se samajhne khud duniya ke ilm per hi munhassir hai. quraan ham ko kahaaniyan nahin sunaata balkeh khud tajarba ker ke aazmaane ki dawat bhi deta hai. agar kisi maamle main woh nateeja na nikle jis ka quraan main ziker hai to insaan quraan per ehtraaz karne ka poora haq rakhta hai. sawaal hi peda nahin hota quraan ne jo kuchh kahaa hai woh ghalat sabit ho ya ghalat saabit kiya jaa sake.

regards and all the best.
 
Last edited:

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Apni aaqbat sanwar lo to yehi bahut hay? Chand par jana zaroori hay kia?

azeezam saboo sb, duniya sanwaare baghair aaqbat nahin sanwer sakti. is liye ke duniya hi aakhirat ki kheti hai. aakhirat issi duniya main theek tareeqe se rehne se sanwarti hai. insaan ko khudaa ne aik raw ya bunyaadi ya ibtadayee haalat main peda farmaaya hai magar peda is ko apne mehnat se kuchh ban ker dikhaane ke liye kiya hai. khudaa ne is ko issi kaam per lagaaya hai lihaaza jo insaan jaisa peda huwa waisa hi mer jaye 100 saal zinda rehen ke baad to aise shakhs ne apni zindagi barbaad ki aur khudaa ki aataa ki kuchh qadar na jaani.

mullaan ne deene islam se logoon ko bahot hi ziyaada door ker diya hai deen ko mazhab se badal ker. aaj deene islam ka matlab pooja paat ke siwaa kuchh bhi nahin. khudaa ne insaanu ko apni pooja paat ke liye nahin apne balboote per kuchh ker dikhane ke liye peda kiya hai jisse aik taraf khud khudaa ko apni takhleeq per naaz ho aur doosri taraf khud makhlooq ko apne behtareen makhlooq hone per naaz ho. yahee woh maqaam hai jahaan khudaa bandun se khush hota hai un ki karkardagi per aur bande khudaa se khush hote hen us ne in ko ye sab karne ki ehliyato salahoyet bakhshi. issi se khudaa ki badayee haqeeqatan zahir hoti hai bandun per.

khudaa ne insaano ko naatawaan aur kamzor baith ker rone waale nahin banaaya balkeh is duniya ko badalne wale banaaya hai jahaan insaan apna naqshe paa chor jaayen.

O bhai! mein nay aaqbat sanwarnay aur chand par janay ki baat ki ? Yeh tum nay aaqbat aur dunya sunwarnay ka qissa chair dia? Woh bhi do meel lamba? Itni fursat kahan keh itna lamba safar kia jaye?:LOL:
 
Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
O bhai! mein nay aaqbat sanwarnay aur chand par janay ki baat ki ? Yeh tum nay aaqbat aur dunya sunwarnay ka qissa chair dia? Woh bhi do meel lamba? Itni fursat kahan keh itna lamba safar kia jaye?:LOL:

azeezam saboo sb, aap khush qismat ho keh aap ke paas itna waqt to hai jitna ke hai. magar agar log issi rawish per chalte rahe to aik din kisi ke paas itna waqt bhi nahin ho ga. is liye keh jo log baaqi logoon ko jis raaste per liye jaa rahe hen woh nahin chahte koi aqlo fiker se kaam le aur zindagi ko drust tareeqe se jiye. lihaaza jab zindagi theek tarah se jeene ke raaste ke liye koi koshish hi nahin karen ge to nateeja khud hi saamne aata jaaye ga waqt guzarne ke saath saath.

regards and all the best.
 
taban

Chief Minister (5k+ posts)
dunya sanwarnay ka bandobast bhi ho jaye to bhi koi muzaeqa nahin lekin chand par jana phir bhi koi zaroori nahin! Hahahaha I am nor sure NASA even went to the moon, they just filmed the landing in a studio.There are many solid evidences to prove moon landing was a hoax. Haha hum agar nahin gaye to koi basry baat nahin hay!:LOL:
سابو بھائی اگر چاند پر نہیں جانا تو پھر مولوی منیب کی دوربین پہ اور ہمسائے کے چاند پہ گزارہ کرنا پڑے گا
 
Saboo

Prime Minister (20k+ posts)
azeezam saboo sb, aap khush qismat ho keh aap ke paas itna waqt to hai jitna ke hai. magar agar log issi rawish per chalte rahe to aik din kisi ke paas itna waqt bhi nahin ho ga. is liye keh jo log baaqi logoon ko jis raaste per liye jaa rahe hen woh nahin chahte koi aqlo fiker se kaam le aur zindagi ko drust tareeqe se jiye. lihaaza jab zindagi theek tarah se jeene ke raaste ke liye koi koshish hi nahin karen ge to nateeja khud hi saamne aata jaaye ga waqt guzarne ke saath saath.

regards and all the best.
Aap jo keh rahay hein woh sahih bhi ho sakta hay aur ghalat bhi? Ab ismein kia
Aap koshish kar kay dekh lein lekin nateeja siffar hay! Jo qaum badalna hi nahin chahti to?
Behtar hay aap khud ko hi sanwar lein....buss!
 
Saboo

Prime Minister (20k+ posts)
سابو بھائی اگر چاند پر نہیں جانا تو پھر مولوی منیب کی دوربین پہ اور ہمسائے کے چاند پہ گزارہ کرنا پڑے گا
Meri nazar mein chand par jana na koi zaroori hay aur na hi koi barri achievement. iss se hazar darja behtar hoga dukhi insaniat ki behtari kay liay koi koshish kar li jaye. Hein log wohi jahan mein achhay aatay hein jo kaam doosron kay!
 
Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Aap jo keh rahay hein woh sahih bhi ho sakta hay aur ghalat bhi? Ab ismein kia
Aap koshish kar kay dekh lein lekin nateeja siffar hay! Jo qaum badalna hi nahin chahti to?
Behtar hay aap khud ko hi sanwar lein....buss!

azeezam saboo sb, duniya main koi aisi qowm mojood nahin hai jis ko waqt ne behtari ki taraf badalne per majboor na kiya ho ya us ko mitaa na diya ho. dono main se aik soorat to zaroor hi hoti hai yahee waqt aur halaat ka taqaaza hai hamesha se.

behtareen qowm woh hoti hai jo khud ko waqt aur halaat ke rehmo karam per nahin chhorti balkeh waqt aur halaat ko apne drust afkaro nazriyaat ki quwwat se apne liye khud sazgaar karti hai. yahee haqeeqi deene islam ka bunyaadi taqaaza hai musalmaanu se. khud ko musalmaan kehlwaana aur afkaaro nariyaat ke lihaaz se past tareen hona do mutazaad cheezen hen.

behr haal ham ko koshish jaari rakhni chahiye aur nateeja khudaa ke qawaneen per chhor dena chahiye. agar hamaari manzil saheeh hai aur hamaara raasta drust hai to ham zaroor saheeh manzil per pohnchen ge. ussi qadar speed se jis qadar taizi se ham manzil ki taraf gaamzan hun ge.

regards and all the best.