Mr.such bolo ne likha k:
Quran ka bayan Hadeeth Rasool (sallal laahu alaihi wasallam) hai aur jis terha Allah ne Quran ki hifazat ki isi terha Quran k bayan yaani Hadeeth ki bhi hifaazat ki aur aaj alhamdulillah hamarey paas Saheeh ahadeeth ka zakheera mojood hai jis se hum Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ko Allah ne jis terha Quran samjhaya woh samajh saktey hien.
Quran ki hifazat ka tau Allah TaAla ne zimma liya hai magar Bukhari waghaira ka kahaN liya hai?
Dono mosoof typhoon and patriot Munkireen hadeeth k (Pervaizi group) se taaluk rakhtey hien. Munkireen e hadeeth k buhat saarey groups hien yeh in mien se sub se jadeed hien. Baki Aslam Jairaaj poori, Allama Mashriqi, Sir Syed waghera bhi qabil e ziker hien. Yeh sub apni apni merzi aur aqal se quran ka tarjuma aur tafseer kertey hien aur dawaa kertey hien k inki tafseer ko qabool kiyajaye... in sub hazraat ne qurani ehkaamaat ko mukhtalif tareeko se bayan kiya hai. aur jo matlab aur tafseer aur amli tabeer hamien Ahadeeth e Mubaraka se milti hai os baarey mien kehtey hien k yeh sub Ajmi/Irani Saazish hai. Naaozobillah....(ager koi insaaf pasand kholey zehen k saath tadween hadeeth ki saari taarikh ko perhley aur os ilm k hawaley se ulema ki mehnet dekh ley tu woh yeh maaney bagher nahi reh sakta k yeh aik moajza hai aur Allah ki mashiyet bhi)
Hum mien aur Ap mien faraq yeh hai k Ap samajhte hien k Allah ke Rasool S quran kay khilaf bhi hukam de saktye thay,jub k humaara kahna yeh hai k Ap S siraf quran pe amal karte thay aur doosrooN say bhi usi par amal karne ko kahte thay.
Chon k yahan naa tu itni tafseel di jaa sakti hai na hee kitaabo ki asal ibaaraat is liye meree guzarish hai k jo hazraat is baarey mien jaanna aur samjhna chahtey hon woh ulema e huq (jo quran aur hadeeth ki dawat detey hon kisi firqa ki nahi) onsey rabta kerien.
Ap ne logooN ko mushkal mien Dal diya.Aisa koi Alim bataa deN jis ka kisi firqe say taliq na ho.
Wese aik baat aap ki maaloomaat k liye arz hai k Quran k jo maani/meanings jin lughaat/dictionaries se liye jaatey hien woh der hakeeket ulema ne hee Lughaat (dictionaries) tayyar ki hien aur onhi dictionaries se se yeh hazraat Quran k meanings lete hien aur yeh dictioneries Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) likh k nahi gaye balki balkey osee dor ki yaa os k baad ki hien jub hadeeth ki tadween howi aur on dictioneries ko tayyar kerney k liye bhi Ahadeeth se madad lee gayee hai. Aur in dictioneries k mudawwineen bhi Ajmi/arabi ulema hien.
Chalo achha huwa Ap ne etraf kar liya k ahadeeth ki tadwwen bad mien huwi hai,RasoolAllah kay zamane mien nahiN huwi thi.Yehi tau hum kah rahe hien k us zamane mien dictionaries likhne walooN ne quran kay alfaaz kay mani hi badal diye thay.
Quran quresh ki zabaan mien nazil huwa tha jo Hazoor S ki zabaan thi.Aur aaj bhi kuchh qabayl yeh zabaan bolte aur samjhte hien.Jin logooN ne Quran ko quran say samjha hai unhooN ne pehle yeh zabaan sikhi hai aur phir quran ko samjha hai.Jub k Bukhari waghaira kay poojari un ki likhi huwi kitaabooN ko kafi samjhte hien.
In sawalaat ka jawab abhi tuk nahi diya dono hazraat ne:
1) Namaaz/salat:
Salat ka tareeka kiya hai???? hum kahan se lien gey salat ka tareeka? Ager is namaaz mien Rukoo sajda Qayam hai tu kub konsa amal hoga aur os amal ki shakal kiya hogi os mien khaamosh raha jaiga yaa kuch perha jaiga, sajda aik hoga yaa 2 yaa 3. aap koi tu tareeka bataain.... aur quran se hee batain.. hadeeth tu aap maantey nahi. (aur aap kiyo fiqa e hanafi k mutabik namaaz perhtey hien) jub k yeh namaaz tu 5 wakt (farz) hai jo k kisi yehoodi ki garhi howi riwayet hai aap k mutabik, kahin aap ne yehoodi sazish pe amal kerney ka faisla tu nahi kerliya?
Mien hanfi tareeqa par kiyooN paRhta hooN, es ka jawab bhi saath hi de diya tha,shaed Ap kay sar se guzar gia hai.
Mr. Patriot likhtey hien:
Lagta hay kisi yahoodi ki ghaRi huwi baat hadeeth ban gaee hai.
Zahir hai jub Allah kay akhri Rasool S aur khud Allah ko bhi maloom na huwa k 50 namazeN bahot ziada heN magar hz.Musa AS ko patta chal gia tau kia nateeja nikaleN es baat ka?
Mehrbani farma kar poori baat quote kiya kareN logooN ko gumrah karne ki koshish na kareN.
Mr. Typhoon likhtey hien:
Parsio ki panch waqt ki namaz ne nizam-e-salah ki jaga le li, parsi aj bhi 5 waqt ki namaz parhte hein. Ye kissi bhi parsi se poocha ja sakta he.
Poochh lene se kia haraj hai?
