Insafians Doston, Jab Hozoor (S.A.W) ne Islam ki tableegh ki aur logon ko Haq aur Sach ka raasta dhekaya tho wo jo gomrah thay wo tho Eiman lay Aiay aur jo fitratan Jahil aur Shaitan thay Jin k Dilon par Allah ki mohar lagi howee thee wo akhir tak Kafir rahay. Ab wo tho Akhri Nabi thay Allah k onse sachee bath tho kisi ki nahi thee phir bhee jin ka Eiman lana Allah ko khud he manzoor nahi tha kioonke on k dil itne kaalay thay k Allah ne bhee onhain hidayath nahi di wo eiman nahee laiay.
Mere leader ne hum pakistanion ko haq aur sach ka raasta dhekaya, wo nojawan nasal jin ka shoghal bas gomrahi, gonah, awara gardi, mokhalif jins k peechay jaana, chating karna aur waqt ka ziya tha, jin k baray may socha jatha tha tho on ka aur on k mulk dono ka mostaqbil bas sirf tareek he nazar aatha tha, on sab ko humaray leader ne Sahee rasta dhekaya, La ilaha Illalah ka matlab samjhaya, Iyyaka Naabodo wa Iyyaka Nastaeen ki talqeen ki. Aur phir sab nay aik mojaza dheka k har class har soch har society k logon k na sirf dil badlay balke onka aamal bhee badal gaiay. wo haq aur sach ki rah par sipahi ban kar jok darjok nikal paray.
Aaj bhee hum may se bohot se aisay log hain k jin k dil par koi asar nahi howa, jo andhe hain Behre hain. Aisay sab afrad k tho dil may khof aana chahiay k kahin wo bhi tho fitratan eivel nahi ? Kia wo itne boray tho nahee ho gaiay hain k Allah ne on k dilon par mohar laga di hay ? ye bohot darne aur fikarmand hone ki baath hay on k liay agar wo zara bhee samajh rakhtay hon. Beshak on logon ka shomaar qoum aur molk k ghaddaron aur doshmanon may kiya jaiga jo qoum k doshmanon aur ghaddaron k sath hain. Ye khud se aik sawal karain, k jab ye bachpan may qissay sona karthay thay Taarikh k, tho os waqt kia ye soch saktay thay k wo aik din ghaddaron me shomar kiay jaingain ? ya wo humaisha khud ko har sachay aur har inqilabi k sath immagine karthe thay ?