Khalifa system is the only way for revival

Asalam-o-Alikum warehmatullah wabarakatu !

Brothers, Meray khayal sai humaray pakistan mai jo yeh Election system(Party System) hai, iss sai kabhi b koi Khater-khowa kami nhn hon gi humari preshanio mai... ager hum thodi dair k liye apni aankho sai yeh magrhbi pati utar dai tu humai saaf azer aa jaye ga k yeh Election system kuch b nhn hai saway apus mai nafrato ka beejh bonay mai, lari jhagra kernay mai, Iqtadar ki hawas aur aik dosray ko neecha dekhanay k ilaawa. Behsuk woh pak/india ho jiss mai election k duran qatal-o-garat hoti ha, america ho jiss mai election sai pehlay b aur baad b aik dosray k khilaf ilzamat lagay jatay hai... qisa mukhtsir k duniya mai kahi b yeh nizam amun-o-shanti sai nhn chal rha. Aaj pakistan mai MQM/ANP/PTI/PMLN/PPP/JI walay apus mai aik dosray ki jaan k dushman hai. her koi iqtadar hasil kernay ki khoshish ker rha hai... aur dushman humaray derwazay pay dastak dai rha hai, gareeb mar rha hia, Qoom Ikhlaqiayat ki pasti ko chu rhi hai.

Aisay mai dekha jai tu umeed ki aik he kiran nazar ati hai, jiss sai hum amli tur pay aisi preshanio sai chuthkara hasil ker sakay, jiss sai apus mai Ikhtalafat mit jaye, sub apus mai bhai bhai bun jaye poori qoum k hath mai aik he jhanda(flag) ho ( na k PPP/PMLN/PTI/MQM ki tarah elehda elehada jiss qoum k hath mai aik jhenda he na ho, aik maqsad na ho woh kiya khaq apnay revival ki jang laray gi ), koi iqtadar ki kahter aik dosray k khilaf bay-bunyad ilzam tarashi na ker rha ho. Aisay mai sirf KHILAFAT he aisa system hai jiss mai poori qoum ka aik he REPRESENTATIVE ho jissay KHALIFA kaha jata hai. jissay Umer-bher k liye select ker liya jaye jiss tarah Kuhlfa-Rashdeen ko chuna gya tha aur poori qoom bayt keray oss k hath pay. Phir jub tuk KHALIFA koi non-ISLAMIC harkat na keray tub tuk koi b admi uss pay ungli utha na sakay, ager koi iqtadar k lalach mai aisa kerta hai aur apni elehda dafli bajata hai tu phir ISLAM mai oss admi/party k khilaf wazaya hukam hai. Ager koi ikhtalafat b hai khalifa sai tu Judiciary sai concern kiya jaye na k awam k jazbat ko uchala jaye aik dosray k khilaf.
Aisay system mai tu kisi ko kissi kisam ka shuba he nhn hona chahiye q k iss mai sirf Nijat he hai duniya mai b aur akhrat mai b. aur ho b q na q k yeh Islamic system hai.

(might be at some points i did some mistakes in introducing Khilafa system you can correct me.)

Please comment.
 
23svhc6.gi

11to1tl.gif
 

?? ???? ??? ???? ????? ?? ???
???? ?? ??? ?? ?? ?? ????? ??? ?????
???? ?? ????? ???? ?? ??? ????
??? ???? ??? ??? ???? ??? ??? ???
?? ??? ???! ??? ?? ?? ??? ???? ????
?? ???? ??? ??? ??? ???? ?? ?? ???
?????? ? ?????? ? ?????? ?????
?? ?? ?? ???? ?? ?? ????? ?? ?????

??? ?? ?? ?? ??? ??? ???? ?? ?????
????? ?? ?????? ?? ?? ????? ?? ????
 
Our Elite Class & HUKMRAN TABQA TOTALY unaware of such islamic teaching due educate from ENGLISH MEDIUM SCHOOLS ..........WHERE these are teached only to calculate and make the amount double...............not to serve the PEOPLE...............SO thats why, why we are crying.........these people not educated from the institutions that make the MORALS OF PEOPLE HIGH..................