Yeh log jitna bhi dawa kerien Namaz perhney ka meger yeh log namaaz nahi perhtey is ka soboot hai Akhbaar e Jahan., Karachi 8 January 1969. Jis mien mazkoor nomaindey ne Bazm e Toloo e Islam ki Eid Milan Party ka aankho dekhaa haal paish kiya jo Karachi mien howa thaa... jis mien Magherib ki namaaz nikal gayee aur aik sahib ki shikayat pe ailaan howa k namaaz perhee jai os wakt tuk yeh log Qurani Inklaab burpa kerney k liye takaareer ker rahey they aur Ciggaretes ka dhowan Hall mien buland ho raha thaa... aur jub namaz perhee gayee (woh bhi Qaza) tu total paanch afraad they.
Ab Akhbaar e Jahan ko bhi hadeeth na bana lena.
Aik aur baat mr. patriot kehtey hien k jub Quran ne lafz Salat istamaal kiya tu os wakt jo log salat qaaim ker rahey hongey onhien is lafz k meaning pata hongey isl iye inhien pata chal gaya hoga k salat kaaim kerney se kiya morad.... tu bhai mien bhi tu yehee pooch raha hon k os dor mien salat qaaim kerney k kiya matlab thaa??? aaya yeh matlab quran se milega ya os dor k kisi shuks se tumhara baraa e raast raabta hai??? yeh guthee tu soljhaao....
Mr.such bolo,agar Ap waqi yeh guthee suljhana chahte hien tau pehle yeh maloom karo k masjid ka istamaal kia tha Hazoor S kay zamane mien.Koi baat nahiN thoRi si mehnat khud bhi kar lo.
Achha yeh bataaeN k dunya kay masayl kahaN beTh kar hal kiye jaare thay?LogooN ko zulm se nijaat ke mansoobe kahan bante thay? Jang ke liye afwaaj kaha se rukhsat hoti thi?
Aise hi aur bahot se sawalat ke jawab talash karo tau salat ka mutlab bhi samjh jao ge.
Allah TeAla kahte hien salat qaym karo Ap kahte hien namaz paRho.Faraq tau he na.
Baar baar mr. patior likh raheyh hien k meree baat tumharey ser se guzer gayee... zahir hai baat hee betuki hogi tu ser se guzer jaaigee.
2) Saum:
Ab aap dekhien Hadeeth ko naa maan k aur Quran Fehmi ka jhoota dawaa ker k aap ne Quran k kitney ghalat meaning liye hien. Mr. Patriot ne kaha k Saum k meaning hien Rok jaana, baaz rehna. yaani ye kehna chahtey hien k Ramazaan k 30 dino mien apnee biwi se alehda rehna Roza hai, aur jo ijmaayee haisiyat hai Roza ki yaani Sehree se le k iftaar tuk kuch khaana peena nahi yeh Ajmi saazish hai (kiyo k hadeeth mien hai).
Mien ne koi ghalat tau nahiN kaha k meree baat Ap ke sar se guzar jaati hai.Ap ne pooch tha k :
Saum k maaney kiya hein? kis terha anjaam diya jaiga yeh Saum ka fareeza? Hadeeth se samjhiengey yaa aap ki khodsaakhta ghlam ahmedi tafseer se?
Aur mera jawab yeh tha: Saum kay maaney heN ruk jaana,Thehar rehna, baaz rehna.
Afsos k har baat Ap k sar say guzar jati hai. Jesay pahlooN par faraz kiye. Likhnay ka matlab yehi tha un ko maloom tha k kia kaha ja raha hay.Pehlay log raat ko bhi apni biwiyooN kay paas nahiN jaa saktay thay mahe ramzan meN. Lekin Allah nay quran ki ayet kay zariye ijazat dedi. RasoolAllah nay khud apni taraf say nahiN di. Saum ka tareeqa kia hai?Yeh ayaat check kar leN: Baqara 2:187,2:185,2:184,2:183.
Quran meN bataya gia hai k safar ki haalat meN kia karna hai,bimaari ki haalat meN kia karna hai,kab sahri hogi kab aftaar waghaira waghaira.Aur kia chahye Ap ko?
Es mien kahaN likha hai siraf biwi kay paas na jane ko saum kaha jata hai? Suam ka tareeqa kia hai quran ki ayaat ka jo hawala diya gia hay us mien daraj hai.Mera likhne ka matlab yeh bataana tha k es se pehle log khane peene ki pabandi ke elava raat ko bhi biwi ke paas nahiN ja sakte thay tau Allah ne ijazat de di aur QURAN meN di,hadees ke zariye nahiN di. Jis ayate qurani ka Ap ne hawala diya hai mien ne bhi tau esi ka hawala diya tha.
Meger ager aap meaning woh lien jo Mr. Patriot (pervaizi fiker k mutabik) ker rahey hien yaani din k aukaat mien biwi se dor rehna tu phir in ayaat ka samjhna naa mumkin hai.
-Roza ka maksad quran ne Taqwa bayan kiya hai ab ager is ka meaning Din mien biwi se dor rehna hai tu is mien koi kamaal nahi aur din mien tu wese bhi insaan apney kaam kaaj mien mashghool hota hai tu phir is dori se taqwa ka hosool kis terha mumkin hai?.
Bhai sahab agar Ap ke palle kuchh nahiN paRta tau doosrooN ko tau gumrah na kareN.Meray alfaaz ko khudsakhta mani tau na deN.Arab ki muqaddas zameen par beTh kar bhi hera pheri nahiN choRi.
-Ji Janab dekha aap ne pervaizi shahkaar apnee aqal k mutabik Quran Fehmi ka!!!! Musafir aur beemar ka tu wese bhi doraaney safer din tu kiya raat mien bhi biwi k paas jaana mushkil hota hai (yaani woh tu mustakil roza mien hota hai pervaizi tafseer k mutabik) tu phir onhien yeh rukhsat dene ka kiya maksad? yaani kiya Musafir aur Beemaar ko kaha jaa raha hai k woh chahien tu apnee biwiyo k paas din mien bhi jaa saktey hien? beemaar aur musafir k saath aisee kiya majboori howi hai jo isey rukhsat dee jaa rahee hai? yeh kiya ajeeb baat hogayee? aur inhien yeh kehna k woh ginti baad mien poori kerlien ka kiya maksad?
