Re: Is Ghamdi a False Flag Islamic Scholar
Pyare dosto, islam ka munaasib had tak jaanane waala koi nscholar aaj ham logoon main mojood nahin hai, har koi thoda bahot hi islam ke baare main jaanta hai.
Islam main do bunyaadi baaten 1)quran islam ka dastoor ya aaeen hai. is baat ka zikr khud quran main hai. kia aap log bataa sakte hen keh woh kon kon si soorten aur aayten hen jin main is baat ka zikr hai?
is ke liye aap ko chahiye keh aap log soorat 4,5,24,33,58,65 ko bahot hi ghor se paden.
in soortun main bataaya gaya hai keh maashra kese banaaya jaata hai, is ki intzaamiya kese banayee jaati hai. pas jab logoon ko quran ki samajh is tarah se aajaaye gi to sab ummat theek thaak ho jaaye gi. kyunkeh baadshaohun aur un ke molavyun ko islam se dushmani thi is liye un logoon ne is ka holiya bagaad diya. quran ki ghalat tafseeren kar daalin aur yun logoon ko bewaqoof banaaya. yani deen ko mazhab banaa diya aur jin baatun se pata chal sakta tha keh islam deen hai un ki ghalat tabeeren pesh kin un ko chhupaane ke liye.
2)Quran main islam ka maashi nizaam bhi hai magar kahan hai is ko bhi maloom karen. jab ham yeh do baaten achhi tarha se jaan len ge to phir maanana peda ga keh flaan shakh islam ka bahot achha schoar hai.
is ka zikr soorat 4 aur 8 main milta hai. nizaamen zakaat 2.5% baadshaon ne molavyun ke zariye banwaaya aur us ka nateeja aaj hamare saamne hai.
islam har giz aisi taqseem ki ijaazat nahin deta jisse maashare main tabqaati taqseem ko farogh mile.
http://www.siasat.pk/forum/showthre...-stand-and-why&p=490460&viewfull=1#post490460
quran ko arabi main pado aur dictionariyun ki madad se haqaaiq ko saamne rakh kar samjhne ki koshish karo ta keh aap ko pata chale mullah logoon ne hamare saath kia khel khela hai.
ham assaye moosa se saanp dekhaa kar khud jeben bharne main masroof ho ge. is liye in ko maddari kaha jaaye to shaid ghalat na ho ga.
inqilaab ki zaroorat hi nahin rehte agar ham siasi aur maashi tor par theek hun.
fahaashi yeh hai ke log bhooke mar rehe hun aur aap ahmaq pan ka muzaahirah karen un ki taraf tawajo na de kar.
zina yeh hai keh log quran ki baatun main apni taraf se milaawat kar den aur yoon qurani taleem par pardah daal den.
aakhen khulo aur haq baat ko pehchano.
pesgamber moosa ki qaom ko pyaas paani ki nahin thi ilm ki thi keh jaab logoon par zulm ki waja se jahaalat chha jaati hai to un ko bhi khyaal aata hai kaash ham ko koi achhi baat sikhaa de taa keh ham apni mussebatun ko samajh saken aur un ka hal talaash karen.
kyunkeh qaome moosa is haalat ko ponchh chuki thi is liye jab moosa ne awaaz laggaaee unhu ne labek klaha. loha zulm ki bhati main surkh ho choka tha bas us ko hathode ki zaroorat thi jo us ko drust shakal de de.
Jab logoon par zulm bad jaata hai to un ko leader ki talaash hoti hai jo un ko drust simt le jaaye. khudaa ke peghaamun ka yahee maqsad tha logoon ko drust simt dekhaana and peghambrun ka yahee maqsad tha un ko bataana keh inqilaab kaise laaya jaata hai logoon ki zehni soch badal kar.
aik achha maashar qaaim karna bahot hi mushkil baat hai is ke liye bahot hi mehnat darkaar hai sirf duain karne se kaam nahin chalta.
agar ham khud ko behtar simt le jaana chahte hen to ham ko quran ko samjhna ho ga. jab tak ham khud quran ko theek tarah se nahin samajh sakte ham drust simt ka taayun nahin kar sakte to kisi aur ko kahan le jaayen ge? Sochne ki baat hai.
isi liye aap ko har us shakhs par sakht tanqeed nahin karni chahiye jo apni tehqeeq karta hai deen par. isi liye to ham mullah ke ghulam hen kyun keh ham kisi aur ko baat hi nahin karne dete.
kisi ko apna tarjama aur tafseer nahin karne dete aur yun ham log bas ghalat jaga par khade hen aur wahin rehna chate hen. to phir aur logoon se ghila kaisa? aap dukh dard main pade ho aur kisi ko ijaazat bhi nahin de rehe ho ke woh aap ko is museebat se nikaale. aakhir aap chahte kia ho?
jab tak ham log apni soch samajh se kaam nahin len ge hamare kisi bhi masale ka kuchh bhi hal nahin ho sakhta.
aap apne sar masjadoon ke farsh par phoden yaa aik doosre par charaahi kar ke ya phir bazurgun ki qabrun par nateejah aik hi ho ga.
jiis soch samajh aur amal dakhal ne pehle koi achha nateeja nahin diya usi par mazeed apna waqt zaaya karna aqal mandi maloom nahin hoti. ham ko apne aap par tanqeedi nigah daalne ki sakht zaroorat hai. ta keh ham aik nahin soch ki taraf aayen, koi aur tareeqa apnayen jis ka nateejah hamare liye behtar ho.
nabi kareem ke paas kuchh bhi aur nahin tha quran ke siwaa jis se aap ne qaomo ki zindagi badal di. peghambre khudaa moosa ke paas bhi koi soota nahin tha bas khudaa ki kitaab thi tauraat. in kitaabun main zaroor koi aisi baat hai jis par amal karne se duniya badli jaa sakti hai.
zahir hai maashara badalne ke liye maashra badalne waala hi koi kaam karna ho ga na ke kuchh aur karne se maashara badal jaaye ga. aap agar aam ka paid lagaayen ge to aam hi peda hun ge na keh kharbooze yaa ienten pathar.
isi liye jo nizaam aap duniya main laana chahte hen us ko achhi tarah se samjhen keh woh kaise qaable amal ho sakta hai. phir us ka parchaar karen takeh log apne faaida dekh kar us ko qabool,karen. us ke baad hi woh aap ki madad karne ko tayaar hun ge.
jab aap khud nahin jaante aap ka dastoor kia aur logoon ko roti aap kaise den ge to kon aap ke saath aaye ga aur kis liya?
is liye aap log doosrun ke khayalaat sunen aur dekhen keh woh kia kehte hen. agar un ki baatun main wazan hai to theekh wana aap kisi aur ko dekhen woh kiya kehta aur khud bhi soch wichaar karen. mumkin hai aap khud aur logoon se baat ko behtar samajh saken.
khudaa ham sab ko apni di hui salahiyatun ko sahee istehmaal karne ki soch aata farmaaye.
http://www.youtube.com/watch?v=fxjwXtL4DI0&feature=related