DONT WORRY A SIMPLE TOTALY DANGEROUS REVOLUTION IS THE SOLUTION OF THE PROBLEM OF PAKISTAN.
PERHAPES IT MAY TAKES PLACE AFTER THE DUSTRUCTION OF PALISTAN COMPLETELY.
 

mirchi

Councller (250+ posts)
KAASH! we had it today also. But in the presence of all these corrupts we will not see that unless somebody snatch it from them.
 

Reliver_Male

Voter (50+ posts)
kaleemullah said:
Asalam-o-Alikum warehmatullah wabarakatu !

Brothers, Meray khayal sai humaray pakistan mai jo yeh Election system(Party System) hai, iss sai kabhi b koi Khater-khowa kami nhn hon gi humari preshanio mai... ager hum thodi dair k liye apni aankho sai yeh magrhbi pati utar dai tu humai saaf azer aa jaye ga k yeh Election system kuch b nhn hai saway apus mai nafrato ka beejh bonay mai, lari jhagra kernay mai, Iqtadar ki hawas aur aik dosray ko neecha dekhanay k ilaawa. Behsuk woh pak/india ho jiss mai election k duran qatal-o-garat hoti ha, america ho jiss mai election sai pehlay b aur baad b aik dosray k khilaf ilzamat lagay jatay hai... qisa mukhtsir k duniya mai kahi b yeh nizam amun-o-shanti sai nhn chal rha. Aaj pakistan mai MQM/ANP/PTI/PMLN/PPP/JI walay apus mai aik dosray ki jaan k dushman hai. her koi iqtadar hasil kernay ki khoshish ker rha hai... aur dushman humaray derwazay pay dastak dai rha hai, gareeb mar rha hia, Qoom Ikhlaqiayat ki pasti ko chu rhi hai.

Aisay mai dekha jai tu umeed ki aik he kiran nazar ati hai, jiss sai hum amli tur pay aisi preshanio sai chuthkara hasil ker sakay, jiss sai apus mai Ikhtalafat mit jaye, sub apus mai bhai bhai bun jaye poori qoum k hath mai aik he jhanda(flag) ho ( na k PPP/PMLN/PTI/MQM ki tarah elehda elehada jiss qoum k hath mai aik jhenda he na ho, aik maqsad na ho woh kiya khaq apnay revival ki jang laray gi ), koi iqtadar ki kahter aik dosray k khilaf bay-bunyad ilzam tarashi na ker rha ho. Aisay mai sirf KHILAFAT he aisa system hai jiss mai poori qoum ka aik he REPRESENTATIVE ho jissay KHALIFA kaha jata hai. jissay Umer-bher k liye select ker liya jaye jiss tarah Kuhlfa-Rashdeen ko chuna gya tha aur poori qoom bayt keray oss k hath pay. Phir jub tuk KHALIFA koi non-ISLAMIC harkat na keray tub tuk koi b admi uss pay ungli utha na sakay, ager koi iqtadar k lalach mai aisa kerta hai aur apni elehda dafli bajata hai tu phir ISLAM mai oss admi/party k khilaf wazaya hukam hai. Ager koi ikhtalafat b hai khalifa sai tu Judiciary sai concern kiya jaye na k awam k jazbat ko uchala jaye aik dosray k khilaf.
Aisay system mai tu kisi ko kissi kisam ka shuba he nhn hona chahiye q k iss mai sirf Nijat he hai duniya mai b aur akhrat mai b. aur ho b q na q k yeh Islamic system hai.

(might be at some points i did some mistakes in introducing Khilafa system you can correct me.)

