islam deen hai mazhab nahin hai.
deen aik zindagi guzaarne ka raasta hota hai, aik dastooro qanoon hota hai aur aik nizaame hakoomat hota hai.
mazhab khudaa ki pooja paat ka naam hai. ye bebunyaad afkaaro nazriyaat per mabni aqeedun aur bai-nateeja aur befaaida amaal ka majmooa hota hai.
islam ki bunyaad quraan hai jis ke teht hadees, ijma aur qayaas bhi laazmi hen.
sachaee ki bunyaad insaani aqal aur naa-qable tardeed haqaaiqe duniya hen jin ki roshni main her digar shai ko parkha ya jaancha jaaye ga keh woh sachi hai ya jhooti hai.
yahee wajah hai quraano hadees ki her woh tojeeh, tarjama aur tafseer ya tashreeh ghalat aur jhooti hai jo aqal aur haqaaiqe ke khilaaf ho. issi liye her woh ijma aur qayaas bhi ghalat aur jhoota hai jo aqal aur haqaaiqe duniya ke khilaaf ho.
issi liye kisi bhi ghalat tojeeh, tarjame aur tafseer ya yashreeh waghera ko quraan ka farmaan ya hadeese rasool kehna khilaafe deene islam aur ghalat baat hai.
misaal ke tor per lafze ibaadat ka tarjama pooja paat ya parastish waghera kerna khasoosan jabkeh ye lafz khudaa ke saath mansoob ho ya mansoob kiya jaaye. is ka asal maani hai kaam. lihaaza allah ki ibaadat kerne ka matlab hai allah ke bataaye huwe kaam kerna na keh allah ki pooja kerna.
ab sawaal peda hota hai agar allah ne insaanu ko kerne ke liye koi kaam bataaye hen to woh hen kia? ye baaten khudaa ka bataaya huwa maqsad bataaye ga kyunkeh khudaa ne insaanu ko jo kuchh bhi kerne ke liye kahaa ho ga woh us maqsad ko poora kerne ke liye hi ho ga. lihaaza sawaal peda hota hai woh maqsad kia hai? yahee keh insaan is duniya main aik behtareen insaani maashra banaayen aur us ko qaaim rakhen.
lihaaza jin baatun aur kaamun se aik behtareen insaani maashra ban-ta hai aur qaaim rehta hai khudaa ne insaanu ko woh kaam kerne ke liye bataaye hen aur jin kaamun se aik behtareen insaani maashra ban hi nahin sakta ya agar ban chuka ho to toot sakta ho un kaamun se khudaa ne insaanu ko mana ker diya hai.
yahee wajah hai quraan main khudaa ne baaz kaam kerne aur baaz na kerne ka kahaa hai.
ye baat keh khudaa ne insaanu ko imtihaan aur aazmaaish ke liye peda kiya hai kisi bahot hi bade ahmaq shakhs ne phelaee hai kisi khaas maqsad ko haasil kerne ke liye. aur woh maqsad tha logoon ko asal deene islam se phairna taa keh woh apni jahaalat ki wajah se koi apna ghalat agenda phelaa sake apne zaati mufadaat ko haasil kerne ke liye.
issi tarah lafze salaah ka aik laazmi maani hai insaani jamaaat yani ummat. aur salaah ko qaaim kerne ka matlab hai ummat qaaim kerna aur qaaim rakhna. ye islami dastoor ka aik bunyaadi maqsad hai. aik behtareen insaani maashra insaanu ke aik ummat banane se hi qaaim ho sakta hai yani insaanu ke aapas main jurdne se ya un ko aapas main jodne se.
issi liye lafze sowm ka aik laazmi maani rukna hai. yani kisi bhi aise kaam ko kerne se rukna jo ummat ko tod de.
issi liye lafze zakaah ke aik laazmi maani badaawa hai. yaani insaanu her woh kaam nerna jisse ummat ko her tarah se taaqat mile.
hajj ke lafz ka aik laazmi maani jido johd hai. yaani ummat ban ker ya ikathe ho ker logoon ka koshish kerna ya mutahaarrak hona ya tehreek chalaana ta keh kissi jaga islam ke mutaabiq log apni zindagi guzaar saken insaani duniya main us jaga ko haasil ker ke. kyunkeh baghair jaga haasil kiye ummat ke log apni zarooriyaate zindagi poori kaise karen ge? rahen ge kahaan aur khaayen ge kahaan se waghera waghera?
ye jo mullaan ne islam ke naam per insaani duniya main sadiyun se jahaalat phelayee hui hai logoon ko isse jaan churaani ho gi aur asal dene islam ko maloom ker ke us ko theek tarah se apnaana ho ga tab jaa ker insaanu ko bilazarrorat ki mushklaat khatam hun gi warna nahin.