In logo ne apni khod sakhta tashreeh se Quran ka jo hulya bigaara hai os se Allah ki panah.
Meri chhoTi si baat tau Ap samajh nahiN sake Quran ko kia samjheN gay.Ap banne banaaey kuliyooN par amal kar sakte heN khud sochne ki adat nahiN hai. Yeh niche quote es ka saboot hai.
3) Zakat:
Quran mien zakaat dene aur wasool kerney ka hukum hai. aur kinhien dee jai os ki bhi tafseel mojood hai, aur na dene walo ko Azaab ki dhamki dee gayee hai.
-ab yeh zakaat kis terha dee jai?
-aal mien aik dafa?
-Umer mien aik dafa?
-Kitney maal pe?
-Kis nisaab se?
-Ghalley (anaaj) pe kitni?
-Soney chandi pe kitni?
Wese Pervaizi nazriya Zakat k baarey mien yeh hai k yeh Hukumet wasool kerey aur hukumet na ho tu zakat nahi... jo inki apnee tashreeh hai Quran mien aisa koi ziker nahi k hukumet ki ghair mojodgi mien zakat sakit hojati hai... balkey Zakat ka hukum tu on sorton mien bhi aaya hai jo Nazool k aitbaar se makki dor mien otri jub k Makki dor mien Hukumat e Islamiyah nahi thee tu phir kis zakat ka hukum kihien diya gaya aur onhon ne kis terha is hukum per amal kiya?
yeh saari tafseel Quran se dee jai Ahadeeth se nahi. Kiyo k Ahadeeth tu Saazish hien aap k hisaab se. Ab yeh mut kahiyega k Mr. Pervaiz ki tashree ko hujjet tasleem ker liya jai.
Zakaat ka maqsad hai tazkiya e nafs aur muashare meN zarooratmandooN ki zarooriyat ko poora karna.
Yeh aik kism ka aisa tax hay jo musalmaan khud apni marzi se Allah TaAla ki taraf se ayed kiya gia fareeza samajjh kar ada karta hai.
4) Huj aur Umrah
Quran Huj aur Umrah ka hukum deta hai. Patior sahib se jub is farz adaa kerney ka tareeka poocha gaya tu kehtey hien:
Es ka jawab bhi agar Ap samajheN tau oopar hi hai.
Kahan opper hai? Yeh Umrah aur Huj alag alag alfaaz k saath bayan howa hai Quran mien aap bataaiye k inkey alag alag kiya meaning hien. aur kis terha adaa hongey.. ,
Kia log pehle hujj nahiN karte thay? Ya umra nahiN karte thay.?
Quran mien Salatul Jummah ka ziker hai "Aey imaan waloo jub Azaan dee jai Salat/Namaz k liye jummah k din tu tum Allah k ziker ki teref doro aur khareed o farokht kerna chor do yeh tumhare liye behter hai ager tu jaantey ho" 62:9
Ager oper wali ayet ko Ahadeeth ki roshni mien dekhien tu koi confusion nahi rehtee balkey aik aik lafz nikher k saamney aajataa hai.. lekin ager Ahadeeth ka inkaar ker diya jaaye aur sirf Quran ko hujjet tasleem kiya jai aur Hadeeth ko Ajmi sazish k jhotey propagandey ki bhent charhaaya jaai tu phir confusion hee confusion hai jis k koi jawab nahi maslan:
1) Jummah k din kub pukaara jaiga?
2) Salatul Jummah k kiya meaning hien?
3) Salat k liye pukaarna k kiya meaning hien?
4) Kin Alfaaz se pukaara jai?
5) Allah k ziker ki teref kahan dorien?
6) Allah ka ziker Salat ul Jummah mien kis terha kerien?
in tamam baaton k jawabat Quran se dijiye Ahadeeth se nahi.... kiyo k aap k nazdeek Ahadeeth hujjet nahi.
Agar Ap ajmi chushma utaar kar Quran ko paRheN tau tamaam sawalat ke jawabat mel jaaeN gay.Jaise pehle bhi kaha hai k thoRi si mehnat kar leN.Kuliye na talash kareN.
Mr. Patiort kehtey hien:
YahodiyooN ki sazish kab ki kaam kar bhi chuki Ap ko patta bhi na chala. Isi tarha nasraniyooN ki bhi.
Ap ki taqreeban saari shariah Bible say li gaee hai.Sangsar karna,murtad ki saza,sar ko Dhanpna,mayet ka soam aur chaliswaN waghaira sub bible ki taleem hai.Agar reference chahye tau keh dena.
Wese ager Hadeeth pe amal kerna Yehoodi aur nasraani saazish hee hai tu phir Yehoodiyo aur Chrisitians ko musalmaano se khosh hona chahiye k musalmaan inki saazish pe amal ker rahey hien aur aap logo se naraaz jo is saazish ko faash ker rahey hien... Lekin yahan tu ulti ganga beh rahee hai... Musik, Dance, Sharab noshi, Sood khori, be pardagi aur is k ilawaa jitni kharaafaat hien jo Quran aur Hadeeth k zariye se kabil e mazammet hien aur ummet k jo afraad in Gunaaho se ummet ko roktey hien onsey tu Maghrib aur Yehoodi naraaz hien aur jo in cheezon pe amal kertey hien yaa inko jawaaz mohayya kertey hien Ahadeeth ka rud ker k onsey tu yeh log barey khosh hien... Yeh kiya maajraa hai??? Sazish k Ittehadiyo se naraaz aur mukhalifeen se khosh??
Jis waqt sazish ki thi woh bhi es par amal karte thay,lekin ab woh na khud bible par amal karte heN aur na kisi aur ko karte dekh sakte heN.Agar samjha jaaey tau woh islaam pe ziada amal karte heN.
On meN ithaad hai,apne citizens ka har mumkin tahafuz karte heN,rozgar ,sehat,taleem waghaira state ki zimmadari hai.
Taskheer e kainaat woh kar rahe heN jis ka Allah ne hukam diya hai.
