TOUBA KARO !!!

Typhoon

Senator (1k+ posts)
Musharraf or aaj ki hukoomat hi nahi, balke maazi ki hukoomate bhi hume is azaab me dalne kelye apna bharpoor kirdar ada kar chuki hein.
Hum ne makaan to bana lia lekin su ko ghar na bana sake. Quaid-e-azam ki qyadat me us waqt ke muslman ne naara lagaya ke hum ek independent qoum hein, humara rehn sehn, humare ethics, humari permanent values, humari moral values, humari social values, humare heroes, humari history, humari ideology, humara deen hume ek alag shnakht deta he, jiss ko jeene or implement karne kelie hum ek minority ban ke nahi reh sakte, is lie hum ek independent ryasat chahte hein. Wo Allah ke fazal se bani, lakho qurbanya de kar.
Lekin afsos ke hum ye noble task apni aane wali nassal me promote nahi kar sake.
Or kho gae. Aaj 62 saal baad bhi hum ye decide nahi kar pae ke hum kaha jana chahte hein. Secular nizam aur mazhabi ryasat ke darmyan humari kishti atki rahi. Kabhi socialism kabhi capitalism ke peeche bhagte rahe.
Humare political arena pe kabhi koi jamaat esi nahi ai jiss ne nazrya-e-Pakistan ko bunyad bana kar baat ko age chalaya ho.
Jabb tak ye shaour bedar nahi ho ga, hum kabhi kisi zalim dictator ke neeche, kabhi kissi corrupt businessman ke neeche, kabhi kissi landlord wadere ke neeche, kabhi kissi socialist fraud ke neeche parhe rahe ge.
Ek sajda jo hazaar sajdo se nijat deta he, sirf us sajde ki zarorat he. Sirf Allah ke nizam ke age sajda rez hone ki, sirf Allah ke akhri hukm ko constitution of the state banane ki der he, phir dekhna ye batil ke khuda, dour-e-jahiliyat me parhe kaba ke botoun ki tarha oundhe moo gir jae ge.
Kash khuda phir hume ek leader de jo Ibrahim ki justujoo rakhta ho, jo zarb-e-kaleem rakhta ho, jo qalb-e-saleem rakhta ho.
Lekin us kelye tehreek qoum ko khud peda karni ho gi, wo atish phir bedar karni ho gi jo jhoot ki har deewar ko pighla de.
Warna Musharraf or zardari ese hi bhes badal badal ke aate rahe ge, jese mir jafar or mir sadiq bhes badal badal ke aate rahe. Tareekh khud ko dohrati he. It`s like a circle. What goes around comes around. Cause and effect. Qanon-e-makaafaat.
Hum jiss bil se dasse jate hein agli dafa bhi hath phir wahi dalte hein.
According to the Quran, momin ki nishani ek ye bhi he, ke wo do martaba ek hi baat se nuqsan nahi uthata. Kionke pehli baar ghalti hoti he, lekin dosri bar laparvahi. Ghalti ka azaala he tauba.
Touba ke maani he wapis ajana. Aap shahrah-e-hayaat pe chale ja rahe hein, raste me ek choraha aya jaha se aap ek taraf ko murh gae. Chand qadam age chal kar apko ehsas hoa ke apke qadam ghalt simat uth gae hein. Sahi rasta ye nahi he. Ab apko sahi raste ki taraf jaane kelie us maqam tak lout kar ana ho ga jahan se apka qadam ghalt simat ko utha tha. Is wapsi ko touba kehte hein.
Zahir he ke is kelie apko chal ke wapis ana ho ga, wahi kharhe kharhe agar ap umar bhar bhi afsos karte rahenge ke me ne ghalt simat ko qadam utha lia to ye touba nahi ho gi.
Touba ek amli iqdam he jis se ghalti ko un-do kia jata he. Us ke muzar asraat ki talaafi ki jati he.
Hum sab pakistanio ko balke poore alme islam ko ye karna ho ga. Find where we lost the rope of Allah. Go back to our own system of life. Our own system of justice. Go back to our own system of economy and system of governance. Phir dekhna ke zara nam ho to ye matti kitni zarkhez he.


