سویڈن میں قرآن کی توہین | مسلمان اب کیا کریں

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
quraan per ehtarazaat mukhtalif tarah ke log mukhtalif tarah se kerte hen.

maslan aik woh log jin ko apni jahaalat per mabni hatdharmi ki wajah se is ke baaz asal paighamaat se nafrat hai kyunkeh woh sirf aur sirf apni khaatir jeena chahte hen. issi liye jis ko woh apni mehnat kehte hen us ke phal se woh doosrun ko nuqsaan pohnchaa ker apna zaati faaida haasil kerna chahte hen.

quraan aise logoon ko aisa kerne se rokta hai. lihaaza aise logoon ka quraan se nafrat kerna un ko drust maloom hota hai. aise logoon ki koshish hoti hai quraan ko zair ker len. in ke liye quraan main sakhara ka lafz istemaal huwa hai. yaani quraan ko woh musakhkhar kerna chahte hen aur issi koshish main lage rehte hen. agar woh aisa na karen to haar jaayen ge aur un ki zinbdagi ka maqsad poora nahin ho sake ga.

doosre woh log jo quraan ke paighaam per apni jahaalat per mabni hatdharmi ki wajah se hanste hen. un ke liye quraan main istezaa ka lafz istemaal huwa hai. un ke khayaal main apni mehnat ke phal main se doosrun ki madad kerna bewaqoofi hai. lihaaza un ka radde amal quraan ke paighaam per un ki nazar main drust hai.

teesre woh log jo apne radde amal main sakhti dikhaate hen aur yun baat quraan ki behurmati tak jaa pohnchti hai. in main do tarah ke log hote hen. aik woh jo oopar bataa diye ge hen aur doosre woh jo khud musalmaanu hi ki jahaalat ki wajah se un ke khilaaf apna sakht radde amal dikhaate he.

khud ko musalmaan kehlwaane waale ziyaada tar log quraan ki taraf woh paighamaat mansoob kerte hen jo us main sire se hen hi nahin jin per amal kerne se insaaniyat ko faaida nahin balkeh ulta nuqsaan pohnchta hai. jo sahibe aqlo fikar logoon ko jo chahe musalmaan hun ya kaafir saaf saaf qaable nafrat nazar aata hai. lihaaza is maamle main khud musalmaanu ko apna ghar drust kerna ho ga bajaaye doosrun per tanqeed kerne ke.

zulm ko rokna quraan ka paighaam hai jo zaalim logoon ko bilkul achha nahin lagta hai. lihaaza tang aamand bajang aamand waali baat hai. issi liye musalmaanu per jihaad farz hai. asal jihaad yahee hai keh log khud quraan ko theek tarah se samjhne ki poori poori koshish karen phir is ko khud theek tarah se samajh ker doosre logoon ko theek tarah se samjhaayen poori poori koshish ker ke. taa keh insaanu main zehni tor per aika yani hamahangi ho jaaye aur woh aapas main aman se rehna pasand karen. taa keh woh taraqi ker saken aur khush-haal ho saken. issi main insaaniyat ki duniya aur aakhirat main behtari hai aur yahee asal deene islam ka asal aur bunyaadi paighaam hai.