Pakistan kaise taraqi kar sakta hai

RashidAhmed

Moderator
Staff member
Siasat.pk Web Desk
dosto aap jaante hain k pakistan aaj bohat se bohraanon se guzr raha hai, jin se niklne ka koi raasta nazar nahin aa raha, aaj main apne views share gaa k pakistan kaise taraqi kar sakta hai

1) sab se pehle mulk main qanoon ki baladasti qaim ho yaani qanoon amir gharib, chote barre sab k liye barabar ho, jo jurm kare usse sazaa mile.

2)Education ko aam kar dia jaye because education se hee bande ko ache burre ki tameez hoti hai aur usse apne haqooq aur faraiz ka ehsaas hota hai. Iss k liye har shehar aur goan main kam az kam aik school lazmi hai jo quality ki education de, jabke deehaton main colleges, technical education k institute aur har shehar main kam az kam aik university lazmi hai.

3) Health ki sahooliat har shehar aur gaon main honi chahiye, har gaon main kam az kam aik dispensary lazmi honi chahiye jo hakoomat ki sarparsti main chale

4) buniadi zarooriat jaise gandam, chaawal, atta, ghee par har kism k taxes khattam kar diye jayen taake awam ko kam keemat par buniadi cheezain milain.

5) muqadma baazi ko khattam kia jaye jaise zameen k muqadmaat jo salha saal latkte hain aur unn ka koi solution nahin hota, kisi muqadma ko 6 maah se ziada naa chalne dia jaye agar faisla naa ho to donon fariqain ki sulah karwa di jayen agar don sulha naa karain to hakoomat unn ki woh zameen zabat kar le jin pe muqadma chalaa thaa, in short, masayal ko nai nasal main trasnfer naa kia jaye

6) hukmranon ki shah kharchion pr pabandi lagaa di jaye aur unn ko ail limited budget dia jaye jin se woh apni zarooriat poori karain. aur cabnit ko short kia jaye jaise IT, Education, science and technology ka aik wazir ho, issi tarah khail aur saqaafat ka aik hee wazir ho, issi tarah khazaana, sanat, tajaarat bhi aik wazir k under hone chahiye.

7) jagirdari aur sardari nizaam par pabandi lagaa di jaye

8) gair zaroori idaaron ko khatam kia jaye

9) hakoomat aik adaara qaim kare jo independant ho aur logon ki complain ko 24ghante k andar hal kare agar masla barra ho to usse 30 din k andar lazmi hal kare. yeh adaara direct prime minister ya president k under hon, log apni problem via phone calls, email, letters aur fax k zariye post kar sakain aur logon ko baqaida website ya kisi aur source se bataya jaye k kone problem solve hue hain, kone solve hone wale hain, konse problem latest hain.

10) logon ko kifayat she-ari, mulk k liye sochne ki tarqeeb deni chahiye

11) choti choti siasi jamaaton jo sirf aik soobe ki hadh tak siasat kar rahi hon unn pe pabandi lagai jaye jaise MQM, JUI, ANP, BNP wagaira.

12) aise log jo corrupt hain unn par siasat par pabandi lagai jaye.

13) hakoomat mulk main tax free industrial zone banaye taake awam ko ziada se ziada rozgar mile.

14) Hukmranon ka baqaida ihtesaab ho k bhai aap ne awam se yeh waada kia thaa woh poora kyun nahin kia, agar aap waade poora nahin karna jaante to karte kyun hain, iss silsle main media ka role bohat important ho gaa/

15) mulk se bahir qabil logon ko wapis pakistan balaaya jaaye aur unhain attractive salary aur incentives par mulk k liye khidmaat offer ki jayen.

please iss baare main review dain
 

Back
Top