Pakistan Zindabad
 

PakPatriot1

Senator (1k+ posts)
Bhai Typhoon
Aap ke concerns bilkul baja hein. Aap mubarak baad ke mustahiq hain is post per. Dil chah raha hai keh aap ke hur sentence per tubsira karoon lakin waqt ijazat nahi de raha. Bohot maazrat ke saath sirf aik point ko dicuss kerta hoon ,please coreect me if I am wrong.
Aap ne kaha keh:
Jabb tak ye shaour bedar nahi ho ga, hum kabhi kisi zalim dictator ke neeche, kabhi kissi corrupt businessman ke neeche, kabhi kissi landlord wadere ke neeche, kabhi kissi socialist fraud ke neeche parhe rahe ge.
Bhai sirf yeh kehne se masala hul nahi hoga, koi hul hai tou woh bhi batadien, ab touba kaam na kare gi, kyun ke touba bhi woh mangein ge jo pehle se maang rahe hein , jo keh itnay gunahgaar bhi nahi hein. Jin ko touba mangni chaheye , agar woh suchchey dil se touba maang lien tou phir masala koi rahe ga hi nahi, sub kuch theek hojaey ga, kisi ko touba ki zaroorat nahi pare gi.
Shaou r ki bedari, education se mashroot hai, Pakistan mein mushkil se 10-12 % log itnay educated hein jin ko kuch shaour ho, magar woh bhi kisi na kisi tassub mein mubtila hein. Mein apne aap ko bhi is mein shamil kerta hoon.
Meri education mere country ke kisi kaam nahi arahi. Mein bhi aik lassani party ka worker hoon, supporter hoon, voter hoon kyun keh mein majboor hoon is system ki wajah se. Mein MQM ki sari burayon ke bawajood usey pasand kerta hoon keh mere paas koi doosri choice nahi hai. kum az kum MQM hai tou mere gallee muhalley ki party, mein oos se pooch tou sakta hoon? Yehi tassub or khud gharzi hai keh mein apne gallee muhalley se bahar aaker mulk ke liye nahi sochta, keh yahi reet chal rahi hai is watan -e -aziz mein, mein is system se larh nahi sakta. Hur jagah yeh zaher bhara hua hai. And yeh zaher bhi isi maratyata tabqey ne phalaya hai.
Education per pabundi laga rakhi hai, elite class ne. Pakistan ka sub se ziyada maza isi class ne lliya hai. Mujhe hul batao keh is class se kese chutkara hasil karein. Yeh log hur hukomat ke saath hotey hein, dictator ho tou, or jamhoriat ho tou maze inhi ke hein, Pakistan ke 70% log tou in ke agay gardun nahi utha saktey, apni betyon ki shadi nahi kersktey in logon ki murzi ke baghair, tou in ke khilaf yeh 70% "kammi kameen" kese sir utha saktey hein? Inqilab hi is sub ka aik hul hai, jis ki mein dua kerta hoon, shayad koi Allah ka bunda hum mein se paida ho, or woh sub kuch theek kerde, werna tou mujhe kaafi sakht andhera hi mahsoos hota hai filwaqt.
Duaon mein yaad rekhein.Wassalam
 

abdulhaseeb23

MPA (400+ posts)
SALAM Pakpatriot,

meri app se phele bhi bohat behas hoi hai MQM ke uper lekin ajj apne tasleem ker liya jis ki mujhe bohat khushi hai mujhe maloom hai ke mein bhi ais system ko aur ais ais mqm ko khatam nahi kersakta lekin mujhe ais baat ki khushi hai ke app ne ajj galat ko galat kaha aur app ki ek baat se mein itefaq kerta hoon ke ais mulk ko inqlaab ki zarorat hai aur mein dua karon ga allah se keh ais mulk mein agar kamhosh inqilaab na ayee tu humme khoni inqilaab bhi manzoor hai
 

mirchi

Councller (250+ posts)
Please all members, If you want to write in Roman urdu or even english, give some space after 2-3 lines. So that it is readable. If you write in a little big font that will be ok. Try to write in half of the space so that the line is not too long and readable.

The way you are writing, if you come to end of line, you don't know where is the start of next line.
 

PakPatriot1

Senator (1k+ posts)
To AbdulHaseeb
Thanks for your comments. Bhai mein ne aksar pakistaniyon ki siyasi soch per tabsira kya hai or is ke liye mein ne apne aap ko misal banaya hai. Jo mein ker raha hoon woh taqreeban sare aam Pakistani ker rahey hein, koi zuban per, koi soobey per or koi firqey ke tassub se muttassir hai. Koi bhi Pakistan or asal Islam ke liye kabhi nahi sochta. Mien bhi in hi pakistaniyon mein shumaar hota hoon. Mein bhi majboor hoon keh oos party ko support karoon jo keh kum uz kum mere jeson ki baat tou kerti hai. Yehi Hamara sub se bara masala hai.
Or aisa kerney per humein majboor kerdiya gaya hai. Just devide and rule policy from elite class. Hamari sochein tuk in ki ghulam hochuki hein. Hum ab sirf aik Inquilaab ka hi intezar kersaktey hein. Werna tou hum khud kuch bhi nahi kersaktey. Jab tak yeh elite class is mulk se khatam nahi hogi, hamara koi masala hul nahi hoga. Hum sirf lartey rahein gey or bus.
Thanks
Wassalam
 