Please comment.
Salams, mere dost es qaum ko khoon peene kee adat hogayee hey, yeh har achee cheez ko bura kardete hen, yeh kuch bhee acha na kar sakte hen aur na soch sakte hen, en par Allah ka bohat bra azab aayega, achee bat kehne wale ko yeh katal kardete hen ya pagal kehte hen, yeh wohee daur mehsoos ho raha hey Nabi se pehle wala jab Nabi ko jadoogar kaha gaya, pakistan me mujram etne takatwar hen ke sahee kam karne wala kar hee nahee sakta aur na soch sakta hey, aur pakistan kee awam bhee akal o shaoor sa khalee hey, yeh log Sirf Kalma parh lene ko musalman samjhte hen halan ke kalma to kafir bhee parhte hen, en logon ne apne man pasand kee hadeeson ka entakhab kar lia hey Eslah karne wale ko fitna kehte hen
 
AOA
ap ka topic bhot acha ha khalafat ka tareeka sirf Pakistan k liye hi nahi bal k puri duniya k liye wahid hal ha mujhy ye jan k bhot khusi hoti ha k meri qoom k jawan apny deen ki tarf lout rahy han lakin humain dekhna ye ha k is nizaam ko badla kaise ja sakta ha?

Sub se phely to hum jawanon ko apny dil myn ye baat bhethani ho gi k nothing is "IMPOSSIBLE" infact the word impossible itself says k "I M POSSIBLE" jab main jawanon ko ye kahty sunta hon k ye nizaam kaise theek ho ga yahan to har banda hi corrupt ha urr is soch k sath hi sub ko mayoos hoty dekhta han to mujhy bhot dhok hota ha afsos k ye soch hum apny gharon se hi ly k chalty han k is moulk ka kuch nahi ho sakta aisi hi baatain apny baron se sun k hum jawan huey han lakin ab hum jawan ho gye han to humain apni rah kuhd select kerni ha. Isi tarhan ki mushkilain bal k is se kahin ziyada humary deen ko us waqt thin jab ye wajood myn aya humara PAK NABI akela hi sub mushkilon ka samna karta raha aj to hum apny PAK NABI k jan nisaar bhot sary han to kia hum in mushkilon ka samna nahi kar sakty? Main mayoos nahi urr mujhy yaqeen ha k INSHA ALLAH hum badlain gy. Main apny hissy ki kosish keron ga INSHA ALLAH aap loog apny apny hissy ki karny bus baki RUB pe chor dyn.

Ab main original topic ki tarf ata hon "khalifa system is the only way for revival" thts absolutely true lakin humain zara sa apny minds ko open karna ho ga urr is ki sub se bari example khud QURAN ha jo qayyamat tak k liye hidayat ha kaise ab yaad rakho k jab se dunia bani ha tab se ly ker qayyamat tak dunia myn bhot c changes aa b choki han urr aani b han urr is baat se koi b inkaar nahi kar sakta ab sahir c baat ha k ager qayyamat tak bhot kuch badalna ha to jo cheez yani QURAN qayyamat tak k liye hidayat ha wo isi liye hidayat ha k RUB-E-PAK ne is ko itna khubsort banaya ha k ye har dour k hisaab se apna matlab badalta rahata ha e.g. mera PAK QURAN kahta ha k "apny ghory urr talwarain (horses and swords) tayyar rakho" ab aap dekhain k aj b 1400 saal guzar jany k baad b ilfaaz yahi han lakin in ilfaaz ne apna matlab waqt ki monasbat se badal liya ha kaise? dekhain aj k dour myn kon c aise jang ha jo hum ya koi urr ghoron pe sawaar ho k talwaroon k sath larta ha? koi b nahi kiun k aj ghoron ki jaga jeeps ne tanks ne jet fighters ne ly li ha urr talwaron ki jagha b guns ne ly li ha to jo loog nahi manty QURAN ko un k liye yahi sabak ha k dekho kaise khubsorti se QURAN apny ilfaaz change kiye baghair meanings change ker k sabak phara raha ha

To dosto humain b aisa hi karna ha aj k dour myn koi aisa insaan nahi ha jis ko sary musalman apna khalifa man lyn yahan tak k aisa b koi nahi jis ko sirf Pakistan k musalman apna khalifa man lyn humary doshmanon ne humain aik dusry se itna dour kar diya ha afsos to phir is ka hal kiya ha? (meri baaton ko party waqt aik baat zihan myn rakhna k nizaam-e-khilafat hi bhetareen nizaam ha urr main usi ko explain kar raha hon)