Har cheez woh ijaad kar rahe heN.
Woh muslim nahiN magar islam pe amal kar rahe heN.Aur on ko maloom bhi nahiN.
Hadeeth poojari muslims bible par amal kar rahe heN aur on ko maloom bhi nahiN.
Mr. Aqalmand k mazeed aqwale zarin
Hadeeth wohi saheeh hai jiski tasdeeq Quran karay, us ko meN ji jaan say mantaa hooN. Jo Quran kay khilaaf jaaey who sub jhooT ka palandah hai.
Jub hadeeth chahey wo Quran k mutabik ho yaa na mutabik (aap k nazdeek), kiyo k jamaa kerney waley tu wohee hien... aisa tu nahi Quran k mutabik (aap k nazdeek) wali ahadeeth jama kerney waley koi aur hien aur jo Quran k mutabik (aap k nazdeek) nahi hien woh jama kerney waley koi aur... jub sub Aaima e Hadeeth (rahimahumullah) aap k nazdeek hien hee saazishi (naozobillah) tu phir ji jaan se kiyo maantey hien???
Sazish onhooN ne kia Ap ko bataa kar karni thi k hoshiyar ab hum sazish karne lage heN?
Aray bhai sazish tau hai hi yeh k onhooN ne jhooT aur such ko milaa diya hay AUR SUCH KI TALASH KE LIYE QURAN KI ROSHNI CHAHYE.
Es ke elava Ap bhi tau sahi aur dhaeef aur mozoo ahadeeth meN faraq karte heN na.KiyooN karte heN?
Baki rahee ye baat k Hadeeth sonee sonayee baato ka majmoa hien tu janab ager aik khaber sacha aadmi laaye tu os ki baat pe yakeen kiya jaata hai yehee Quran kehta hai: Aey Imaan walo ager tumharey paas koi fasiq khaber laaye tu os ki tehqeeq kerliya kero (Al Quran) yaani ager khaber laaney wala fasiq na ho aur saccha ho tu tehkeek ki zarorat nahi... Aap ki ittela k liye arz hai k Alhamdulillah saheeh hadeeth kehtey hee osey hien jis k riwayat kerney waley sub sachey hon aur sodook hon... aur Alhamdulillah inkey sachey honey ki gawahee os dor k saikron ulema de chukey hien isi waja se os dor mien aur os dor k baad aaney waley tamam ulema ne saheh Bukhari aur Muslim ko majoyee tor per hujjet tasleem kiya aur is k ilawa tamam ahadeeth e saheeha ko bhi... Gawahee se mutalik bhi Quran ka hukum perh lo Sora e Maaida Ayat 106-108 mien gawahee ki tafseel dee hai jis k mutabik tamam adaalti cases (siwaye zina k) ki bunyad Islam mien 2 Aadil/just/sachey gawaho pe rakhee gayee hai....Alhamdulillah in Raawiyaan e Hadeeth ki sachaayee pe beshumaar gawahiyaan mojood hien aur inhi rawiyo ne hadeethien jama ki....
Quran tau yeh kahta hai k agar quran ki ayaat bhi hooN tau on par bhi andhe aur behre ban kar na giro.Siraf fasiq ki baat nahiN karta.Quran kehta hai k jahanum kay darogha jahanumiyooana say poochheN gay k tumhaare paas koi Drane wala nahiN aaya tha tau kaheN ge k aaya tau tha magar hum ne aqal ko istamaal nahiN kiya tha.Quran meN kitni hi jagah par kaha gia hai k tum aqal say kaam kiyooN nahiN letay.Magar hadeeth poojariyooN k haaN aqal ka istamaal manna hai :)
Surah Al-Maaida ayaat 106-108 marne wale ki wasiyat ki shahadat ke mutaliq hai,hadeeth ke mutaliq nahiN.
Tum chahtey ho 1400 saal baad tumharey is jhootey propaganda ko hum tasleem kerlien aur on hazaaron gawahiyo ko pash e pusht daal dien???? Kiya tum Imam Bukhaari k dor k kisi taarikhee hawaley se imam bukhaari ko jhoota sabit kersaktey ho????
Mien yeh nahiN kah raha k Imam Bukhari jhooTay heN.Mien yeh kah raha hooN k jo baateN on ki kitaab meN likhi huwi heN on par deen ki bunyad nahiN rakhi ja sakti kiyooN k us meN jhooTi baateN likhi huwi heN.Aur yeh k Quran apni tashree khud hai us ke samjhne ke liye kisi aur kitaab ki zaroorat nahiN hai.
Agar christians dawa kartay heN tau Ap bhi tau hadeeth ko waHi samjhnay ka dawa kartay heN koi daleel tau ab tak di nahiN.Aur shiya ka agar Quran meN 30 paarooN ka dawa hai tau iski wajha bhi hadeeth ki kitaabeN hi heN.Lagta hai Ap nay tau hadeeth ki kitaabeN bhi nahiN paRheN jin ki Ap pooja kartay heN.
Mr. Patriot Hadeeth ko Wohee nahi maantey... hamara dawaa hai k Hadeeth der hakeeket Allah k Nabi ki itteba ka raasta hai aur Quran ki itteba Hadeeth ki itteba k saath jori howi hai. Quran k alfaaz ko mehfooz rakhney ka koi faida nahi ager oski amli tabeer aur tashree jo Sahaba ko mayyasir thee woh mehfooz na rahey. Quran bhi is tabeer aur tashree ko hujjet karardeta hai. Aaiye Quran kiya kehta hai Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ki Itteba se mutalik:
a) Aey hamarey perwadigaar hum os kitaab pe imaan laaye jo tu ne otaari aur Rasool ki itteba ki pus tu hamien maanney waloo mien likh le. 3:53
is ayet mien Rasool ki itaa'at aur Quran/Kitab ki ata'at ko alag alag bayan kiya gaya hai. Ager sirf Quran ki ata'at kaafi hoti tu Rasool ka ziker kiyo kiya gaya.
