deene islam ke dor main koi shakhs bhi deegar insaanu per kabhi bhi haakim nahin tha. tamaam log ummat ke liye kaam karte the umaat ke karindun ki hesiyat se jin jin ko ummat bahami mashware se jo jo zimmadari sownpati thi un ki qaabliyat ko dekh kar. yeh tasawur keh log logoon per haakim the ham ko badbakht mullah ne diya jo keh un logoon per jo khudaa ke liye kaam karte the insaaniyat ki behtari ke liye aik bahot badaa bohtaan hai. deene islam main Allah ke siwaa koi bhi haakim nahin hai. logoon per logoon ki haakmiyat ka tasawur ham ko mullah ne hukamraanu aur sarmayadarun ke kehne per diya jab deene islam ko unhune mazhab se badal diya aur baadshahat qaaim ho gayee. yani jin baatun ko deene islam khatam karne ke liye diya gayaa tha ummat per phir unhi baatun ko musallat kar diya gayaa aur aaj ham ussi ka khamyaaza bhugat rahe hen.