Lolz..... kitaabi baatein hain ye janab...... yahan hardworking person ki jitni izzat afzai hoti hai sub ko pta hai..... Kuch din pehlay ek banda aya bank mein MS Finance kiya hua tha usne aur wo bank mein job k liye aya tha, ussay kaha gya k janab 16 se 18 hzar tak milay gi job to wo bola k haan jitnay mrzi do lekin job to milay .....ye hy soorat e haal yahan. Bagher sifarish k koi aap se poochta bhi nahin k kitni degrees hain apkay paas aur kya grades hain......
Aur jo paki pakai roti k shauqeen hotay hain wo Pakistani hotay hain , k jab unko bahir ja kr zra mehnat krni paray, khana aur kapray dhonay ka kaam krna paray to cheekhtay hain, paki pakai roti to inko chahiye warna jo baahir jatay hain wo ye ronay nahin rotay, wo khud mehnat se krtay hain, ammi aur kaam waliyun par nahin rehtay...........
Mera cousin hai , yahan 10 hzaar ki naukri krta tha, Austria chla gya PHd krne, wahan 4 saal usne akhbar bhi baichay, zameen pr bhi soya, khana bhi khud bnaya, kapray bhi khud dhoye, hotels mein waitor bhi rha lekin jab 4 saal baad phd kr li to ab ussay comsats mein 1 lakh 35 hzaaar par lectureship ki offer hui hui hai, aur singapore mein 5000 dollars/month ki............
Jo part time job aur ghar k kaamo ka rona rotay hain bahir ja kr wo loag mummy daddy hotay hain k bus sub kharcha abba uthaye aur sub kaam amman kr k de.....
Yahan mehnat kro to bhi koi future nahin aur bahir mehnat kro to kam az kam hope to hoti hai better future ki....