YahaN 3:53 meN Hz.Isa AS ke hawari dua maang rahe heN.Hadeeth ka zikar kahaN ho raha hai?
Rasool S Quran par amal karte heN aur on ke saathi bhi ussi tarha Quran par amal karte heN yehi itteba e rasool S hai.Quran par amal aur itteba e Rasool S koi dau cheezeN nahiN heN.
Hum ne jo Rasool bheja wo is liye bheja k allah k fermaan k mutabik os ka hukum manaa jai. 4:64
Es ayat meN on munafiqeen ko jo kahte heN k hum Allah ki kitaab ko mante heN magar apne faisale kisi aur se karwate heN kaha ja raha hai k Rsool S se faisale bhi karwaya karo ,Rasool S ko isi liye bheja gia hai.
Jis ne Rasool ki ata'at ki os ne beshuk Allah ki ata'at ki. 4:80
Beshak, kiyooN k Ap S Quran par hi amal karte thay.
Magar afsos Ap ko yahan bhi hadeeth hi nazar aa rahi hai.
Aur hum azaab nahi bhejtey jub tuk pehley peghamber na bhejlien 17:15
Jo seedhe raste par hai tau us ka apna hi faaeda hai aur jo gumrah hai us ka apna hi nuqsaan hai aur hum azaab nahiN detey jub tuk rasool na bhej leN.
Zahir hai warning deney ke liye rasool ko hi bheja jaaey ga kitaab tau nahiN girey gi asmaan se.
Hadeeth ka zikar kahan hai?
Mushrikeen ne boton/statues ko Allah ka shareek theraaya tu Allah ne farmaya k ager yeh bot/statues Allah k shareek hien tu:
Mere paas is se pehley ki koi kitaab ya ilmi riwayet lao ager tu sachey ho. 46:4
is ayet mien Kitab ko bhi hujjet karardiya gaya aur ilmi asaar (yaani hadeeth) ko bhi hujjet karardiya gaya hai.
Aur Ap ki nazar meN asaar siraf hadeeth hi ho sakti hai? Aur jo log asaar e qadeema ki talash meN jatey heN who hadeeth talash karte rehte heN????
bilashuba tumahrey liye Rasool (ki zaat mien) umdah namoona hai- is shuks k liye jo (Allah k samney hazir honey) aur akhirat k din ki umeed rakhta hai 33:21
ab jo bhi akhirat ki umeed rakhta hai chahey wo sahaba hon yaa aaj k dor k musalmaan yaa baad mien aaney waley onkey liye Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) nomoona hien... yahan bhi Quran ka ziker kiya jaana chahiye thaa kiyo k qayamet tuk tu sirf Quran mehfooz raheyga (aap k mutabik) meger chon k Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ki seerat bhi mehfooz rehnee thee is liye inhien namoona karardiya gaya.
Es meN kia shuba hai k Ap S aswatul hassana heN sub keliy. Magar bhai Quran meN tau Hz.Ibraheem AS ko bhi aswatul hassana kaha gia hai. Kia Quran e Hakeem se pehle on ki koi hadeeth ki kitaab thi?
wohee tu hai jis ne ommee qoom pe aik Rasool bheja jo on per Allah Taalaa ki ayaat perhta hai aur inki zindagi sanwarta hai (tazkiyah) aur inhien kitab aur hikmat ki taleem deta hai halaankey is se pehley woh kholee gumrahee mien perehowethey aur Rasool ki baisat (nazool) on logo k liye bhi hai jo insey abhi nahi miley 62:2-3
Allah o Akber.... is ayet k perhney k baad kisi shuks k liiye jawaz hee nahi rehta k woh hujjiyet e hadeeth ka inkaar kerey. Yeh ayet saaf tor pe bata rahee hai k Rasool ki baisat na hee arab tuk mehdood hai aur na hee Sahaba k dor tuk balkey yeh her os shuks ka ahaataa kiye howey hai jo Rasool se nahi mila. Yahan bhi Kitab ka ziker kerna behter thaa ager sirf Quran ko hee mehfooz manaa jai... meger Rasool (salla laahu alaihi wasallam) ki ataa'at daaimee ata'at hai aur wakti yaa ilaakayee nahi jaisa k log samjhtey hien.
Is k ilaawa Manasib e Risaalat mien ayaat ka tilawat kerna yaani quran ponhchana, is k ilawa tazkiya kerna aur is k ilawa kitaab aur hikmet sikhaana bhi hai. sawal yeh hai k Rasool ka kitaab/quran ki ayaat tilawat kerney mien aur Quran/kitaab ko sikhaaney mien kiya farek hai jo Quran dono ko alag alag ziker ker raha hai? aur yeh Hikmet kiya hai. yeh saari baatien hadeeth ki teref nishaandahi kertee hien. Alhamdulillah. aur sabit kertee hien k Quran ponhchaaney k ilawa bhi Rasoolullah k kuch faraiz they jin mien kitaab ki taleem, hikmet ki taleem aur tazkiya bhi shamil hai.
YASEEN WAL QURANIL HAKEEM.. Quran tau khud HAKEEM hai yani hikmat se hara huwa.RasoolAllah S ne quran se hi hikmat sikhaae thi.
Ap ko har jagah Bukhari,Muslim waghaira nazar ate heN.Ap ka qasoor nahiN yeh but Ap ke mann meN bachpan say tameer kiye gai heN in ko toRna bahot mushkal kaam hota hai.