Typhoon

Senator (1k+ posts)
Hum log waqehi ek esi chakki me ghoom piss rahe hein, jiss ka koi sirra nahi.
Daire se nikalne kelie daire ko torhna pahrta he. Ye nizam jo humare haa nizam ki kamzori ke bais raij ho gaya he, iss ko torhe bagher hum kabhi bhi iss se nikal nahi sakte.
Allah ko manane se pehle kehna parhte he " La ila" yaani "there is no god", phir ata he "il Allah", but Allah.
Ek concept ko reject kie bagher ap kabhi bhi ek alternative peida nahi kar sakte.
Jese ke aap ne kaha ke majboori se hum inhi parties ko vote de rahe hein. To brothers hum log un sanpo ko dodh pila rahe hein, or ro rahe hein ke ye hume daste bhi hein.
Iss ka hal sirf or sirf up-rising he. Kissi bhi qoum ki tareekh me up-rising poore nation ne ek sath nahi ki, balke humesha chand ek afrad ne start li he. Kahee kahee sirf ek fard ne, or phir karwaan banta gaya.
Ek society me har tarha ki vibes hoti hein. Mazhabi, conservative, liberal, socialist, anarchist, racist, etc. etc.
Hhumari society ki problem ye he, ke har vibe ko represent karne kelie ek party he jis ne platform muhayya kya he. Har vibe ko apna votebank banaya he kisi na kisi party ne.
Badqismati se abhi tak kissi ne Pakistani nationalism ko base nahi banaya. Jiss din ye base muhayya ho gaya, samjhye ek nea Pakistan janam le ga. Us nationalism ki base Iqbal ka tasawur ho ga.
Mao ne jab chinese nationalism jagay to Shanghai me 90 percent ouratein prostitutes thi. 75 percent mard afimi the.
Lekin jab us ne nationalism ko hawa di yo us ka asar Malaysia me singapore ke rehen wali chinese community par bhi parha or is ka result ke unho ne Singapore ek alag ryasat bana dali. Itna strong hota he nationalism.
Hum me nationalism to he, lekin use channelize nahi kya abhi tak.
We need a an awakening of pakistani youth to establish a united national patriotic block. Pakistan ki har university or college se ek hi awaz ae:
Ek naya aghaz, ek nai zindagi.
Demcracy is a multi party system. Communism ek single party system he.
Lekin Islam wahid nizam he jo ek non party system he. Hum log mazhabi firqa bandi ko to shirk tasleem karte hein, lekin ye bhool jate he, ke Quran ne jab firqa bandi kahi he to wo mazhab ke mamle me nahi kahi gai, balke qoum ke mamle, ummat ke mamle me kahi gai he. Iss me political firqe, yani political parties bhi aati hein.
Jab Hz. Mosa Toor se wahi lene gae, to peeche Hz. Haroon ko chorh gae apni qoum ke paas. Jab wapis ae to dekha ke wo gao pooja kar rahe the. Haroon se ghussa hoe ke tum ne inhe roka kio nahi, unho ne jawab me kaha ke mujhe dar tha ke in me tafarka na parh jae.
Iss se hume sabaq milta he ke ek qoum kelye shirk se zyada firqa nuksaan deh he. Shirk to jahalat he, lekin firqa mout.
Islam ka chonke apna ek nizam he or mukhtalif agendas ki zarorat nahi, isi waja se mukhtalif parties ka jawaz khatam ho jata he.
Islam ki first century ke waqt, ek shura hoti thi, jo ryasat me se chand logo ko appoint karti thi, or qoum un appointed me se kissi ek ka intekhab karti thi.
Koi shakhs azkhud apne aap ko khilafat ya sadarat kelie aage nah la sakta tha. He had to be appointed by the Shura.
Wo khalifa tahayaat leader hota, jis ki mout ke baad isi tareeke se nea leader chuna jata.
Mukhatlif siasi parties ki waja se nation me opposition peda hoti he. char saal opposition apni sari energy hukoomat ko fail karne me lagati he or hukoomti party apne porane nuqsanat ka izala karne me or agle elections tak poora poora faida apni party ko dene me sarf karti he. Beech me pisti he to qoum, jisse hum aaj kal ki zuban me awam kehte hein. Pichle 62 bars humari qoum ne isi circus me guzare hein. Ab waqt a chuka he ke is drama ko band kya jae.
We have to change our system. System of governance.

Pakpatriot aap ne poocha ke shaour ata he education se. Brother education aap ko sirf information deti he, wisdom ap ko reflection se milta he.
Science tells you how thing is not how they should be.
Pakistan movement ke waqt bhi muslilm qoum itni hi anparh thi jitni ab he, shaed ab se bhi kuch zyada tha iletracy ka ratio, lekin unho ne destiny badal di apni or humari naslo ki.
Dunya me do tarha ke log hote hein. Followers or leaders. Majority followers ki hoti he, or bohot kam hote hein jo lead karte hein, unhi ko visionary kaha jaata he.
Pharaos apni saltanat me mukhtalif aqwam pe hukomrani karte the. Unho ne ek khas tareeka apnaya hoa tha un ko controll karne ka. Wo un ki salahyat ke age band bandh dete the jiss se wo qoume murda ho jati thi or baasani un pe hukoomat karte the. Wo un me se sab se corrupt or low values walo ko ohda de kar un ke leaders bana dete the. Lekin akhir Mosa peida ho hi gaya.
Ab chonke koi messiah ae ga nahi, nabuwat ke ikhtitam ho gaya. Lekin Allah ne qayamat tak kelye rahe haq ke mtlashion ko ak mall ek recipy de di, jiss ko follow kar ke wesa hi inquilab barpa kya ja sakta he, jo Mosa, Isa or Mohammed pbuh ne kya.
We have it! It`s all in our hands.
We have to start a national student revolution in Pakistan.