Is ka hal ye ha k kuch ilfaaz itny sakht hoty han k un pe hum loog pareshan ho jaty han jaise e.g. "qayyab" ab is lafz ko ly k humary ulma har waqt larty hi rahty han k NABI k pass qayyab ka ilam tha ya nahi halan k ager ye koi itna bara masla nahi ha kiun k ager qayyab ki definition dekho to pata chalta ha k har wo cheez jo mere liye chupi hoi ha wo mere liye qayyab ha lakin lazmi nahi k wo kisi dusry k liye b meri tarhan qayyab hi ho lakin afsos k hum ne apna deen molviyon k hathon myn dy k khud ko azaad samjh liya urr molviyon ne humara deen apni pocket myn dal k us ko apna qhulam bana liya. Jitna main apny deen ko abhi tak samjh saka hon us k baad main ye baat aram se kah sakta hon k mere deen se ziyada khubsort deen koi na tha na ha urr na hi ho sakta ha zarort sirf humain apny deen ko samjhny ki ha jaise yahan london myn kuch deeni loog kahty han k bus sirf salwaar qameez hi bahna karo jab k agr koi apny deen ko pary to pata chalta ha k ye jo aj kal ki pent ha is ki bonyaad HAZRAT UMAR ne rakhi thi kiun k mazdoron ko kaam karty waqt apny local libaas ki waja se pareshani hoti thi lakin ye baat kam hi loog janty han urr jaisa myne uper kaha k hum ne khud apna deen molviyon k hathon myn dy diya urr hua kiya k kafron ne is libaas ko nai shakal dy k apna bana liya urr humary molviyon ne is ko haram qarar dy diya afsos ki baat ha na urr sirf yahi nahi isi tarhan har achi baat har acha qanon jo aj is west ne apna liya ha jis ki taqleed kar k hum fakhar karty han wo humare hi deen se liya ha lakin phir wohi baat k inhon ne us ko naye zamany k hisaab se modify kar k apna bana liya urr hum ne b is ko inhi ka maan liya kiun k hum ne kabhi apny deen ko parne ki samjhny ki zarort hi mahsos nahi ki humary liye deen sirf namaz par lena hi rah gya ha bus khair mujhy maaf karna main topic se hat gya main wapis topic pe ata hon

Baat ho rahi thi khalifa ki dekhain dosto jaise myne abhi uper kaha k kafron ne humary hi deen ko apna liya ha QURAN ki is baat pe k ye qayyamat tak k liye hidayat ha aj hum nahi ye loog amal ker rahy han kasie dekho khalifa naam b aisa hi sakht ha jaisa myne uper qayyab ki example di agr aap ye lifz kisi k liye aj k dour myn use kerny gy to aik niya fisaad khara ho jye ga to is ka hal ye ha k lafz change kar do khalifa ko aj k dour k hisab se saddar kah lo kiya fark parta ha sharai adalton ka shor dala hua ha ab qazi ko ager qazi k bijay jadge kah lo to kiya fark pary ga asal maksad to ye ha k humain nisaam kon sa chaye kaam shariyat k motabik hi karo lakin aj k dour k hisaab se ager hum naam aise use kar lyn jin se hum sab manoos han to mere khayal myn koi fark nahi parta jaise aj k dour myn hum sub ko english calendar k sary months ka pata ha lakin apny islamic months ka nahi urr hum sub isi english calendar k motabik hi zindagi guzar rahy han yahan tak k humary molvi hazzarat b.