Haqeeqat yeh hai k Ap Allah kay bejaaey Bukhari,Muslim waghaira ki ibaadat karte heN aur unhiN ko sajda bhi karte heN.
pus tere perwardigaar ki qasam! yeh log os wakt tuk imaandaar nahi hosaktey jub tuk woh apney tanaazi'aat mien aap ko haakim tasleem na kerlien, phir aap k faisley k mutalik apney dilon mien tangi bhi mehsoos na kerien aur porey tor per is faisley ko tasleem na kerlien 4:65
Munafiqeen jo kahte heN k hum Allah par imaan laaey asal meN jhooT bolte heN.saboot yeh hai k who apne faisale quran say nahiN kahiN aur jagah say karwate heN.Chonkay RasoolAllah S faisala Quran ki roshni meN karte heN isliye who Rasool S kay paas nahiN atey,yani who RasoolAllah S ko RasoolAllah nahiN maante amali tor par.
jo log Allah aur os k Rasool k saath kufr kertey hien aur chahtey hien k Allah aur os k Rasoolo k dermiyan (ataa'at) mien tafreek daalien aur kehtey hien k hum aik ko tu maantey hien aur dosrey ko nahi maantey aur kufr aur imaan k dermiyan aik raah nikaalney ka iraada rakhtey hien yehee log pakkey kafir hien.
Allah aur Rasool kay darmiyan kon faraq karta hai? Woh jo kehta hai k Allah ki kitaab alag hai aur RasoolAllah k kitaab alag ya woh jo kehta hai k Allah aur RasoolAllah ki kitaab aik hi hai?
Woh jo keta hai k Alalh ki ataaat alag hai aur RasoolAllah ki ataaat alag hai ya who jo kehta hai k donooN ki ataaat aik hi hai.?
Faisala paRhne walooN pe chhoR deN.
aur jub insey kaha jaata hai k aao os cheez ki teref jo Allah ne nazil ki hai aur aao Rasool ki teref tu in munaafiqo ko tum dekhtey ho k tumhari teref aaney se pehloo tehee ker jaatey hien 4:61
RasoolAllah S ne Quran kay tehat fasale kiye lekin log RasoolAllah kay paas aane kay bejaaey doosrooN kay paas jaate thay.
YahaaN hadeeth kidhar hai? Yaad rahe k hadeeth aur cheez hai aur sunnat aur hai.
aur jo koi raah e raast (hidayet) ki wazahat k baad Rasool se kinaara kush rahey aur ehle imaan (sahaba) k ilawa koi raah ikhtiyaar kerey tu hum bhi osey osee teref phair deingey jidher woh khod phir gaya aur osey jahannem mien daal diengey jo badtareen thikaana hai 4:115
yaahan bhi Kitabullah ka koi ziker nahi, sirf Rasool ki adam ataat aur aur mukhalifat ka ziker hai jo jahnnam mien jaaney ka sabab bun gayee. Yahan Hidayet k wazeh honey ka matlab hee yeh hai k Rasool ki tashreeh aur tafseer jis pe Sahab bhi amal ker rahey they ager os pe koi na chaley tu woh jahnnami hai. yeh ayet Hadeeth ki hujjiyet pe wazeh daleel hai. ab aik hujjet mehfooz ho aur dosri naa ho tu yeh deen kahan se mukammal howa Qayamet tuk k liye. phir tu yeh deen sirf sahaba k dor tuk kabil e itteba raha aur phir khatam jis terha dosrey adyaan k saath moaamla howa.
Bilkul sahi aur SADAQALLAHUL AZEEM. Ap apne ird gird dunya meN nazar doRaaeN aur kisi muslim mulak ka naam bataaeN jis meN deen e islam maujood ho.Har taraf mazhab ka jahanum hai.In hadeeth parastooN ne Pakistan ko bhi jahanum bana diya hai.Log 5 chhoR 7 waqt ki namazen bhi paRhte heN dus dus hajj bhi kiye heN in ki nazar meN sub haqooqal ibaad bhi adaa kiye heN lekin phir bhi andar say mael nahiN jaata.Jab k Quran meN Allah ka farmaan hai k salaat be hayyaaee aur buraaee ko rokto hai.
Hum Quran ko tau ghalat nahiN keh sakte .Yehi keheN ge k salaat meN kuchh gaR baR hai.
jo log Rasool k hukum k khilaaf kertey hien inhien is baat se derna chahiye k in pe koi afat na aan parey ya inpe koi derd naak azaab nazil ho 25:63
YahaaN Ap ko ghalti lagi hai.Quran ki surah 25 Al-Furqaan ayat no.63 meN aisa kuchh nahiN likha.
Wahaan pe likha hai: RAHMAN KAY BANDE WHO HEN JO ZAMEEN PE WAQAAR SAY CHALTE HEN AUR JAB JAHIL LOG ON SAY MUKHAATIB HOON TAU KEHTE HEN: SALAAM.
Allah farmata hai "aap apni merzi se kuch nahi boltey meger balkey yeh mehez wahee/revelation hai jo aap ki teref ki jaati hai"
Yeh Aayet Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasalam) ki ahadeeth ko wohee ka darja de rahee hai... jo yeh sabit kerta hai k Hadeeth bhi Wahee hai.
Jo waHi ki jaati hai who Quran hai. RasoolAllah S ki har baat waHi nahiN thi.Warna aik waqt aisa bhi aaya tha jub kuchh arsa keliye waHi aana band ho gaee thi,tau yeh samjha jaaey k Ap sallAllaho alaihi wasallam us saare arse meN khamosh rahe thay? Kuchh tau socha kareN.
jo log Allah pe aur roz e akhirat pe imaan nahi laatey aur in cheezon ko haraam nahi samjhtey jin ko Allah ne aur os k Rasool ne haram kiya hai onsey jung kero. 9:29
YahaaN kahaa jaa raha hai k jo log islami hokumat ka kahaa nahiN mante on se jung karo.Islami hokumat meN qanoon Allah ka tha aur nafiz RasoolAllah karwa rahe thay.Ab jo in ka hukum nahiN manta on se jung karo. Yeh hai es ayat ka matlab.Hadeeth kidhar hai?
Dar asal Hadeeth poojari yeh kehte heN k jo Bukhari,Muslim,Nasaaee waghaira waghaira meN likhi huwi kisi baat ko na maane who munkar e hadeeth aur munkar e Nabi S hai.Mera kehna yeh hai k Muslim,aur Bukhari waghaira par imaan lane ko kis ne kaha hai k lazim hai? Allah ne kaha? Allah ke Rasool ne kaha? nahiN aur nahiN. Tau phir kiyoon na dekha jaaey k jo kuchh in kitaabooN men likha hai us ko Quran ki roshni meN parkha jaaey? Jo us kay mutabiq ho who sahi aur jo us kay khilaf ho who jhooT. Bus jhagRa khatam.
Mien ne sabit kiya thaa k hadeeth ka jama kerna arbi khalifa aur arbi aaima e deen se shoroo howa aur os k baad bhi hazaaroo ki tadaad mien arabi aaima is ka hissa rahey. Imam Malik, Imam Shafai, Imam Ahmed bin Hambal, Imam Darmi yeh sub Arabi they balkey Siha e Sitta k aksar Mudwineen bhi naslan Arabi hien aur Arabi qabeelo se onka taaluk hai who alag baat hai k onka maskan Maawara un Neher thaa onmien Persian nasal k tu sirf Imam ibn e Maja hien baki Persian koi nahi.
Pehle tau yeh Ap ka siraf dawa hai k woh persian nahiN arabi thay.Hum ne tau yeh dekhna hai k unhooN ne likha kia hai.
Malik:Hadeeth30:1.6. Yahya related to me from Malik from Nafi that Abdullah ibn Umar said, "There is no kinship by suckling except for a person who is nursed when he is small. There is no kinship by suckling over the age of two years."
Yani 2 saal se ziada umar ho jaaey tau doodh pine se rishta qaaim nahiN hota.Insaan mehram nahiN ban jaata.
Aur ab dekheN isi kitaab meN agli hadeeth kehti hai: Yahya related to me from Malik from Nafi that Salim ibn Abdullah ibn Umar informed him that A'isha umm al-muminin sent him away while he was being nursed to her sister Umm Kulthum bint Abi Bakr as-Siddiq and said, "Suckle him ten times so that he can come in to see me."
Salim said, "Umm Kulthum nursed me three times and then fell ill, so that she only nursed me three times. I could not go in to see A'isha because Umm Kulthum did not finish for me the ten times."
Yani k yeh mera na mehram hai es ko dus baar doodh pilaao takey yeh mera mehram ban sakey.Salim ne kaha, Umm Kulthum ne mujhe siraf 3 baar doodh puilaaya aur phir who bimaar ho geN.Mien Aisha R ka mehram na ban saka kiooN k meN dus baar doodh pine ki sharat pori na kar saka.
Ap dekheN yeh kesa bimaar zehen hai jis ne yeh baat likhi ya sunaaee.Upar hadeeth meN likha hai k 2 sal k bad doodh pine se koi mehram nahiN banta,lekin yahaanN kaha ja raha hai Hz. Aisha sadiqa R aik na mehram ko mehram banaane keliye apni behen ke paas bhejhti heN k isko doodh pilaao. Sawal yeh hai k Salim ki umar kia thi? 2 saal ka bacha na mehram hota hai? Agar nahiN tau phir 2 saal ki sharat khatam ho chuki,mehram kesay ban sakta hai?Mujhe yaqeen hai such bolo ko ismeN bhi koi kharabi nazar nahiN aaey gi.
Dus baar doodh pine ki sharat meN bhi ikhtilaaf hai isi kitaab ki hadeeth hai k aik qatra pi lene se insaan mehram ho jaata hai.
Ab yeh bakwas bhi paRhye. Malik ki muwatta ki so called Hadeeth???:
"Sahla bint Suhayl who was the wife of Abu Hudhayfa, and one of the tribe of Amr ibn Luayy, came to the Messenger of Allah, may Allah bless him and grant him peace, and said, 'Messenger of Allah! We think of Salim as a son and he comes in to see me while I am uncovered. We only have one room, so what do you think about the situation?' The Messenger of Allah, may Allah bless him and grant him peace, said, 'Give him five drinks of your milk and he will be mahram by it.' She then saw him as a foster son. A'isha umm al-muminin took that as a precedent for whatever men she wanted to be able to come to see her. She ordered her sister, Umm Kulthum bint Abi Bakr as-Siddiq and the daughters of her brother to give milk to whichever men she wanted to be able to come in to see her. The rest of the wives of the Prophet, may Allah bless him and grant him peace, refused to let anyone come in to them by such nursing. They said, 'No! By Allah! We think that what the Messenger of Allah, may Allah bless him and grant him peace, ordered Sahla bint Suhayl to do was only an indulgence concerning the nursing of Salim alone. No! By Allah! No one will come in upon us by such nursing!'
"This is what the wives of the Prophet, may Allah bless him and grant him peace, thought about the suckling of an older person."
Aur yeh dekheN Bukhari meN kia hai: Bukhari :: Book 1 :: Volume 5 :: Hadith 251
Narrated Abu Salama:
'Aisha's brother and I went to 'Aisha and he asked her about the bath of the Prophet. She brought a pot containing about a Sa' of water and took a bath and poured it over her head and at that time there was a screen between her and us.
Agar tau kisi kay paas aqal naam ki koi cheez hai tau zaroor sawal kare ga k agar darmiyan meN parda tha tau naha kar dikhane ka kia faaeda.Kia parde meN se nazar Araha tha? Agar haN ,tau parda kiyooN kiya? Kia ummul mummeneen ko bolna nahiN ata tha,zabaan se kiyooN nahiN bataaya? Mr.such bolo Ap hi kuch bolo.
mien ne likha thaa
Is k ilaaawa mien pehley sabit kerchuka hon k yeh log jhoot aur exaggeration/mubaalga-araai buhat kertey hien... meree pichlee mail mien mien ne inkey is daawey k hadeeth 300 saal baad likhee gayee thee k jawab mien sabit kiya k yeh jhoot boltey hien aur yeh k hadeeth ajmiyo ki sazish thee aur arbiyo ka is se koi taaluk nahi thaa... meger Typhoon ne is ka koi jawab nahi diya....aur de bhi nahi saktey.InshaAllah.
Doosri saddi hijri meN likhi gaee kitaabooN ko Ap waHi ka darja detay heN.Magar doosri saddi eesvi meN likhi gaee bible phir kiyooN waHi nahiN hai?us par etiraz kiyooN?
Baat yeh hai k jis tarha bible meN kuchh waHi ki baqiyat mel jaati heN isi tarha hadeeth ki kitaabooN meN bhi kahiN kahiN qaul e Rasool S mel jaate heN.iske elava aur kuchh bhi nahiN hai.Quran ko samajhne kay liye in kitabooN ka hona zaroori nahiN hai.Quran khud hi apni tafseer hai.
-Wese Mr. Typhoon Quran mien Khatna ka ziker nahi kiya aap ki khatna howi hai? (aap ne jo maaney liye hien Quran k mukammal honey k is hisab se aap ko khatna nahi kerwani chahiye na hee apnee nareena olad ki khatna kerwaiyega.
-Quran mien Nikah ki bhi sarahat nahi aap bagher nikah k reh rahey hongey apnee biwi k saath, aur nikah kiya hai tu tareeka kahan se liya? Quran mien tu nahi.
-Wese merney k baad kafan dafan ki zaroat hai aap ko? wese mera tu khayal hai aap ko aik garha khod k os mien phaink diya jaai Quran se tu itna hee sabit hota hai? Quran mien dafan kis terha hona chahiye namaaz e janaza ki koi sarahat nahi.
-Humbistri k baad ghusal kertey hien aap? Tareeka kahan se liya ghusal ka? Quran mien tu nahi.... ab jo shuks saari zindagi ghusal hee na kerey wo Quran bhi perhey aur hadeeth bhi tu osey kiya samajh aayega......Ya Allah rehem farma.
Khatna sub arab karte thay Hz. Ibraheem AS ki sunnat samajh kar aur Allah ne manna nahiN farmaya isliye Quran meN zikar nahiN hai.
Ghusal ka zikar Quran meN hai. Wudho ka bhi aur ghusal ka bhi.
Lagta hai Ap ka islam yahan se shuroo ho kar idhar hi katam ho jata hai.
P.S. Mr. Typhoon kehtey hien k Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ne Hazrat Aaisha se shaadi 9 saal ki umer mien ki jo k jhoot hai jo Imam Bukhari ne Allah k Nabi pe baandha hai...
Ab sunye.... Yeh Hadeeth yaa yeh hakeeket sirf Imam Bukhaari ne bayan nahi ki balkey hadeeth ki kaseer kitabon mien isi umer ka ziker mojood hai... aur aaj tuk ummet mien kisi ne is pe aitraz nahi kiya... siwaye aaj kul ki paidawaar (minkireen e hadeeth) ne aur woh bhi is liye k in logo ka Quran aur hadeeth pe aitmaad bilkul bhi nahi aur Maghrib k mushtashrikeen k ilzaamaat ka jawab dene ki ehliyet na honey ki waja se mutlakan aik taareekhee hakeeket ka inkaar ker detey hien. Aap k khodsaakhta osool k hadeeth ko quran se parakhna chahiye k mutabik tu yeh hadeeth aap k nazdeek jhooti hai meger alhamdulillah hamarey nazdeek na sirf ye hadeeth Saheeh hai balkey kum omeri/balooghat se pehley ki shaadi k izhaar tu Quran bhi kerta hai.
Allah farmaata hai:
"aur tumhari mutal'liqa (divorced) aurtien jo haiz se na umeed ho chukee hon ager tumhien inki iddet k baarey mien shuk ho tu on ki iddet 3 mahiney hai aur inki bhi jinhien abhi haiz shoroo hee naho howa aur hamal wali aurton ki iddet waza e hamal tuk hai" 65:4
is ayet mien 3 terha ki aurton ki talak k baad ki iddet ka ziker hai
1) jinhien haiz aana bund hongaye hien (beemaari ki waja se yaa bari umer ki waja se)
2) jihien haiz aana abhi shoroo hee nahi howey.
3) hamal wali aurtien
ab is mien dosrey number pe on ka ziker hai jihien haiz shoro nahi howey yaani naa-baaligh... jo is baat ka soboot hai k quran naa-baaligh aurton k nikah pe pabandi nahi lagata.
ab batao Quran pe bhi aitraaz kerogey???
Ji haaN agar Ap ki baat maan li jaaey tau Quran par aitraaz aaey ga.
Surah An-Nisaa 4:6.WABTALUL YATAAMAA HATTAA IZA BALAGHUL-NIKAHA
Aur janchte parakhte raho yateemo ko yahaN tak k puhanch jaaeN woh nikah ki umar ko
Es ayat meN nikah ki umar balughat bataai gaee hai.Nikah aik muahida hota hai jo 2 aqal mand logooN ke maabain te paata hai.ChoTa bacha ya bachi muahida nahiN kar sakte.
Haiz shuroo na hone ki waja bimaari ho sakti hai.Agar kum umari waja li jaaey tau Quran meN tazaad ata hai,lekin Allah ne kaha hai k ismeN koi tazaad nahiN.Isliye hum hadeeth ko ghalat kaheN ge.
"phir ager qarz lene wala be aqal ho ya zaeef ho mazmoon likhwaney ki ehliyet na rakhta ho tu is ka walee insaaf k saath imla kerwadey" 2:282
Yahan be aqal se murad naa-baligh bhi hai, jis se yeh saaf zahir hai k wali naabaligh ki behtree k liye naabaligh k liye qarza le sakta hai aur moa'hida bhi ker sakta hai. aur yehee dalee lhai k ager walee chahey tu naabaligh ki behtree ko dekh k os ka nikah ker sakta hai.
Ajeeb baat hai Ap qarz lene ko nikah ke brabar samajh rahe heN.Nikah siraf nikah hi nahiN hota poori zindgi ka masla hota hai.
Akhir meN surh Al-Jasia ayat no. 6 ko paRheN jahaaN kaha gia hai k es Quran ke elava kis hadeeth par imaan laaeN ge yeh log.
Aik aur jagah Allah TaAla ne kaha hai k yeh Quran behtareen Hadeeth hai.