sohail waraich exposing how PML-N tickets were given. PML-N used 500 00 on survey on each seat!!!

mnalam49

Minister (2k+ posts)
khud hi apni baat ki nafi karte hu aik taraf kahte hu k imran khan kissi se alliance nahi kare ga tu mulk crisis main chala jai ga or dosri taraf kahte hu k wo PPP se milla hoa hai, aik wohi tu hai jo kahta hai k kissi sorat PPP se itehad nahi kare ga, or dosri taraf kahte hu k pmln chahty hai k ppp ka safaya ho jai lakin ager zarorat pary tu unse itehad bhi ho sakta hai......PTI ka sara zor Punjab_ KPK main is liay hai k yahin pe mulk ki majority of seats hain or PTI ziada strong bhi yahin pe hai......abh KPK main tu N league kabhi strong nahi rahi na lakin PTI KPK main bhi apna pora zor laga rahi hai....zahir se baat hai k aap apne strength pe hi zor lagao ge na ........ ye logic ka koi sir paon nahi k kionke PTI Punjab main ziada zor laga rahi hai is liay wo PMLN k khilaf or PPP k sath hai, bhai abh ager 272 main se 150 seats hi Punjab main hain tu sara zor tu yahin lagana hai na.....abh Karachi main PTI ne 20 main se 17 seats pe apne candidates khare kiay hain lakin N league ne 1 ya 2 jaga se kiay hain, tu abh kia hum chekhna shro kar dain k N league MQM k sath milli hoe hai, nahi bhai logic ye hai k N ka vote bank hi nahi hai Sindh main or issi tarha PTI ka bhi interior Sindh main vote bank nahi hai....simple
Baat seat par khari karney kee nahin hai har jaga bandey kharey karna to imran khan ney 1997 mein bhi keya tha jab usney 172 candidiate kharey keyey they aur jeeta kuch bhi nahin sindh mein 10 party ittehad hai is leyey to pmln ney apney strong seat par kharey karney hain jahan sey nikal sakey....pti kee tarah nahin keh apni taqat hai nahin aur har jaga bandey bus kharey karo...ab swat mein dekh lo yahan par akhir tak pata chal raha tha keh nasir jamal khara ho raha hai akhiri din saleemur rahman pti mein agaya aur nasir jamal sey ticket ley kar usko dey deya....ta keh kuch nikal sakein...masaila yeh hai keh imran khan kee sari tanqeed sirf pmln hee keon...3 provinve mein jo governance tha uska haal aap ney dekh leya keh ab koee bhi election muhim nahin chala pa raha hai punjab kee good governance dekho key sab kaisey muhim chala rahey hain..phir bhi aap ko samajh nahin ati hai....simple si baat hai...keh ppp ka to pakka jiyala vote hai..taqseem vote dosri taraf sey ho raha hai ppp ka nahin imran khan ppp par keon nahin bolta jab keh curroption mein record to usney qaim keyey hain...phir bhi keon......sirf pmln target....saaf zahir hai keh pechey sey pti ko khara keya ja raha hai ta keh yeh pmln key vote thorey jain aur ppp nikal jai...aap yahan par statement ko distort kar rahey ho...mein ney woh misal yeh di keh agar incase aap log 80 seat bhi ley jao...aur kahtey ho keh itteehad nahin banani hai to mulk ka keya haal ho ga...aap usko mix up kar rahey ho...ham to yahi kehtey hain keh imran khan...ppp ka game khel raha hai sirf ppp ko laney key leyey...aj manzoor watto ka bayan deka hai na keh ham pti key sath ittehad banain gey...par aap log ney fact ko distort karna hota hai keya keh saktey hain
 

mnalam49

Minister (2k+ posts)
Shanti rakho bhai .. survey was conducted by IPOR .. and yes it is the same IPOR which conduct survey for IRI ... :) hope u got the essence of post .. PMLN paid IPOR Rs 100m for 200 constituencies survey .. and it is possible that PMLN might have influenced IPOR for IRI survey as well .. after all it is worth Rs 100m

apko shaid samajh nahin ayee...yeh internal survey kee baat ho rahi hai...internal survey keya hota hai aap ko kuch pata bhi hai keh nahin...yeh survey to imran khan ney bhi karwaya hai agar aap key elam mein ho...agar nahin to ja kar poch lo...ipor sey hee karwaya hai for kind information me....mein us survey kee baat nahin kar raha hon mein us survey kee baat kar raha ho jo party apney andar karwati hai halqon mein
 

Back
Top