لندن میں پاکستانیوں کااحتجاج:دھرنوں میں کی گئی تربیت کا نتیجہ ہے۔عطا تارڑ

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
zulm kerne waalun ke khilaaf mazloom her waqt her jaga awaaz uthaa sakte hen yahee asal deene islam hai. zulm kerne waale goya zulm kerne ke baad apni gardan main rassi daal ker khud ko mazloomun ke hawaale ker dete hen ab ye mazloomun ki marzi hai keh woh kab aur kahaan ya kaise apne per kiye ge zulm ka badla len. albatta badla utna hi jitna keh zulm kiya gayaa hai warna mazloom bhi zaalim ban jaayen ge agar ziyaadati karen ge. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE, HERE and HERE.

ye zulm kerne waalun ka falsafa hai keh jin per zulm kiya jaaye woh aage se bolen bhi nahin yani khud per kiye ge zulm ka tazkira bhi na karen. isse to zulm badhta hi jaaye ga keh isse zulm kerne waalun ko mazeed hosla milta jaaye ga aur woh zulmo ziyaadati aur bebaaki se karen ge.
 
Last edited: