because it came out stright from heartit penetrated straight into the heart!
80 ki dahiyon mein pakistan ki komi cricket team mein eik shazaday nay kadam rakha .cricket ka khail on dino yaqeenan bahot maqbool magar bahoot had tak shafaf kehlata tha lehaza kisi bi khilari ki performance ke peechay oss ka talent or mehnat ko saraha ya tanqeed ka nishana banaya jata tha . Iss pakistani shahzaday ki alag si tabiyat mukhtalif andaz doniye cricket ke tamshbeeno ko pasand nahe aya . Iss par iss naye khilari nay eik or tankeedi kam mein hath dal diya or logon say daad wasool karney ki bajye logon ke mazak nay iss ke hosley par war karnay shoro kar diye .iss nay pahlay hi tanqeed ka nishana bantay howey eik naya mahaz khol liye .. Iss nay baghawat kar di .or bat ko phank diya or ball otha li .bowler ko iss ki amad say pehlay wohi haisiyat hasil thi jo cricket mein hamesha say eik 12 man ko hoti hai ya eik pani pilaney waley ki .or phir din raat mehnat shoro ki tamam shaeqeene cricket jo ke sirf or sirf batsman ko hero dekhna chatay thay onhey lalkara .intahi tanqeed fitness problem run action aitamad ko thais pohachaney wala mahool magar tan tanha yeh shaks na sirf pakistan ke balke doniye cricket ke shaiqeen ko yeh manwaney mein kamyab ho gaya ke cricket sirf batsman ka nahe bowler ka bhi khail hai .iss game chaner ka nam kon nahe janta mein agar yeh kahon ke bowlers ka baap tu yeh pakistan mein kam z kam ghalat na ho ga .apna loha manwaney ke baad pakistan jesay third world country ke hath mein 1992 mein world cup thama deney wala yeh shakhs imran khan ke nam say jana jata hai or doniye mein jahan jahan cricket dekhi jati hai wahan wahan pakistan ko imran khans land ke nam say jana jata hai. Iss hero ka asar yeh hai ke bharat jesa itni bari abadi wala mulk aaj tak koi waseem akram waqar younis shoiab akhtar muhammad aamir nahe peda kar saka or yeh sawal karney par yaqeenan darost jawab diya sanjey manjhreker nay ke iss ki wajah hai ke imran khan yahan peda nahe howa.
Game changer ke name say janey wala yeh oxforf ka political economist .mulk ko eik or bara tohfa shukat khanam dai jata hai .iss ke baad bhi iss ki energy kam nahe hoti pore mulk ki surgery karney chal para hai or iss mulk ki bag door sambhalney ke liye oth khara howa intahi mushkil or porkhatar raston say hota howa qurbaniyon pay qurbaniyan deyta howa ajj iss moqam par kharah hai ke har shakhs iss ke nam ka soraj obharta deknay ko intazar mein khara hai.ham tamam loag zindagi bhar har tarah ki mosibat iss liye othatay hai ke zindagi asan ho jaye sokh chain a jaye izzat dolat shorat mil jaye magar yeh kon shakhs hai jis nay dolat izat shorat ki on bulandiyon par pohanch kar jis ka koi dosra pakistani tasawoor bhi nahe kar sakta sab kuch chor diya or eik mushkil rastay ko apna liye jis mein iss ki pariyon jesi biwi issay chor gai iss ki frishton jesi behno ko shark par ghaseeta gaya .yeh yeh sab kis liye kar raha hai ...... Han mere liye yeh sab kuch yeh mere liye kar raha hai .mere mustakbil mere chain mere sakon meri izzat ke liye .. Imran khan tumhari security kartay howey mein iss baat ka wada karta hon tum nay jo mere liye kia or mere jeson ke liye kar rahey ho oss ke badalye kash agar hamari jan bhi tum par kurban ho jaye tu tumhara mujh par or mujh jeson par ahsan e azeem ho ga. Mein nahe janta tumhari ham say mohabat or hamari tum say mohabat kia hai ..issi liye mein soch raha hon iss pyar ko mein kia nam doon ... Shayad pakistan
© Copyrights 2008 - 2025 Siasat.pk - All Rights Reserved. Privacy Policy | Disclaimer|