To dosto khalifa ko saddar kaho ta k so called modern loogon ko b kuch kahny ka moka na mile urr apna kaam b ho jye kiya khayal ha ?? urr myne modern loogon ki baat is liye nahi ki k un k motabik hi chala pary ga humain urr na hi mian un se dar k ye baat kah raha hon bal k main is liye ye kah raha hon k mera deen mujhy yahi seekhata ha k jab tak hum taqatwar na ho jyn tab tak maslihat se hi chalna pary ga fateh-e-makka yaad ha na sub ko jab hum taqatwar ho k makka myn gye to sub ko chokna par gya lakin us se phely sub k sath maslihat kerni peri to phely humain khud ko taqatwar banana ha phir hi hum mokabla ker sakyain gy

jo nisaam abhi humary moulk myn ha yani jhamoriyat ye theek nahi ha lakin molana sufi mohammad ki tarhan bus kah dena k ye kafrana nisaam ha ye b theek nahi kiun k jaise myne kaha k phely humain khud ko theek karna pary ga khud ko taqatwar kerna pary ga phir hi hum duniya ko dekha sakty han na k dekho humara nisaam-e-khilafat sub se bheter ha sirf qitabon ko par k sunany se to hum aam loogon ko yaqeen nahi dela sakty k humara nisaam bheter ha to is liye main kahta hon k gand ko saaf karny k liye gand myn utarna pary ga bahir khary ho k saafai nahi hoti dostois waqt so called jhamoriyat hi ha humary samny to phely is ka hissa bano phely is ko theek karo phir is ko badlo prime minister se president ki tarf move karo phir ahista ahista sharai qanon nafiz karo lakin phely humain isi nisaam ka hissa bannana pary ga. Kaise? asie k vote dalo har baar lakin personalities ko dekh k nahi bal k nazriyat ko dekh k election se phely tamam parties k manifesto pharo sirf nawaz sharif ya benazeer ko dekh k un ki party ko vote na do plz ye b to dekho k in k pass humare liye ha kiya yaqeen mano in loogon k pass ko nazarriya nahi ha bus personality vote lety han ye loog urr afsos k hum loog in ko vote dy b dety han hum sub educated han is liye phely humain samjhna ho ka nizaam ko phir un loogon ko samjho jo bechary unparh han humary watan myn to hum bhot asani ha kisi rehri waly k pass khary ho jao urr baat suro karo dekhty hi dekhty wahan usi rehri waly ki tarhan k bhot se loog khary ho jyn gy urr aap ki baatain ghor se sunny gy yaqeen mano ye bechry unparh loog hum jaise parhy likhy loogon ki bhot izzat karty han jahy hum is kabil hon ya na hon lakin karty han mujhy personal experience ha mujhy yaad ha k myne sirf matric pass kiya tha us waqt urr main aik rehri pe khara ho k chawal kah raha tha to wahan kuch mazdoor loog bhethy thy urr siyasi baatain kar rahy thy urr kiun k mera interest b tha to myne b baatain suro kar din to yaqeen manon doston aj b yaad ha wo baat k kaise ghor se un loogon ne meri baaton ko sunnana suro kiya urr phir jab myne baat khatam ki to aik banda baki sub se kahta ha "dekha g parhy likhy bandy ki baaton myn hi wazan hota ha" urr yaad rahy us waqt myne sirf matric kiya hua tha urr un k liye main parh likha banda tha ab is ka matlab ye nahi k main itna zaheen tha k un loogon ko motasir kar diya bal k is ka matlab ye ha k hum sub jo thory bhot parhy likhy han humara farz ha k phely khud cheezon ko samjhain phir aise loogon ko samjhain urr yaqeen mano ye loog aap ki baat sunain gy b urr us pe amal b karny gy lakin afsos k hum parhy likhy jahil ban gye han bus degree li urr wo b is niyat se k is ki base pe koi achi job mil jye gi bus baki educated to hum b nahi sirf degree holders han

Sorry meri baat bhot lambi ho gyi sach baaton to mere pass to abhi b bhot kuch ha jo likh sakta hon lakin aap loogon pe tarsh ata ha k bore ho jyn gy sach to ye ha k mere pass aik complete nisaam bana parah ha bilkol perfect ha aisa to nahi kahon ga lakin itna zaror ha k ager is ko Pakistan myn lago kar diya jye to INSHA ALLAH jaise aj hum west ka visa leny k liye lines myn khary hoty han waise hi ye loog humare watan k vise k liye duyain kar rahy hon gy lakin main aik aam admi hon aik bhot qamsoor admi hon is liye akela to khuch kar nahi sakta lakin han mayoos nahi hon umeed ha k kabhi na kabhi change aye ga urr hum loog hi lyn gy INSHA ALLAH lakin is change k liye humain apny apny hissy ka kaam karna pary ga main kar raha hon apni zindagi myn se kuch time nikaal k politics ko urr political parties ko urr apny deen ko parhta hon urr inhi cheezon se aik chota sa nisaam aj k dour ko samny rakhty huey bana liya ha us ko apni zindagi pe lago kar raha hon urr jahan tak ho sakta ha apni awaz ko apny doston tak phonchata hon bus isi liye umeed ha k ALLAH acha hi kary ga lakin humain b mehnat kerni ho gi

Last myn ager aap loog mujhy siyasi na samjhny to aik baat share karta hon dekho mera talook kisi siyasi jamat se nahi ha lakin kiun k apny country ki siyasat se lagao ha is liye sub ko sunta hon parhta hon urr aj kal k halaat ko samny rakhty huey mere personal rai ye ha k imran khan aj kal mojood tamam siyasat danon se bhot bheter ha han kamiyan us myn b han lakin main samjhta hon k us k pass kam az kam aik soch aik vision to ha jo k mujhy zulfikaar ali bhutto k baad kisi siyasat daan myn nazar nahi aya isi liye sub siyasat daan to ban gye lakin leader nahi ban saky is ki taza misaal last elections han kisi k pass koi vision nahi tha koi nara nahi tha bus wohi roti kapra urr makan jo na to aj tak ye dy saky han urr na hi dy sakyngy kiun k ye possible hi nahi ha kiun possible nahi ha ye aik alag behas ha jis ko kabhi phir karny gy han to main kah raha tha k is election myn hua kiya bus loog mussahraf sahab se tang thy to jo b us k khilaaf khara hua loogon ne us ko vote dy diya baki ager nazarriye ki bonniyaad pe vote dalta to humari assmbley khali hoti urr kiun k hum loogon ne apny deen ko jis tarhan molviyon k hawaly kar diya usi tarhan siyasat ko b aik fazool kaam samjh k aise loogon k hawaly kar diya jin ko siyasat ka matlab hi nahi pata tha urr aj hum rooty han k hum kar b kiya sakty han aj dekh lo koi siyasi jamat apny manifesto pe kaam nahi karti na hi election se phely menifesto ki koi ahmiyat mehsos hoti ha kiun k in sub ko pata ha k humary loogon ne kon sa parhna ha ya kisi nasarriye k tehat humain vote dena hato dosto isi liye mian kahta hon k siyasi jamaton se pocho vote deny se phely k kiya ha tumhary pass kon sa aisa kaam ha jo tum kar sakty ho ye rooti kapra makan ka nara ab purana ho gya ha hum ye kar dyn gy wo kar dyn gy ye baatain b purani ho gyi han ab kuch na kiya to next time vote nahi han jab in loogon ko ye pata ho ga k loog ab sirf humary kaam dekh k hi humain vote dyn gy na k humary leaderon ko dekh k to yahi sub na chaty huey b kaam karny gy. Ho sakta ha k imran khan ka naam leny se kisi ko ikhtilaaf ho lakin mere dosto imran khan ka naam us ki personality se motasir ho k nahi liya bal k us k nazriyat ko sun k urr phar k liya ha ankhain band kar k main koi kaam nahi kiya karta yaad rakho ye jo itni lambi kahni myne b sunai urr dusry dost b is topic pe baat kar rahy han ye kahni sharai nisaam ya khilafat k nisaam k uper hi ha urr is waqt sach baaton to mujhy imran khan hi aisa banda nazar ata ha k jo mojoda nizaam ko badal kar shayed usi nizaam k kareeb chala jye jis ki hum baat ker rahy han ya jis ki hum khuwahish kar rahay han

SOCHO HUMAIN BADALNA HA
HUM BADLAIN GY
INSHA ALLAH

ISLAM IS MY RELIGION
PAKISTAN IS MY COUNTRY
I'M PROUD OF BOTH