mullaan log jis ko islam kehte hen woh islam nahin hai. ye to shraab ki botal per shehd ka label lagaane waali baat hai. befaaida aur nuqsaandeh aqeede aur amaal ko khudaa ka islam nahin keh sakte. aise islam se to khud khudaa bhi insaanu se bhi chhota nazar aata hai.
khudaa ka islam sirf aur sirf woh ho sakta hai keh jab woh insaanu ke saamne aaye to log besaakhta khud bakhud dil ki gehraaiyun se pukaar uthen wah kia baat hai is islam ki.
jis islam ki wajah se khud khudaa logoon se apni taarifen apni marzi se karaaye woh kia islam aur kia woh khudaa?